Holi ka hud-dang to khatma ho gaya par abhi bhi haathon se rang poori terah nahin utra. Waise ye holi kuch khushiyan layi to kuch udaasi bhi de gayi. Par Holi to aisa parv hai jispe udasi ka rang kabhi nahin chadta so aaj ki meri ye post aapke hothon pe kuch muskurahat bikhere meri yahi koshish hogi. Holi mauj, masti, umang, ullaas. haas parihaas ka pratik hai. Aur mujhe bachpan se aaj tak Holi ke sath sath ek aisi baat ka intezaar rahta hai jo aksar aise hi maukon pe hoti hai. Jee haan main Hasya Kavi Sammelan ki baat kar raha hoon. Kaka Hathrasi, Hullad Muradabadi,Shail Chaturvedi, Om Prakash Aditya, Surendra Sharma, Ashok Chakradhar, Pradeep Choubey ki rachnaoon ne varshon se holi ke rang ko hansi ki phuljhariyon se aur saras banaya hai.
Aaj naujawan kavi Sunil Jogi ki hasya kavita aapke samne prastut kar raha hoon jo maine pichle saal padhi thi. mujhe aasha hai ki aap bhi iska utna hi anand uthayenge jitna maine uthaya tha :)
mushkil hai apna mel priye, ye pyar nahin hai khel priye, (my love)
tum MA 1st division ho, main hua matric phel priye,
mushkil hai apna mel priye, ye pyar nahin hai khel priye, (union)
tum fauji afsar ki beti, main to kisaan ka beta hoon,
tum rabadi kheer malai ho, main to sattu sapreta hoon,
tum AC ghar mein rahti ho, main ped ke neeche leta hoon,
tum nai maruti lagti ho, main scooter lambreta hoon,
is kadar agar hum chup-chup kar aapas me prem badhayenge,
to ek roz tere daddy Amrish Puri ban jaaenge, (alas he is no more!)
sab haddi pasli tod mujhe bhijwaa denge vo jail priye,
mushkil hai apna mel priye, ye pyar nahin hai khel priye,
tum arab desh kee ghodi ho, main hoon gadahe ki naal priye,
tum deewali ka bonus ho, main bhookho ki hadtaal priye,(strike)
tum heere jadi tashtari ho, main almunium ka thaal priye,
tum chicken-soop biryani ho, main kankad waali daal priye,
tum hiran-chaokadi bharti ho, main hoon kachue ki chaal priye, (flight of dear)
tum chandan-wan ki lakdi ho, main hoon babool ki chaal priye,
main pake aam sa latka hoon, mat maaro mujhe gulel priye,
mushkil hai apna mel priye, ye pyar nahin hai khel priye,
main shani-dev jaisa kuroop, tum komal kanchan kaya ho, (ugly)
main tan-se man-se Kanshi Ram, tum maha chanchala maya ho, (naughty)
tum nirmal paawan ganga ho, main jalta hua patanga hoon,(pure)
tum raaj ghaat ka shanti march, main hindu-muslim danga hoon,
tum ho poonam ka taajmahal, main kaali gufa ajanta ki,
tum ho vardaan vidhata ka, main galti hoon bhagvanta ki,(wish of god)
tum jet vimaan ki shobha ho, main bus ki thelam-thel priye, (aeroplane)
mushkil hai apna mel priye, ye pyar nahin hai khel priye,
tum nai videshi mixi ho, main patthar ka silbatta hoon,
tum AK-saintalis jaisi, main to ik desi katta hoon,
tum chatur Rabadi Devi si, main bhola-bhala Lalu hoon,
tum mukt sherni jangal ki, main chidiyaghar ka bhaalu hoon, (free)
tum vyast Sonia Gandhi si, main V.P.Singh sa khali hoon, (busy)
tum hansi Madhuri Dixit ki, main policeman ki gaali hoon,
kal jel agar ho jaaye to dilwa dena tum bail priye,
mushkil hai apna mel priye, ye pyar nahin hai khel priye,
main dhabe ke dhaanche jaisa, tum paanch sitara hotel ho, (structure)
main mahue ka desi tharra, tum red-label ki botal ho,
tum chitra-haar ka madhur geet, main krishi-darshan ki jhaadi hoon, (sweet)
tum vishva-sundari si kamaal, main teliya chaap kabadi hoon,
tum sony ka mobile ho, main telephone waala hoon chonga,
