Gurudongmar se wapas ab humein Lachung ki or lautana tha. Subah se 70 km ki yatra to kar hi chuke the. Ab 120km ki is durgam yatra ke bare mein sochkar hi man mein thakawat ho rahi thi. Is poori sikkim yatra mein dopahar ke baad shayad hi kabhi dhoop ke darshan huye the.
Hawa ne phir zor pakad liya tha . Door samne wale pahad par barish ke badal bhi tairne lage the.
Wapasi mein hum Thangu ke paas Chopta Valley mein thodi der ke liye ruke. Do unche parvaton ke beech ki is ghati mein ek patli nadi behti hai jo jadon ke dinon mein poori jam jati hai.

Lachen pahunchte pahunchte barish shuru ho chuki thi. Humare travel agent ka iraada Lachen mein bhojan kara kar turant Lachung le jane ka tha. Par bina hath pair seedha kiye koyi aage jane ko taiyar na tha.
Nateejan 3 baje ki bajaye 4.30 baje Lachen se nikle. Jaise jaise roshni kam ho rahi thi barish utna hi prachand roop dhaaran karti ja rahi thi. Ghazab ka nazara tha, thodi thodi door par ufante jalprapaat, gadi ki windscreen se takrati barish ki moti moti boondein, sadak ki kali lakeer ke bagal bagal chahalqadmi karte huye badal aur man mohti hariyali.Yatra ke kuch adbhut drishyon mein ye bhi ek tha. Chalti gadi se li huyi ye tasweer bakhoobi badalon ki is chaal ki jhalak deti hai..
Chungthang kareeb 6 baje tak pahunch chuke the. Yahin se Lachung ghati shuru hoti hai. Chungthang se Lachung ka safar dare sahme guzra. Poore samay humein ghumavdaar raston se upar aur upar dheere dheere khisakte jana tha. Ek or badhta hua andhera aur doosri or barish ki wazah se paida huyi safed dhundh. Is situation mein 60-70 km/h ki raftar se humara chalak kushalta se apni Mahindra hank raha tha. Ab wo kitna bhi kushal kyun na ho raste ka har ek U-turn humara hriday ki dhuk dhuki badhata ja raha tha. Nigahein meel ke har ek beette paththar ki aaturta se prateeksh kar n. rahin thin ki kab Lachung ke naam ke sath '0' (zero) ki sankhya (number) dikhai de jaye.
7.30 baje Lachung pahunch kar humne chain ki saans lee. Bahar hoti moosladhaar barish agle din ke karyakram (program) ka bantaadhaar karti nazar aa rahi thi. Thakaan itni jyada thi ki chup chap rajai ke andar dubak liye. 5.30 baje hotel ki chat par sailaniyon ki aawaz sun kar bahar nikle. Door door tak barish ka naamo nishan bhi nahin tha. Gehre Neele aakash ke neeche Parvaton aur suraj ki kirnon ke beech ki aisi aankhmichauni maine pehle kabhi nahin dekhi thi…
To be continued…