मंगलवार, जून 07, 2005

Ratiyaan Andhiyari Ratiyaan....


Night &Darkness
.


Kya ye sach nahin hai ki andhere ko sabhi log peeda (pain) aur depression ka prateek (symbol) mante hain……
Par logon ki baat main kyun manoon?
Meri nazron ne to kuch aur hi dekha hai …
Kuch aur hi mehsoos kiya hai..
Jehan ki waadiyon se kabhi un lamhon ko chun kar dekhein..

..Dil jab kahin bhatak raha ho niruddeshya aur dishaviheen (i.e. without any purpose and sense of direction)..
jab apne charon or ki duniya bemaani si lagne lagi ho..
Yahan tak ki aap apni parchayi se apne saye se bhi door bhaagne lage ho..
kisi se baat karne ki iksha (desire) na ho..

Aisi halat mein apna gham apni peeda apni kuntha leke kiske paas jayenge aap ?


Sochiye to….?

Par mujhe sochne ki juroorat nahin ..
Aise samay mein mera wo mitra (friend) wo dost humesha se mere kareeb hi raha hai
Apni vishal god (large lap) mein kaali chadar lapete aamantrit (invite) karta hua..


Pehli baar isse dosti tab huyi jab main 15 saal ka tha…..
Aap yakeen karein na karein chutti ke dinon mein 7 baje ke baad se balcony hoti thi aur mera dost aur main is qadar ek doosre mein khoye rehte ki waqt kaise beetta ye pata hi nahin chalta tha!
Jane kaisi chumbakeey shakti (magnetic attraction) thi mere is mitra mein ki shaam se hi main uske aane ka besabri se intezaar karta !

College mein ye dosti aur gehri hoti gayi..
Farq sirf itna tha ki hostel ke us band kamre mein ghupp andhere ke sath koi aur sath ho aaya tha!
Aray array iska koi aur matlab na nikal leejiyega he he ha ha :)
Wo teesra aur koi nahin wo geet aur ghazlein thin jinke bol us mahoul mein ek dum se jeewit ho uthte the man ke taron ko jhankrit karte huye..

Kabhi we dil ko sukoon dete the..
to kabhi aankhon ki koron ko pani..

Isiliye jab Parineeta film ke is geet ko suna to man bojhal to hua par sath mein ye khushi bhi huyi ki aray maine to is geet ko is ke har lafz ko jiya hai mehsoos kiya hai apni zindagi mein..

To pesh hai ye geet jiski link aap sidebar mein mil jayegi..

ratiya…kari kari ratiya..
ratiya ..andhiyari ratiya..
raat humari to
chand ki saheli hai
kitne dino ke baad
aayi woh akeli hai
chuppi ki birha hai
jhingur ka baje saath

raat humari toh
chand ki saheli hai
kitne dino ke baad
aayi woh akeli hai
samjho ki baati bhi
koi bujha de aaj
andhere se jee bhar ke…..
karni hai baatein aaj
andhera rootha hai
andhera rootha hai
gumsum sa …
kone main baitha hai

raat humari to
chand ki saheli hai
kitne dino ke baad
aayi woh akeli hai
samjho ki baati bhi koi bujha de aaj
andhere se jee bhar ke karni hai baatein aaj

andhera pagal hai
kitna ghanera hai
chubhta hai
dasta hai
phir bhi woh mera hai

uski hi godi mein
sir rakhke sona…. hai
uski hi baahon mein
chupke se rona hai
ankhon se kajal ban
behta andhera.. aaj


raat humari to..
chand ki saheli hai
kitne dino ke baad
aayi wo akeli hai
samjho ki baati bhi koi bujha de aaj
andhere se jee bhar ke karni hai baatein aaj
andhera rootha hai
andhera rootha hai
gumsum sa, kone main baitha hai

18 टिप्‍पणियां:

