Varshik Ssangeetamala ki 7th panyadan par bhi melody usi tarah bah rahi hai jaisi pichhali panyadan par thi antar sirf itna ki pichhali seedhi par jahan roop kumar rathaud suron ki ganga baha rahe the vahin aaj ki is panyadan par kokil kanthi Shreya Ghoshal virazmaan hain.
Sa re ga ma jaise musical talent hunt ki upaj Shreya ko gane ka pahla mauqa Sanjay Leela Bhansali ne Devadas mein diya tha aur uske baad is pratibhashali gayika ne pichhe mud kar nahin dekha hai. Singh is King ke is yugal geet mein shreya ka sath diya hain janab rahat fateh ali khan sahab ne. shreya ki meethi roomani aavaj ke parshv se jab rahat ji ki buland aavaj ubharati hai to in donon aavajon ka sangam ek saman bandh deta hai jiski taseer ghanton zehan mein vidyaman rahti hai.
Pritam yoon to dhunon ki chori ke liye badanam hain par har sal vo kuchh aisi zabardast dhunen bhi dete hain jisse aashchary hota hai ki itane pratibhashali hone ke bavazood dhun banane ke liye baraha inhen inspired kyoon hona padta hai ? is geet ke bol likhe hain Mayur Suri ne jo ek navodit geetakar ke sath sath sanvad lekhan ka bhi kaam karte hain. mayoor aur pritam ki jodi ne isase pahale bhi film pyar ke side effects mein ek kamal ka geet jane kya chahe man bavara...
to aaiye dalein is geet ke bolon par ek nazar aur sunein ye prem se otprot ye geet...