सोमवार, फ़रवरी 06, 2006

# 4 : Pooche Jo Koi Meri Nishani....

...shaamein bujhane aati hain raatein
raatein bujhane tum aa gaye ho ...


Jab aisi panktiyan sunne ko milti hain to kuch kehne ki gunjaish hi nahin reh jati.
Bas kavi ki adbhut kalpana pe daad dene ki iksha hoti hai..
Waise bhi jab..
Barfeeli hawahon ke beech meethi dhoop ho….
Pighalte suraj ke sath aayi wo ithlaati shaam ho
Sard raaton mein aangdi ki aanch ho…..
Snigdha chandni ki roshni mein behakti nadi ho…..
To aap hi bataiye humsafar ke sath bitaye wo pal kuch jyada haseen kuch jyada namkeen :) nahin ho jayenge?

Gulzar ke bol, Shantanu Moitra ka karnpriya sangeet aur Shreya Ghosal ka madhur swar sab milkar kuch aisa saman bandhte hain ki man prem ki is rangini mein behta sa chala jata hai….
To leejiye pesh hai 4thi paaydaan pe movie Yahaan ka ye geet

pooche jo koi meri nishaani rang hina likhna
gore badan pe ungli se mera naam ada likhna
kabhi kabhi aas paas chand rehta hai
kabhi kabhi aas paas shaam rehti hai
aao na aao na
jhelum mein beh lenge
waadi ke mausam bhi ek din to badlenge
kabhi kabhi aas paas chand rehta hai
kabhi kabhi aas paas shaam rehti hai

aaon to subah jaaon to mera naam shaba likhna
barf pade toh barf pe mera naam duaa likhna
zara zara aag waag pass rehti hai
zara zara aangdi ki aanch rehti hai
kabhi kabhi aas paas chand rehta hai
kabhi kabhi aas paas shaam rehti hai

shaamein bujhane aati hain raatein
raatein bujhane tum aa gaye ho

jab tum haste ho….din ho jaata hai
tum gale lago to…. din so jaata hai
doli uthaye aayega din to
pass bitha lena
kal jo miley to
mathe pe mere suraj uga dena
zara zara aas paas dhup rahegi
zara zara aas paas rang rahenge


Click Here to listen the song .

12 टिप्‍पणियां:

  1. Wah Manish...Gulzar ji ke bol...waqai ...woh jo bhi kehate hei oosmein kavita hee nazar aati hai...jis geharayee se woh bolte hein waqai....Kavi ke kalpna ki hee nahi lekin oonki oos geheri soch ka bhi abhaas karna mushqil ho jaata hai...:)
    Aur tumne ek khubsurat gaane ka jikr kiya...amazing movie too...at least I liked it and the song too...jis tarah halki lekin gehari mohabbat ka ehasaas Gulzar ji apne gaano mein paida karte hein...waqai koi bhi ho...pyaar karne se pare nahi rehana chahta :)
    bahut khoob!
    shukriya iss pesh-kash ka

    Cheers

    जवाब देंहटाएं
  2. hey manish...thanks a lot for ur wishes..writin after long time...will soon read all of the posts which i have missed..well on the latest one...when i had first heard this song...the first thing that came into my mind...was it's a gulzar song..even though I didn't know the lyricist then...there is somethin about gulzar and his way of writin

    जवाब देंहटाएं
  3. I love this song! My favourite lines are:
    "jab tum haste ho... din ho jaata hai
    tum gale lago to... din so jaata hai"
    It just conjurers up such wonderful imagery! :)

    जवाब देंहटाएं
  4. some beautiful songs...
    the one from B&B is a nice track

    that gazal rocks

    and this one is too cool
    Shreya Ghoshal ka gana hain
    acha to hoga hi ;-)

    Cheers

    जवाब देंहटाएं
  5. Tilism Nice to see u back in blogworld.Hope u r healthy and hearty!Yes this one is a typical Gulzarish song.

    जवाब देंहटाएं
  6. Zombie & Nagu Aap donon ko bhi ye gana utna hi pasand hai jaankar khushi huyi :)

    जवाब देंहटाएं
  7. Puneet Haa ji aap to bhagyashali hain ki is kokil kanth ka saanidhya aapko prapta hai :)

    जवाब देंहटाएं
  8. i must say......the singers...the composers all have done a fabulous job....
    i just feel like listening this song continuously

    जवाब देंहटाएं