kabhi koi haqeeqat khwab si lagne lagti hai..
to koi khwab haqeeqat ki shakl ikhtiyar karne lagta hai..
samajh nahin aata ki kis pe yakeen karein..
jo aankhon ke samne hai..
ya phir us sapne par jo door hote huye bhi apna sa lagne laga hai..
Pesh hai kuch aisi hi duvidha liye huye hai Gulzar sahab ka ye sahaj par marmsparshi (touching) geet ..
Is geet se muhe behad pyar hai. Aaj purane pannon ko palta to ye phir se mere samne aa gaya aur maine socha kyun na ise yahan bhi aap sab ke sath share karoon. Jab bhi ise sunta hoon man kho sa jata hai ismein !
Aap bhi kho kar dekhiye is geet ke jadoo mein ..
kabhee kabhee sapna lagta hai
kabhee ye sab apana lagta hai
tum samajhaa do man ko kyaa samajhaoon..
mujhe agar baahon mein bhar lo, shaayad tum ko chain mile
chain to us din khoyaa maine, jis din tum se nain mile
phir bhee ye achcha lagta hai, magar abhee sapana lagta hai
tum samajha do man ko kyaa samajhaoon
kabhee kabhee sapna lagta hai ..........
chehare par hain aur ek chehara, kaise use hataoon
meraa sach gar tum apana lo, janam janam tar jaaoon
aise sab sachcha lagtaa hain, sab kaa sab sapna lagta hai
tum samjha do man ko kyaa samajhaoon
kabhee kabhee sapna lagta hai ..........
About the song
Ye song film RatanDeep se liya hua hai jo ki 1979 mein release huyi thi. Ise aawaz di hai Asha ji aur Kishore ji ki jodi ne. Music Pancham ka hai.