Upar ki seedhiyon pe chalte huye aaj us group song ki bari hai jo dedicated hai un tamaam doston ke naam jo virtual aur real world mein mere sathi rahe hain! Is gane ki theme bahut mel khati hai mere man se. Yaar doston ke sath bitaye huye palon ko sanjo kar rakhna mera shagal raha hai. aaj main is geet se judi apni ek purani post pesh kar raha hoon jo maine Indian Idol ke khatma hone pe likhi thi...
"..............Pichle teen char mahinon mein jinhone poore Hindustan ki aawaam ka dil jeet liya ..........
Apni madhur aawaz ke jaal mein logon ko aisa bandha ki har Thursday aur Friday ke din log TV se chipak kar baithe rahe .........
Har hafte in 11 finalists mein se ek ek alag hota raha darshkon ki aankhein nam karta hua ...........
Aur kal jab ye silsila khatma hua to sare ke sare phir ekaththe huye is geet ko lekar jo Hindustan mein har countdown pe kaamyabi hasil kar raha hai.Ye geet jab bhi sunenge inki yaad hum sabko juroor ayegi.....
Hum….. rahein ya na rahein kal…
Kal….. yaad aayenge wo pal
Pal……ye hain pyar ke pal
Chal…..aa mere sang chal
Chal………..
Soche kya….. Choti si hai zindagi
Kal…… mil jayein to hogi khushnaseebi
Hum….. rahein ya na rahein, yaad aayenge wo pal
Aane wali……
Subah jane… hogi kitni suhani
Chamkenge aise ….ki sari duniya….. hogi apni deewani
Hum….. rahein ya na rahein, yaad aayenge wo pal
Jeetna ek ko tha
so koi jeet gaya
par meri nazar mein aap sab jeete hain kyunki aapne apne desh ki karodon janta ko sangeet se phir jod diya hai
Apni roz ki pareshani bhula kar wo aapke gaye geet gunguna rahe hain…
May god bless all of u aur aap sab sangeet ki un uchaiyon pe pahunche jiske liye aap sab ne itni mehnat ki hai.. "

Me first! :)
जवाब देंहटाएंJab yeh gana pehli baar suna tha... I instantly became a fan of KK :)
इस टिप्पणी को एक ब्लॉग व्यवस्थापक द्वारा हटा दिया गया है.
जवाब देंहटाएंI'm back here after a long long time...
जवाब देंहटाएंye to bahut khubsurat geet hain...
beautiful lyrics n very well sung :-))
@ ur prev posts...
Parineeta is topping ur countdown...
Tera Intezar hain... I hate Rahul Vaidya so I switch channel the moment this song comes ;-)
Pyar aaya aur jyada from Barsaat..
is movie main koi dhang ka gana bhi tha... may be the coz the movie was so sad mujhse woh geet nazar andaz ho gaya ;-)
I luvd ur post on Bulla ki jana main kaun... I'm gonna save that... thanks for the eng lyrics ;-)
Keep rocking
Cheers
Sayesha Wahan tum apne PC se pareshan ho aur main tumhare blog se! Pata nahin mere ghar ke PC ko tumhare blog se kitna lagaaw hai ki jab bhi koi comment karna chaho to wo hang ho kar wahan se hatne ka naam hi nahin leta.:)
जवाब देंहटाएंWelcome back Puneet!
जवाब देंहटाएंBarsaat mane dekhi nahin kyunki promo se hi wo dekhne layak nahin lagti but this song was so soothing.
Parineeta..hmmmm...I love all its songs more or less.
Bulla...Thx dear..ki tumne meri post ko is layak samjha
Rahul Vaidya ... Kahin aapki aur uski gf common to nahin hee hee...
very beautiful song sung by KK and i think is gaane ko aur bhi famous banaya Indiani dol ke contestants ne( i dont remember that well)
जवाब देंहटाएंHi Manish! Thanks for the dedication!! :D Heehee!
जवाब देंहटाएंThis song is one of my favs too, but it sounds better in KK's voice.
@ Puneet, whatever did Rahul Vaidya do to you??? :))
Manish...u wont believe it today...while I was driving home this was the song tht ws playing and I just said Manish tumhara diya hua gaana ufffffffffff....:) and look at this...mera to jee khushi se pagal hogaya ....it is indeed a very emotional...meri to aankhein bhigo deta hai ye geet...bahut khoob pesh-kash hai ..bahut khoob
जवाब देंहटाएंcheers
Hi Nagu jab bhi tumhara naam dekhta hoon aajkal to seedhe cricket ki baat yaad aane lagti hain :)
जवाब देंहटाएंmaine KK ka version nahin suna tha aaj hi suna, Indian Idol ne is song ko really kaphi promote kiya !
Urvi loz, its always wonderful to have netpals like u!
जवाब देंहटाएंHmmm achcha sawal hai Puneet se! Lets see what he says;)
DON Music & Poetry is such a binding force between us! sharing something which is held precious by a fren is a joy which is difficult to explain! Is n't it DON :)
जवाब देंहटाएंZombie Frankly speaking I have never heard the KK's version. Par aaj jab tum logon ne ye point out kiya to maine original version suna.
जवाब देंहटाएंTechnically speaking KK has sung it very well. Reason being he is a professional singer in comparision to the partcipants of Indian Idol.
But when u see the theme of song its impact increases when it is sung by a group bonded together.
Jab maine ise in participants ke dwara suna tha to meri bhaavnayein bhi jee uthin thin aur un sab ke sath meri aankhein bhi nam ho gayin thi aur ye geet mere man mein bhi palne laga tha, badhne laga tha!