मंगलवार, मई 09, 2006

Safar Sikkim Ka... New Jalpaiguri Se Gangtok Tak

Garmiyan apne poore shabaab pe hain. Aakhir kyun na hon May ka mahina jo thehra. Agar aise mein bhi surya dev apna raudra roop hum sab ko na dikha payein to phir log unhein devtaon ki sreni se hi hata dein.:). Ab aapke shahar ki garmi to main kam kar nahin sakta... kam se kam is blog pe hi le chalta hoon ek aisi jagah jahan pichle mahine inner, full shirt ,sweater aur jacket pahnne ke baad bhi hum kapkapin mehsoos kar rahe the.

Humare safar ki shuruaat huyi 7 April se jab humara group Ranchi se rawana hua aur 8 ko din mein New Jalpaiguri pahuncha . Humara pehla padav Gangtok tha jo ki by road Siliguri se 5 ghante ki doori pe hai. Siligudi se takreeban 30 km door chalne ke baad se hi raaste ke donon oor ka paridrishya badal sa jata hai. pehle milti hai sadak ke donon or hare bhare pedon ki katarein aur phir.......


Lo main to bataana hi bhool gaya yahin se humare group mein madam ko join karna tha. Yahan se poore safar tak wo humare sath sath rahin. Kabhi ithlaati to kabhi balkhati, unki is madhur chavi ko dekh hum to poori terah mantramugdha ya yoon kahe ki flat hi ho gaye the. Khair isse pehle ki aap sab unka naam poochein khud hi bataye dete hain. Naam tha unka TEESTA. Kahin aap asab kuch aur to umeed nahin lagaye baithe the :)

Khair Teesta ki is hari bhari ghati aur ghumavdaar raston mein chalte chalte shaam dhal aayi aur nadi kinare hum sab gadi ke bahar tahlne nikle. Door pahad par chote chote gharon ke beech ujle dhuye ki lakeer badi mohak lag rahi thi.

Kareeb 7.30 baje hum Gangtok ke neeche aa pahunche the. Door se hi unchai par roshni ki jagmagahat saaf dikh rahi thi.
Par abhi to humari yatra suru huyi thi. Gangtok to bas transit point tha asli muqaam to abhi bhi kaphi door tha un uchaiyon mein chupa hua jiska rahasya ki khoz mein hum sab is safar ko nikle the…

8 टिप्‍पणियां:

  1. Nice pics Manishji.will be waitng for ur next post to know more about ur trip and gangtok.

    जवाब देंहटाएं
  2. Are Nagu u can call me Manish ye ji wi theek nahin lagta :) ! Agla part jald hi post karoonga.

    जवाब देंहटाएं
  3. WOW...good to see some clean n healthy weather in the pic :D...good to read ...n umeed hai Saki ... abhi shaam mein aur jaam hai baaki ;)

    cheers

    जवाब देंहटाएं
  4. DON Yes I have still not mentioned the star attraction of my journey yet so the real thing is still 2 posts away.

    जवाब देंहटाएं
  5. Very best site. Keep working. Will return in the near future.
    »

    जवाब देंहटाएं
  6. Looks nice! Awesome content. Good job guys.
    »

    जवाब देंहटाएं