सोमवार, जुलाई 16, 2007

Barish ke rang Parveen Shakir ke sang....


.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Barish ka mausam joron par hai aur baat Parveen Shakir ki ho rahi hai. Pata hai unhein bhi har shayra ki terah barish ki girti boondon se khaas lagaav tha. Is barish ki mukhtalif unhoine kai namkeen nazmein likhi hain. Meri pasand kuch yoon hai

*************************************************
(1 )
Barish ab se pehle bhi kai baar huyi thi
kya is bar mere rangrez nay chunri kachchi rangi thi
ya tan ka hi kehna such tha
rang to us kay honton mein tha.....

*************************************************
(2)
Barish mein kya tanha bheengna ladki?
use bula jiski chahat mein tera tan man bheenga hai
pyar ki barish se badhkar bhi kya barish hogi
aur is barish ke baad
hijra ki pehli dhoop khilegi
tujh par rangon ke ism (naam) khulenge
....


*************************************************
(3 )
Main Kyun use phone karoon
usko to bhi ilm mein hoga
kal shab
mausam ki pehli barish thi.....


*************************************************
Kya aapke paas bhi barish se judi Parveen Shakir ki koyi nazm hai. Agar hai to share karein.