Maine Pak ke upanyaskaron ko jyada nahin padha. Sach poochiye to ye mera aisa doosra anubhav tha. Isse pehle maine Bapsi Sidhwa ki bahucharchit kitaab The Pakistani Bride padhi thi jo mujhe behad pasand aayi thi. Ek book fair mein Gulzar ke review ki bina par maine ise liya aur Zahida Hina ji ne mujhe nirash nahin kiya. Ek seedhi sadhi kahani ko flashback ke zariye bakhoobi aage badhaya hai.
Na junoon raha.. Brijes Dawar Ali ki kahani hai jo apne Abba jaan ke marhoom hone ke baad Hindustan mein apne ghar baar chorkar Patna seapne mangetar ki taalaash mein Karachi aa pahunchti hai. Yahan badle huye halaaton se uska saamna hota hai. Jinhein apna maan kar aayi thi wo uska daman chod dete hain aur wahin apnatwa milta hai ek Parsi pariwaar se .
Par kya wo pyaar kaphi raha use apni mitti se alag rakhne mein?
Prastut hain isi upanyaas ke kuch ansh…
Prastut hain isi upanyaas ke kuch ansh…
Parvez se uska khoon ka, zameen aur jubaan ka mazhab ka rishta tha. Aur Manuchahar ek ajnabi, ek anjaan, zameen alag, juban alag,mazhab juda. Rishton ki sarhadein kahan se suru hoti thin? Kahan khatma ho jatin thin.
Manuchahar : Main janta hoon ki Parvez ne aapko kis qadar mayoos kiya hai par aap yoon to na jayein.
Brijes :Aapne kabhie kisi ko kabristaan mein rehte huye dekha hai? Yahan meri tehzeeb, meri rivayaat, mere rishton ki kabrein hain. Kabron ke darmayan kaise rahoon?
Nahin naa! Par awwal to us pyar ko waqt se pehchaan na payi. Aur jab pehchana tab shayad bahut der ho chuki thi.
Brijes Dawar Ali tanha ke pairon ke neeche se zameen khiski ja rahi thi. Aasman sar par jhuka aa raha tha..khabre-tahyuure-ishq sun na junon raha na pari rahi….jo rahi so bekhabri rahi. Tanha zindagi ke maahon saal khukhiyate huye bandaron ki tarah us par jhapatne lage. Manuchahar muntajir ke hothon ne sargoshi ki…….khaak ho jayenge hum tumko khabar hone tak….
Donon ne dahalkar ek doosre ki or dekha..
Kehne sunne ko kuch reh nahin gaya tha…
Zindagi bas kya yahi hoti hai?
Muththi bhar din.. Muththi bhar ratein….
Do arzoo mein kat gaye ..do intezaar mein.
Roshan surang mein safar shuru hua, is safar ke samapan pe sach ki koyi chaukhat nahin thi. Har taraf bekhabri thi aur bekhabri ke is safar mein tanhayi uska hath thame sath sath chal rahi thi.
About the Author :Zahida Hina is born in Sasaram (Bihar) & brought up in Karachi. She wrote several stories and novels. A progressive intellectual , still writes for an Urdu daily newspaper, Jang, on current political and social issues. Her estranged husband was Late Jaun Elia the talented poet who could not get the fame in his lifetime..