  1. WOWWWW !!! itnay achay say aap apnay jazbaat ko bayan kartay hain k parhnay wala tou us mai gum hi ho jae,aap ka likha ek ek shabd maan mai utar gaya, sach hi kaha aap nay , Dil jab kahin bhatak raha ho ,jab apne charon or ki duniya bemaani si lagne lagti ho,kisi se baat karne ki iksha na ho tou aesay mai hum jaein bhi kidhar sochnay par ye ehsaas howa k waqai jaab aesi kafiyaat tari hoti hai tou hum sab hi apnay kamroun mai band ho jatay hain jahan sirf hum aur ghup andhera ho, jahan koi kuch pochnay aur saval karnay wala na ho bus hamari hi sunay wala ho,hamay maslihaat janay wala ho,aapki post par kar laga k hum insaan kabhi kabhar un cheezoun ko nazar-andaaz kardetay hain ya khaiye importance hi nahi jantay un cheezoun ki jo hamaray sakhth lamhaat mai hamaray sath reh kar hamara sath detay hain ,jaab hum dunya ki masroofiyaat aur bemaaniyon say tang akar ukta jatay hain tou hamari baat suntay hain , koi saval nahi kartay bus suntay hain , aur us mai say ek neglected cheez andhera bhi hai jis ki kadar hamay kabhi mehsoos hi nahi howi , log isay depression ka naam detay rahay aur hum logon mai shamil hotay rahy, saath hi roshni ki kirnoun ko salaami detay rahy k waah kya karishma hai , par hum ye bhool gaye k roshni tou khushiyon mai sath deti hai par andher tou hamary buray waqt ka humdard hai .

    aap nay jo geet pesh kiya usay pora parh kar buhaat acha laga , khaskar ye chand lines tou buhaat hi achi lagein,likhnay walay ki shidaadt ko zahir karti hain

    andhera pagal hai
    kitna ghanera hai
    chubhta hai
    dasta hai
    phir bhi woh mera hai


    aap ka bachpaan say hi andheray ki kadar karna aur is k aa janay kay intezar par Anwar masood sahab ka ek kalam pesh kartay hain

    raat aa_ii hai balaao.n se rihaa_ii degii
    ab na diivaar na zanjiir dikhaa_ii degii

    vaqt guzaraa hai pa mausam nahii.n badalaa yaaro
    aisii gardish hai zamii.n Khud bhii duhaa_ii degii

    ye dhundalakaa saa jo hai us ko Ganiimat jaano
    dekhanaa phir ko_ii suurat na sujhaa_ii degii

    dil jo TuuTegaa to ik turfaa tamaashaa hogaa
    kitane aa_iino.n me.n ye shaql dikhaa_ii degii

    saath ke ghar me.n ba.Daa shor barpaa hai 'Anwar'
    ko_ii aayegaa to dastak na sunaa_ii degii

    जवाब देंहटाएं
  2. plz,aap nahi hai jinke baare mera post tha.aise ho hi nahi saktha.This blog is one of my fav,u keep blogging,i am writing this at 4.30am,just that couldn wait even for a sec to clarify things.i will be back

    जवाब देंहटाएं
  3. hey... damn sweet post... bahut dino baad itna kuch hindi main padhne ko mila, yehan Mumbai main rehte rehte waise hi hindi kharab ho chuki hain... baht acha laga padh kar :-)

    जवाब देंहटाएं
  4. Manishji,let me say this,the song was on many blogs,and we all quote so many beautiful songs and that dosnt mean we all copy.So i was refering to a person who just takes up my posts and changes a few words here and there and posts it somewhere else:) and it has nothing to do with any person coming on my blog.aapke comment ne mere dimaag ko ek min keliye sunn kardiya that,socha nahi tha ki aisa hosaktha hai,nahi dost,gaane aur khayal koi chori nahi kartha,aur jo kartha hai woh pakada jaatha hai.
    Aur ab hum gane ke baare mein baatein karein? Ye gana bahuth hi anmol hai mere liye kyon ki ye ek ehsaas hai un andheri raaton ki jab meri ma sonchthi thi ki unki beti sapne ke shehar mein goomrahi hai,aur mein chupke se apne kamre mein letkar roya karthi thi,kisi ko yaad kiya karthi thi:) Zindagi ke ek mod pe aanso rukthe nahi the,aur andhera saath diya kartha tha unhe chupaane keliye:)
    Aap likthe rahiye,humein aapke blog ke har ek post ko padna bahuth hi accha lagtha hai.

    जवाब देंहटाएं
  5. Shukriya Zainab
    jaankar behad khushi huyi ki humare har ik lafz ko dil se mehsoos kiya. Apni baat apne doston tak pahuncha sakoon is se adhik khushi ki bbat kya ho sakti hai mere liye!

    to maana na aapne ki andhera humara hamdard hai aur wo bhi un lamhon ka jo reh reh ke tees dete hon..

    Anwar sahab ki behtareen ghazal pesh karne ka shukriya!

    जवाब देंहटाएं
  6. Unaiza ji
    Swagat hai aapka meri blog pe..
    Waise aapke is hmmmmm... ko interpret karna bada mushkil hai :)
    waise Unaiza lafz ka matlab kya hota hai ye juroor bataiyega!