tum machli maansarovar ki, main saagar tat ka hoon ghongha, (shore)
dus manzil se gir jaaooga, mat aage mujhe dhakel priye,
mushkil hai apna mel priye, ye pyar nahin hai khel priye,
tum satta ki maharani ho, main vipaksha ki lachari hoon, (in power/opposition)
tum ho mamta-Jailalita si, main kwara Atal-Bihari hoon,
tum Tendulkar ka shatak priye, main follow on ki paari hoon, (century)
tum getz, matiz, corolla ho main Leyland ki lorry hoon,
mujhko refree hi rehne do, mat khelo mujhse khel priye,
mushkil hai apna mel priye, ye pyar nahin hai khel priye,
main soch raha ki rahe hain kabse, shrota mujhko jhel priye, (listeners)
mushkil hai apna mel priye, ye pyar nahin hai khel priye
uff Manish...mein aur papa isi ka intezaar karte rehate the and chahe phir raat ke 12 kyun baj jaayein...Ashok CHakradhar jo program shuru kia karte the...Surendra Sharma ji ki to niraali ada rahi hai hamesha se...Hullad Muradabadi, Shail Chaturvedi inki to hasi se hee lot-pot ho jaaya karte the...yaar u make me feel so sad actually....ke mein ye sab miss kar rahi hoon yahan ...:(
जवाब देंहटाएंab samajh aaya kis udasi ki baat kar rahe ho .....mujhe to aaj tak sab ke chehare yaad hain...:)
Iss baar jab India gayee tab kisi program mein CHakradhar ji ko dekhne ka suavsar mila lekin waqt ho chala hai aisa oonke balon ki safedi se laga tha....awesome dost...Holi ho to aisee...:)
cheers
Achcha laga jaankar ki u enjoyed it as much as i do!
जवाब देंहटाएंAur Udaasi ka sabab to kayi rahe, kuch official to kuch personal par unki baat jane dein aap samajh ke bhi kya karengi khair ...
Haan Puneet Choubey ko bhi kabhi suniyega bade hi bhari bharkam kavi hain ye. Pehli baar class VI th mein Dharmyug mein inki ek kavita padhi thi Rail Yatra itna hansaya tha usmein inhone aur us waqt se hi ye mere chahete kaviyon mein se ek hain.
Hasya kavi samelan mujhe bhi behad pasand hain .par hamesha ise TV par hi dekha maine Manishji kyonki Hyd mein aisa programme kabhi ayojath nahin hota.yaad hain Holi ek din pehle DD par aise prog. aate the Phir ETC channel par ANGOOR kafi famous huva tha jise main kabhi miss nahin karta tha.Surinder sharma,Hullar muradabadi,Shail ji in sab ko sunkar kafi mazaa aata tha.
जवाब देंहटाएंshyad ek aur kavi hain unka naam shayad bhool raha hoon Pradeep chaubey yeh bhi MP se hain itnki kavitayen sunne ki baad hasni ko rokna kafi mushkil ho jaata hain.
thans for this wonderful poem sach mein bahut dino ke baad is tarah hasa hoon main.Net pe kahi par intki kavitayen hain to mujhe batana.
shukriya aapka Manishji.
Nagu Bahut bahut dhanyawaad ki aapki reply ne mujhe meri ghalti ka ehsaas dilaya. Jee main Pradeep Choubey ki hi baat kar raha tha. THX for reminding me.
जवाब देंहटाएंhum bhi TV pe hi suna karte the aur aapki terah hi enjoy karte the.
Khushi huyi ye jaankar ki hasya ras ki kavitayein aapki bhi pasandida hain
Waah, waah.. dil ekdam khush ho gaya. Ise padkhar laga dubara is kaveeta ki yaad aa gayi; aisa laga ki Choubey jee khud hi kavita padh rahe hon. Vaisae, kavita sunne ka alag hi andaaaz hota hai.
जवाब देंहटाएंHumein bhi avsar mila tha sunne ka Antaragni (IIT-K ka salaana utsav) mein, maja aa gaya tha.. Kasam bhagwan ki, hum jhoot nahin bol rahe ;) (Yeh ek famous dialog tha kavi-sammelan mein, jin logon ne suna hoga, woh samajh payenge :)
watched "hasi special" in NDTV indai..lots of laughter challenge heroes and our good old surendra sharma...made an intesrestin watch on Holi...
