Hasya kaviyon ki aajkal badi shamat hai. jabse Sidhu aur Shekhar Suman ke laughter challenge ne bazaar pakda hai log ab manoranjan ke naam par hasya kaviyon ki jagah Raju Srivastava, Sunil Pal, Naveen Prabhakar, Ahsaan Quraishi ya laughter challange ke anya maharathiyon ko hi bulane lage hain. STAR ONE ka ye show jab mashhoo hua tha to laga tha ki ye swastha manoranjan ki taraf ek saarthak pahal hai. Aur apne pehle saal mein K- series ke serials aur ajhel news channels se uktayi janta ko hansi ke kuch meethe pal bhi diye the.
Par jaise jaise inki lokpriyata badhi, lagbhag sabhi news channel use bhunane mein peeche nahin rahe. Ab itne kam samay mein itni jaldi jaldi script badal kar bhala ye hansi ke saudagar ab naya kya pesh karte. Lihaja ek or to vyapak paimanon par chutkulon ki chori shuru ho gayi to doosri or chutkulon ka bhodapan badhta gaya. Aajkal Sidhdhu waise chutkulon par bhi bhayankar thahake lagate dikhte hain jinmein ashleelta ka put shamil hai. Hansi ke ye diggaj apne bachaav mein ye tark dete hain ki public aisa hi masala chahti hai.
Kya aam jan manas mein hasya ka is qadar avmulyan hua hai. Shayad hua hai, aur ye dekh kar man hi man kashta juroor hota hai.
Mujhe yaad hai ki jab hum school mein the to sare bhai bahan Dharmyug ke Holi visheshank ki besabri se prateeksha karte the kyunki usmein ek se badh kar ek hasya kavitayein hua karti thin. Vividh bharti se aane wale prayojit karyakram mein humara parivaar Surenda Sharma ki Main bolyo...Patni ji ki kadiyan hafte dar hafte sunne ke liye radio se kaan sata kar baitha rahta tha.
Kaka Hathrasi, Hullad Muradabadi, Gopal Prasad Vyas, Shail Chaturvedi, Om Prakash Aditya, Ashok Chakradhar ne humare jeevan mein jis terah swastha hasya ka put bhara tha wo aaj is nimna istar par pahunch jayega kisne socha tha?
Aaj juroorat achche hasya aur phoohadta mein antar ko samjhne ki aur swastha hasya likhne wale kaviyon ko protsahit karne ki varna humari agli peedhi ko virasat mein hasyya ke naam par yahi sab kuch sunne padhne ko milta rahega.
Swastha hasya ka swaroop kya hota tha uski ek jhalak dekhein
Ek mitra mile,ble,"lala tum kis chakki ka khate ho
Is dedh chataank ke rashan mein bhi tond badhaye jate ho
kya rakha hai mans badhane mein manhoos, akl se kaam karo
sankranti kaal ki bela hai, mar mito jagat mein naam karo
Hum bole "rehne do lecture, purushon ko mat badnaam karo
is daud dhoop mein kya rakha aaraam karo aaraam karo...........
Wah! waise hasya kaviyon ki baat aayee hai to hum hamesha holi ka intezaar karte...Hulladmuradabadi ..to kabhi Shail Chaturvedi aur haan ye comedy show bhi dekha hai jab India gaye the kaafi manoranjak mehasus hua...aur aaj ye post se aur bhi jankari ka khulasa hua shukriya :)
जवाब देंहटाएंcheers
manishji!! Shail chatuvedi se yaad aya unki poti "Vandana Chaturvedi" meri classmate thi.. Kahin se pata mile to batayiyega!!!
जवाब देंहटाएंaur nahi toh kya har jagah pe ab Raju Shrivastava & Co aur saas bahu ki kahaniyaan hi dikhayi dete hain..uper se news mei bhi Saas , Bahu aur Saajish dikhate hain( for those jin logon ne serial miss kiya)..
जवाब देंहटाएंVakayee yeh program ab entertaining ki jageh kaafi hadd tak repulsive sa ho gaya hai. Hansi to door, muskurahat bhi nahin aati, naa jaane siddhu ji kis baat pe thahaake lagate rehte hain...
जवाब देंहटाएंRakhi sawant aur raju srivastav dwara host kiye huay naye program to ek episode bhi poora nahin dekha gaya....
DON Haan pehle ye program manoranjak dhan se shuru huye the par ab to inka level girta ja raha hai. Paise kamane ke liye bina script pe dhyan diye huye har channel mein program dene pahunch ja rahe hain aur bhondapan badha kar hansi paida karne ki koshish kar rahe hain aajkal.
जवाब देंहटाएंSmita Achcha waah...par mujhe is bare mein koyi idea nahin
जवाब देंहटाएंDimple Haan dimple bilkul sahi kaha.
Neptune Haan Neptune absolutely.
Waise aapki goa trip ka kya hua pehle din se aage nahin badh payi.
इस टिप्पणी को एक ब्लॉग व्यवस्थापक द्वारा हटा दिया गया है.
जवाब देंहटाएं