    जवाब देंहटाएं
  7. Shukriya Puneet!
    aapko humari batein achchi lagin jaankar behad khushi huyi. mujhe hindi aur urdu donon hi behad pasand hai aur isi wazah se maine inhein apni dil ki baat sab ke samne kehne ka madhyam chuna hai!
    I hope ki aap apni posts pe aapke comments mujhe mlte rahenge!

    जवाब देंहटाएं
  8. WOW ,....I still can't believe this ke tum bhi??? Parineeta...:) mein sochoon aur yahan aakar sab padh loon ...kya yeh ek samaan he nahi hein? :D

    amazing ...bahut accha laga...visminiya baatein!!

    जवाब देंहटाएं
  9. Hi Neels
    hmmmm humn bhi tumhari post padh ke aisa hi mehsoos hua tha!
    aisa coincidence tha ki mujhe dar lag gaya ki kahin by any chance ....
    tum yakeen karogi tumhare blog pe quote kiye huye sare song mere fav rahe hain!
    i was so pleased to find another person whose taste of music is so much identical!
    Net pe mere liye ye anubhav naya nahin hai. Kareeban 2 saal se net pe music & poetry ke forums pe bitate huye aise kuch logon se mulaqat huyi hai !
    farq sirf itna tha ki first time it was someone based in india
    so tumhari post dekh ke tension ho gaya ki ye misunderstamding meri wazah se to nahin isiliye socha pooch hi loon!

    Office mein subah aa ke clarification dekhi to ek sense of relief mila!

    andhera shayad bana hi in udaas lamhon ke liye hai.

    Zindagi ke ek mod pe aanso rukthe nahi the,aur andhera saath diya kartha tha unhe chupaane keliye

    hmmmm I can understand.....

    जवाब देंहटाएं
  10. jagti ankh ka her bhaid pata hay is ko
    yah alag baat hay kuch moonh say nahin bolti raat


    wah! kya baat kahi hai shayar ne
    absolutely true ISHA!

    Zakhmon ko apni kaali chadar mein lapetna to raat ka kaam hai hi Isha
    sahi kaha hai shayar ne

    abhi tu rut badalni thi abhi tu phool khilnay thay
    abhi tu raat dhalni thi abhi tu zakham silnay thay


    Bahut khoob!

    जवाब देंहटाएं
  11. Hi DON

    parineeta ke song hi nahin movie bhi achchi dikh rahi hai. Vidya Balan ki pehli movie hai she seems to be qt talented!

    waise ye to KL ke ilaqe ki story hai movie ke tkts to unki hi taraf se aane chahiye the!:)

    जवाब देंहटाएं
  12. Not yet read the whole post, just read the first line. No, I don't consider darkness to be sign of pain or evil. Uh! in a clear, dark night lie donw on your terrace and look upto to the sky and enjoy all the beauties of stars and our milky way galaxy stretching. Or think of spending a dark night in the forest where you can hear all the rustling of leaves and cries of animals but almost see nothing. Woooooowwww......those are experiences beyond description and has absolutely nothing to do with pain or fear or anything.

    जवाब देंहटाएं
  13. Jaanti hain Isha yahan bolchaal ki bhasha mein IG se generally log baag Inspector General mean karte hain!hee hee:)
    Maine to yahi dekha hai net pe ki agar aapki baat kisi ko kheench lati hai aapke blog pe to 80% chance hai ki aapko bhi un visitors ki blog mein kuch aisa padhne ko milega jo aapke man ka hai:)! Phir bhala IG sahab:) kaise rah jate!

    hmmmmmm juroor poochiye yahan if it is related to this post otherwise mail me!

    जवाब देंहटाएं
  14. Thx for finding time to post ur comment KL! par main tum pehle poori post padh lo fursat se uske baad hi I will react to ur comments.:)

    जवाब देंहटाएं
  15. wow KL: am impressed to read your comments here..:) you talking about darkness is not painful..kewl...lage raho..am glad to hear some positive and liveliness from ur end ..;) manish ki baat ka bura mat maan na ke ticket ka intezaam aapne nahi kiya ...lol...waise post parh lijiyega zaroor...:D

    जवाब देंहटाएं
  16. Are DON humne KL ko kuch kaha thodi hi hai ki wo bura manegi!
    I wanted her to read the complete post!
    Because in the post I have treated Darkness as my friend who is always there for u wheather in times of pain which I have elaborated because that was what song also portrayed & even to share joys of watching nightsky which KL has pointed out which I agree completely :)

    Isilye usse kaha tha ki poora padho par ek to waise hi apne superviser se trasta hai aur upar se ye Hindi ha ha ha so idhar aane ki fursat nahin mili use!

    जवाब देंहटाएं