जवाब देंहटाएंwatched "hasi special" in NDTV indai..lots of laughter challenge heroes and our good old surendra sharma...made an intesrestin watch on Holi...
जवाब देंहटाएंAbhas U r fortunate enough to watch Pradeep Choubey live. Humare yahan to yada kada hi kavi sammelan hote hain. Aur sach! live sunane ka lutf hi kuch aur hai. :)
जवाब देंहटाएंTilism Are maine bhi wo dekha tha 15-20 min. Kaphi maza aa raha tha. Amitabh Bachchan ko driver bana kar jo chutkula sunaya wo to behad mazedaar tha.
जवाब देंहटाएंAur Surendra Sharma ka wo purana andaz Main bolyo Patni Ji ..sunte hi hansi aane lagti hai.
ohh yaad aagya tumhare description se ufff...I have his face right infront of my eyes...awesome!!!!
जवाब देंहटाएंaccha laga yahan per phir se woh saari baatein tazi hogayeen :)
cheers
i was abt to comment here few days back bt then I/E got hangged
जवाब देंहटाएंi luv kavi samellan
and I'm sure you know it
infact i had got an opportunity to attend one of Surendra Sharma... hez mind blowing
ye kavita maine suni hain
bahut hi zabardast hain
wud luv if u can share more such poems
Cheers
Hahahaha...manish ji lOlz..hum itta hansay ittna hansay k kya batian kitta hansay :D
जवाब देंहटाएंThough mujhe pori tarah say samjh nahi aya as very muskil hindi u've used...magar phir bhi...jita aya us say hi itta hans liye k ab koi kacar nahi baki
iskadar muskurahat bekharnay k liye buhat nawazish manish ji :))
Puneet Jise khud kavita likhne ka shauq ho wo bhala kavi sammelan ko kyun nahin like karega!
जवाब देंहटाएंaakhir usi ki biraadari ke log thehre hee hee :)
Ek zamana tha Puneet jab Surendra Sharma ji ka prayojit karyakram vividh bharti mein raat 9 ke baad aata tha. Humara poora ghar radio ki bagal mein kaan laga kar bade chav se sunta tha unke four liners:)
Zainab hmmmm Pradeep choubey ki ye kavita aapke case mein kuch badal jati kyun..sunaoon..hee hee. Khair khushi huyi jaan ke u enjoyed the part u understood :)
जवाब देंहटाएंDON Purani batein, beete lamhe, bhooli bisri yadon ko taaza karne kre liye hi to ye blog banaya tha na :)
जवाब देंहटाएंaakhir aapki ek shaam isiliye to mangi thi maine...:)
badi khushi huyi jaankar Rohit ji!
जवाब देंहटाएंWaise Navneet ji ko maine kabhie suna nahin
manish ji aur whatever, i m a student from IIT Delhi, and i want to say that your choice is awesome and really deserves applause, but i m sorry to say that you are mistaken somehow, this creation "mushkil hia apna mail priye" is not by "pradeep chaubey"ji, but from the young gun "sunil jogi"ji, a versatile genius.
जवाब देंहटाएंI got the poetry from a forwarded msg with Pradeep Choubey as a poet from two sources.I tried to authenticate it on the web at that time but couldn't find any other independent confirmation.
जवाब देंहटाएंAfter ur mail I again went to google dev with two conflicting results.
I am still not able to decide as at this site the poem is credited to Mr Choubey
http://www.ebazm.com/phpBB2/viewtopic.php?t=929&view=next&sid=59ded32fe6500e7fc08eaf8ed4b6f01e
And at Jatland .com another forum to Dr Sunil Jogi
If u can throw some more light with some other links/sources on web or otherwise on this I will be glad to rectify my mistake.
this is not the poem of pradeep chouby it is written by Dr. Sunil Jogi delhi
जवाब देंहटाएंHello Manish,
जवाब देंहटाएंDesh se door reh kar hi uski yaad jyada aati hai. Ek waqt thaa jab main aur papa aur sabhi parivar ke log hasya kavi sammelan dekha karte they. Aaj main woh sab bahut miss karti hoon.
