Aur haan is song ka mukhda sunne ke pahle ek khoobsurat si CIBAKA SMILE aap sabon ke chehre pe honi chahiye! Hmmmmm to Ameen Shayni sahab ki tarz yaad ki jaye to announcement kuch is terah se hoti...
To Choti ki is paaydaan pe wo gaana hai doston jiski dhun banayi Shankar Ehsaan Loy ne, jiske bol likhe Prasoon Joshi ne aur jise apni madhur aawaz se sanwara Bombay Jayshree ne
Boondon Ko Dhartee Par Saaz Ek Bajaney De
Ab agar main ye na bataoon ki mere man mein kaun si bhavnayein uthin thin is song ko sunne ke baad to meri baat adhoori reh jayegi...
Kai baar aap sab ne gaur kiya hoga ..
Rozmarra ki zindagi kitne hi tanavon se bhari kyun na ho kisi se hansi khushi do batein kar lene se man halka sa ho jata hai.
Thodi si hansi thodi si muskurahat man ke depression ko yun kam kar deti hai ki kya kahein!
Par humesha to koi sath nahin rehta na ghamon ko halka karne ke liye.
To kya kare koi ?
Aree! par aas paas koi nahin to kya hua uparwale ki di huyi ye aabo hawa ye khoobsurat fiza to hai na :)
Kabhi akele mein usmein doob kar dekhiye shayad hi zindagi ka koi rang aapko na dikhai de!
Chahe wo pawan ka mast jhonka ho jiska sparsh (touch) aapke dil mein ek gudgudi macha de..
Ya barish ki rimjhim bundein jo aapko hothon ko khud ba khud geet gungunane pe mazboor kar de..
Ya phir wo balkhati nadi jiska alhadpan aapke dil mein shararat bhar de..
Ya phir charon or phaili jheel ka shant thahra hua paani jo apni shunyata (nothingness) mein aapko is terah sama le ki aap apni abhi ki pareshani ko bhula baithein..
Ya phir bag ki wo titlee jo phoolon ke aas paas is terah mandra rahi ho jaise keh rahi ho ki ..
aree ab to poori terah khilo !
naya basant (spring) aane ko hai aur tum ho ki abhi bhi apni pankhudiya sikode baithe ho..
Aap kahenge nahin ji humein to ye sab nahin dikhai deta :)
Par shayron ko to mother nature is kadar attract karti hai ki unhein jeevan ka koi bhi lamha, koi bhi jazba isi se nikalta dikhai deta hai. Aur waise bhi ye sach hi to hai..
Ab Prasoon Joshi ki is nazm ko dekhiye aur mehsoos keejiye..
Apni charon or ki fiza mein kabhi apne aapko akela nahin payenge!
Khul Ke Muskurale Tu Dard Ko Sharmaney De
Jheel Ek Aadat Hai, Tujh mein Hee To Rehtee Hai
Aur Nadee Shararat Hai, Terey Sang Behtee Hai
Utaar Gham Ke Mozey, Zamein Ko Gungunaney De
Kankaron Ko Talwon Main, Gudgudee Machaney De
Bansuree Ki Khidkiyon Pe Sur Yeh Kyon Thithaktey Hain
Aankh Key Samander Kyon Bewajeh Chalaktey Hain
Titliyan Yeh Kehtee Hain Ab Basant Aaney De
Jungalon Ke Mausam Ko Bastiyon Mein Chaney De
Hawayen Keh Rahee Hain, Aaja Jhoomein Zara
Gagan Ke Gaal Ko Chal Jakey Choolein Zara
Khul Ke Muskurale Tu Dard Ko Sharmaney De
Boondon Ko Dhartee Par Saaz Ek Bajaney De
Mujhe is baat ka behad afsos rahega ki itna behtareen music aur lyrics hone ke bavjood bhi FILMFARE ne is film ke kisi bhi song ko nominate tak karne ke kabil nahin samjha! Anyway I will strongly recommend u all to buy this album! It worth buying :)
To listen the song click the link below
http://www.musicindiaonline.com/l/17/s/movie_name.7074/
Aur aakhir mein my special thanks to all of u Puneet, NEEL, DON, Phoenix, Zainab Isha, DD, Avik, Pari for patiently going thru my bakwas along with the countdown :)