Ek Shaam Mere Naam par bahut dinon se kitabon ke bare mein nahin likha tha. Awwal to kitab padhne ki gati behad dheeme ho gayi hai aur doosre agar kisi kitab ki charcha shuru karne par ye nirnay lena bhi kaphi durooh ho jata hai ki iska kaun sa hissa apne pathakon ke saamne laya jaye.
Pichle mahine jab retired IPS officer Satish Chandra Pandey ki apni service life ke dauraan likhi gayi kitaab Dauraan E Tafteesh (During An Enquiry) padhi to yahi samasya samne aa khadi huyi.
Is kitab ke rochak anshon ko apni khud ki raay ke sath apne Hindi blog
'एक शाम मेरे नाम' par teen bhagon mein prastut kiya hai. Asha hai aapko ye teenon kadiyan pasand aayengi. Agar in kadiyon ko padh kar aapke man mein bhi kuch vichar aate hain to avashya comment karein.

इस श्रृंखला की सारी कड़ियाँ
- दौरान ए तफ़तीश भाग-1 : पुलिसिया तंत्र के बारे में लिखा एक पुलिसवाले का ईमानदार संस्मरण !
- दौरान ए तफ़तीश भाग-2 : रिश्वतखोरी, कुछ ना करने की कला, क़ायदे कानून व कागज़ी आदेशों पर पुलसिया सोच !
- दौरान ए तफ़तीश भाग-3 : बॉस की वहशत चलते रहो प्यारे और भारत माता के तीन कपूत !