Lekin pata nahi kaise aaj surf karte karte tumhara website aayaa aur jab maine '..mel priya' kavita padhi toh dil ko bahut sukun mila. Kitna achchha likha hai aur kitna efforts kiya hai tumne usko upload karne ke liye. Kya baaki sabhi writers ki hasya kavitaye bhi tum upload karte ho??
Kudos to your efforts. Thanks again for making your site fantastic
Archana
Canada
Archanaji Der se uttar dene ke liye kshama prarthi hoon. Jo kavitayein sunta aur padhta hoon aur agar we achchi lagein to sab ke sath share karta hoon. Aap is link par wo sabhi kavitayein dekh sakti hain jo is blog par hain.
जवाब देंहटाएंhttp://manishkmr.blogspot.com/search/label/Kavita
waise ab maine devnaagri mein bhi likhna shuru kar diya hai
ek-shaam-mere-naam.blogspot.com
par
bahut hi nice poem likhi hai...hasya kavita ki har kasauti par khari utarti hai aapki kavita....
जवाब देंहटाएंbahut bahut badhai aapko....
Nidhish bhai kavita pasand karne ka shukriya. Par jaise maine post mein saaf likha hai ye meri nahin balki Delhi ke yuva kavi Dr Sunil Jogi ki kavita hai.
जवाब देंहटाएंkavita padhakar bahut hansi aaii aur bahut achha laga. Muze holi se jyada yad rahata hai holi ki shyam ka kavi sammelan. Maine pahali bar 1998 main Doordarshan par kavi sammelan dekah aur usi din se main kavi sammelan ka fan fo gaya...
जवाब देंहटाएंAj bhi muze Sahi Chaturvedi ki ak badi hi khubsurat kavita yad hai .kuch panktiya
Har patni shadike 1 sal tak chandramukhi, 5 sal tak surajmukhi aur fir sari umar jwalamukhi ban jati ahi
ak din hamari patni hamse kahane lagi, Adami ho adami ki tarah raho
koi ahasan nahi karte jo kamakar khilate ho.
wo samane dekho kaise zule main zulate hai
Maine kaha priye zula aur tumhare liye.. tumhare size ka kaha milega priye...
I dont remember this poem completely ... but too good poem by Shail chaturvedi.. If you get it pleaze post it so that every one get a smile after reading it...
इस टिप्पणी को एक ब्लॉग व्यवस्थापक द्वारा हटा दिया गया है.
जवाब देंहटाएंWaah Manish ji.. mazaa aa gaya..
जवाब देंहटाएंkaafi waqt beet gaya tha sunrender ji ki kavita ke darshan hue.. aur mili bhi toh yeh.. jahaan se unke liye deewangi shuru hui thi..
mazaa aa gaya.
I need a help. I listened with full attention to Dear Pradeep Choubey in last year's World Book Fair at Pragati Maidan, New Delhi, delivering his poem 'MAA (MOTHER)'. Can someone give me clue how to get hold of this poem. It gave me memories of my whole past life. Regards Chandrakant (chandrasaxena58@rediffmail.com)
जवाब देंहटाएंदिल काटने वाली कवितायेँ लिख कर रुलाते क्यों हो ................
जवाब देंहटाएंsuperb yaar really awesome, thanx manish for this great poem.... i really enjoyed it...
जवाब देंहटाएंInhi tattwon par aadharit ek modern hasya poetry meri madhushala se:
जवाब देंहटाएंhttp://meri-madhushala.blogspot.in/2012/05/date.html
वैसे तो मैं बेहत शरीफ इन्सान हूँ...
पर facebook के युग में थोडा बदनाम हूँ !
facebook लगता है मुझे हिंद-महासागर
और girls के profiles होते हैं salty water
यू तो पानी का मजा तब आता है,
जब किसी proposed message पर
out of irritation कोई thought आता है !
यू किसी को सताना मेरा धर्म नहीं..
facebook पर लड़की पटाना मेरा कर्म नहीं |
फिर भी एक ख्वाइश है इमरान हाशमी बनने की...
e-messenger पर ही सही, दिले-शायरी कहने की!!
गुल बना गुलदस्ता बना वो chat वाले प्यार में,
हुआ जो दीदार तो disco खोल दूं bar में...
....
....
....
....
Hiiiiii I am devesh I like this poem very much air sach btao mai ye kavita din me 3 bar padhtahoooo
जवाब देंहटाएंSattu sapreta kya hota hai?
जवाब देंहटाएं