".....Gulzaar ek aise geetkaar hain jinki kapnayein pahle to sunne mein azeeb lagti hain par aisa isliye hota hai ki unki soch ke istar tak utarne mein thoda waqt lagta hai. Par jab geet sunte sunte man us vichar mein doobne lagta hai to wahi ungadhi kalpnayein adbhut lagne lagti hain. Isiliye inke geet ke liye kuch aisa sangeet hona chahiye jo un bhavnaaon mein doobne ke liye sunne wale ki madad kar sake.
Gulzaar ke liye pahle ye kaam Pancham Da kiya karte the aur is film mein ye kaam yuva sangeetkaar Vishal Bhardwaj ne kiya hai jo gulzar sahab ke ek bade 'fan' hain.
Chalein thoda Gulzaar sahab ki baaton pe bhi to dhyaan dein jo unhone is geet mein kahi hain
Raatein kattee naa thin ya yoon kahein ki raton ko katne dena koyi chahta hi na tha. Par bhai premiyon ke liye ye koyi nayi baat to rahi nahin so ab unhone din ko apna nishana banaya hai. Aur kya khoob banaya hai ki mua sooraj bhi unki giraft mein aa gaya. Ab chinta kis baat kee jab suraj hee ashikanje mein ho. Ab unka hath apne hath mein lekar dhoop aur chaanv ke sath jitna marji katti -patti khelo kaun rokega bhala........"
Khair ye to the mere khayal, khud Gulzaar ne January 2007 mein diye apne interview mein is geet ke bare mein kaha.
". I think that Omkara as a score had a lot of variation and colours. In ‘O saathi re’ I have used some rare poetic imagery wherein I describe sunset by saying that the sky is slippery so that the sun is about to slide into the water, but that can be prevented using a net or by holding it on one’s back. "
Background singing kee baat karein to Shreya kee madhur aawaaz mein jo shokhi aur chanchalta hai vo is geet ke romantic mood ko aur effective banati hai. Wahin vishal ki thehri aawaaz geet ke bahaav ko ek isthirta deti hai. Kul milakar geet, sangeet aur gayan milkar man mein aise utarte hain ki is geet ke prabhav se ubarne ka man nahin hota
o saathi re din doobe na
aa chal din ko roke
dhoop ke peeche daude
chaanv chhuyein na
o saathi re
thaka thaka suraj jab nadi se hokar niklega
hari hari kaayi pe, paanv pada to phislega
tum rok ke rakhna, main jaal giraaun
tum peeth pe lena main haath lagaaun
din dube na ha...
teri meri atti patti
daat se kaati katti
re jaiiyo na
o pihoo re
o pihoo re na jaiyyo na
kabhi kabhi yun karna, main daantoon aur tum darna
ubal pade aankhon se, meethe paani ka jharna
hmm tere dohre badan mein, sil jaaungi re
jab karwat lega , chhil jaaungi re
sang le jaaunga
teri meri angni mangni
ang sang laagi sangni
sang le jaaun
o pihu re
o saathi re din dube na
aa chal din ko roke
dhup ke peeche daude
chaanv chhue na
o saathi re.....
Is geet ko aap yahan bhi sun sakte hain.