बुधवार, मई 02, 2012

Kabhi Yoon Bhi Aa Meri Aankh Mein : Bashir Badra

Bahir Badra is a name whose popularity in Indian subcontinent is never in doubt. He uses simple language which is easy to understand but at the same time his verse has deep rooted meaning.


Kabhi yoon bhi aa is one of his famous ghazal sung by Jagjit Singh. But have you heard it in voice of Mohammad Hussain and Ahmad Hussain ?


Kabhi Yun Bhi Aa Meri Aankh Mein,
Ke Meri Nazar Ko Khabar Na Ho
Mujhe Ek Raat Nawaz De ,
Magar Uske Baad Saher Na Ho

Woh Bara Raheem-o-Kareem Hai,
Mujhe Yeh Sifat Bhi Ata Kare

 Tujhe Bhoolne Ki Dua Karoon,
To Dua Mein Meri Asar Na Ho

Kabhi Din Ki Dhoop Mein Jhoom Ke,
Kabhi Shab Ke Phool Ko Choom Ke
Yun Hi Saath Saath Chalein sada,
Kabhi Khatam Apna Safar Na Ho

Mere Paas Mere Habeeb Aa,
Zara Aur Dil Ke Qareeb Aa,
Tujhe Dhadkano Mein Basa loon Main,
Ke Bichhadne Ka Kabhie Dar Na Ho


Do listen this ghazal in the voice of Hussain brothers with meaning of ghazal kabhi yoon bhi aa here.