शुक्रवार, अक्तूबर 19, 2007

Humara Hissaa : Collection of stories about changing face of Indian Woman

Humara Hissa ek kahani sangrah hai jismein 16 kathakaron ki kahaniyan shaamil hain. Is sankaln ki khas baat ye hai ki isne pichle 50 saalon mein bharat mein striyon ki badalti tasweer ka chitran karne ka prayaas kiya hai. Is kitaab ke prakashak Penguin hain aur iska moolya Rs 190 hai. Ye kitab 2005 mein prakashit huyi thi.



Kahani ki naayikaayein gramin aur shahri donon pariveshon se aati hain. Unke aas paas ke samaj mein aaj ka bhaarteey samaj dikhta hai. Kahani Sangrah ke sampadak Arun Prakash ji ne purne manje huye lekhakon ke aalawa naye pratibhashaali lekhakon ki kahaniyan bhi is sankalan mein jagah di hai.

Jin lekhakom ki kahaniyan is sankaln mein hain wo hain

  1. Kamleshwar
  2. Rangey Raghav
  3. Mamta Kalia
  4. Swayam Prakash
  5. Nasira Sharma
  6. Sanjeev
  7. Bhagwandas Morwal
  8. Vidyasagar Nautiyaal
  9. Shivmoorti (Inki kahani Tiriya Charitra par isi naam se Basu Chaterjee ne isi naam se 1994 mein ek behtareen film bh banayi thi.)
  10. Suraj Pal Chouhaan
  11. Vijaykant
  12. Chitra Mridugal
  13. Loveleen
  14. Mridula Garg
  15. Satyen Kumar
  16. Maitreyi Pushpa

In kahaniyon ke bare mein do bhagon mein meri sameeksha aap yahan padh sakte hain

  1. हमारा हिस्सा : आज की नारी की छवि को उभारता एक सशक्त कहानी संग्रह- भाग १
  2. हमारा हिस्सा : आज चर्चा इस संकलन की बाकी की आठ कहानियों की- भाग 2


Click Here to Post your comments