
Kabhie kabhi apni aitihasik virasat se roobaru hona behad achcha lagta hai. Khaskar tab jab itihaaas ke taar do alag alag jaghon ko is terah jod dete hon. Bachpan se
Patliputra , Nalanda aur Rajgir mein Magadh samrat
Ashok ke smriti chinhon ya shilalekhon ko dekhte aaye hain. Par
Orissa mein unhin prateek chinhon ko ek alag aitahasik prishthabhoomi mein dekhne ka anand hi alag tha.
Puri aur Bhuvneshwar ke raste mein Bhuvneshwar se kareeban 25 km par Dhaulagiri isthit hai. Dhauli main pehle bhi gaya hoon. Par Bhagwan Budhdha ki kisi sharansthali mein jana mere liye humesha se ek adbhut anubhav raha hai . Unke chehre ki bhav bhangima mujhe humesha se apne oor akarshit karti rahi hai. sach kahoon to un bheed bhad wale mandiron se kahin jyada sukoon mujhe baudh mandiron mein jakar aata hai.
Dhauli yani dhaulagiri ek pahadi pe hai. Is safed budhdhist mandir ko Japan ke sahyog se banaya gaya tha. Shayad isliye ki is pahadi ke theek neeche aaj bhi Samrat Ashok ka shilalekh vidyaman hai jo kalinga yudh ke uprant yahan sthapit kiya gaya tha.



Dhaulagiri se neeche ka drishya atyant manoram hai. Theek neeche kuch hi door mein Daya nadi behti hai.
Kalinga ka wo aitihasik yudh isi ke tat (bank) pe lada gaya tha . Us bhyankar raktpaat se dravit hokar hi Ashoka na baudh dharma sweekar kiya tha. Aaj is tasweer (my fav pic of the tour) ko dekh ke bhala kaun keh sakta hai ki yahan kabhie khoon bhari nadiyan bahin thin. Bas neeche ki hari bhari fiza dekhte hi ban rahi thi.
Raat ko wapas jane ke pehle kuch mandiron ko dekhna bacha tha. Uski baat agli post mein. Abhi ke liye to bas itna hi...