मंगलवार, सितंबर 18, 2012

Firaq Gorakhpuri : Hizabon mein bhi tu numayan numayan

Last week one of my friend sent me a Ghazal of Firaq Gorakhpuri sahab and asked me What he has written. When I glanced through the ghazal two things striked me instantly. Use of complex words and more importantly the repetition of words in a particular manner in all the sher of the ghazal.

In simple words Firaq has narrated the beauty of his imaginary lover in the Ghazal but the beauty lies in the adjectives used by him throughout the Ghazal. Here is the podcast of my effort to translate iton you tube.




Hizabon mein bhi tu numayan numayan
Farozaan farozaan darakhshaan darakhshaan

Tere zulf-o-rukh ka badal dhundtaa hun
Shabistaan shabistaan charaaghaan charaaghaan

Khat-o-khaal ki tere parchhaaiyaan hain
Khayaabaan Khayaabaan gulistaan gulistaan

Junun-e-muhabbat un aankhon ki wahshat
Bayaabaan bayaabaan Ghazalaan Ghazalaan

Lapat mushk-e-gesuu kii taataar taataar
Damak la’l-e-lab ki badakshaan badakshaan

Vohi ek tabassum chaman dar chaman hai
Vohi pankhuri hai gulistaan gulistaan

Saraasar hai tasvir jam’eeton  ki
Muhabbat ki duniya harasaan harasaan

Yehi jazb-e-pinhaan ki hai daad kafi
Chale aao mujh tak gurezaan gurezaan

“Firaq” khaziiN se tau waaqif the tum bhi
Vo kuch khoya khoya pareshan pareshan