गुरुवार, फ़रवरी 22, 2007

Geet # 4: Raat , Neend, Khwaab aur Gulzaar !

Agar aapki shikayat ye ho ki geetmala ki raftaar passenger ki mafik kyun ho gayi hai to uska jawab yahi hai ki pichle 12 dinon mein main sirf 3 din hi ghar par bita paya hoon aur aage bhi ye halaat zari rahenge :(. Is baar hum laute hain Kanpur ki nimmi nimmi thand ka maza lete huye. Neend, Khwaab aur raat ke bare mein agar main sochoon to abhi bhi mujhe safar mein apne dibbe ki thodi si khuli khidki se aati sard hawa ki yaad aati hain jisne humari kachchi neend mein jab tab sendh lagayi. Par Gulzar ki ratjaga karti aankhein to kuch aur phasana bayan karti hain.
Aakhir kaun hai in jaagti aankhon ka kusoorwaar.

Are wahi muye khwaab jo unki neend ke sath arse se kabaddi khelte aaye hain. Yaad hai aapko Ghar film ka Kishore Da ka gaya wo geet jisne hostel ke band kamre mein humari kitni hi raaton ki neend churayi thi.

Phr Wahi Raat Hai
Phir Wahee Raat hai khwabon ki
Raat bhar khwab mein dekha karenge tumhein.

Masoom se neend mein jab koi sapna chale
Humko bula lena tum palkon ke parde tale
Ye raat hai khwab ki, khwab ki raat hai.

Aur phir intezaar ki ghadiyan ginti us raat ki pukaar to kabhi mand hi nahin padi

Khwaab chun rahi hai raat, beqraar hai, tumhara intezaar hai

Ya Phir Jeeva mein Asha ji ke gaye is geet ko hi lein

roz roz Aankhon tale ek hi sapna Chale
raat bhar kaajal jale, Aankh mein jis tarah khwaab ka dia jale

Neend, khwaab aur raat Gulzaar ke priya vishay hain.Shayad ye unki apni zindagi mein bhi kuch khaas maayne rakhte hon. Yahi wazah hai kir inhein shabdon ke jaal mein goonth kar nikla unka har ek geet ek naye aayaam dete prateet hota hai..Chauthi paaydan ki ye nazm inhin shabdon ko jodti huyi dil ke behad kareeb se guzar jaati hai. Film Guru mein is nazm ki pehli 4 lines ka use hua hai kyunki wo kathanak pe ek dam durust baithta hai


Jaage Hain der tak Humin Kuch der sone Do
Thodi si raat aur hain subah to hone do
Aadhe adhure Khwaab Jo Poore Na Ho Sake
Ek Baar Phir se neend mein wo Khwaab Bone Do

Aur agar koyi khwaab dekhte dekhte aapki neend toot jaaye to bhi himmat na harein kyunki

Ek Khawab Toot Jaane Ka Ahsaas Hi to hai
thodi si raat aur Sahar paas hi to Hai

Guru ki is nazm ko aawaz dee hai K.S.Chitra aur A.R.Rahman ne. Waise rahmaan ne apni jagah kisi aur gayak ko mauqa diya hota to nateeja jyada behtar rahta.

Is nazm ko aap yahan bhi sun sakte hain.

Devnaagri mein padhne ke liye yahan click karein.

10 टिप्‍पणियां:

  1. Wah kya kehne is nagme ka..dil me bas jaata hain aur gungunane ko jee karta hai. #5 ne disappoint toh kiya par is geet ne man moh liya

    जवाब देंहटाएं
  2. This song is going to be the best one of 2006, no doubts about that. Nice selection.

    जवाब देंहटाएं
  3. amazing.. Phir wohi raat hai is an all time personal favourite :)

    जवाब देंहटाएं
  4. WOW Manish....Gulzar ke woh saare geet aajkal mein sote huye sunti hoon aur waqai kab raat aakar sehar ho jaata hai pata hee nahi chalta :)
    Accha laga wohi saare gaanon ka zikr yahan dekhkar :D
    Aur 4thin payari ka geet waqai sahi chunaav hai aur Rehman ke baare mein jo kaha sach kahoon to meine iss geet ko sun ne ke baad yehi kaha tha ;)
    Cheers to your selection

    जवाब देंहटाएं
  5. Smita Jaankar khushi huyi !

    Odunghat Nice to know that its ur fav tpp.
    Well as I have earlier clarified that I have included the songs of Guru based on its music release date which was in Nov 2006 though the movie was released in 2007.

    जवाब देंहटाएं
  6. DON You never differ with my song choice thats why I take it for granted ki jo song mujhe pasand aaya wo DON ko to pasand aayega hi ;)

    जवाब देंहटाएं