शनिवार, अप्रैल 30, 2005

Chaand Aur Chaandni Part - II


Poore Chand ki Raat
.

Chand ko dekh ke kisi ke man mein kya khayal aate hain ye to nirbhar (depend) karta hai kisi shaksh ke maansik halat pe yani ki mental state of mind pe. Ab yahi dekhiye na, Vinod Sharma ji ki likhi huyi aur humare Jaggu ji ki gayi ye kavita chandni raat ki roomaniyat ka sach mein jadu sa jaga deti hai man mein.

Bujh gayi tapte huye din ki agan
Saanjh ne chupchap hi pi li jalan
Raat jhuk aayi pehan ujla vasan
Pran tum kyun maun ho kuch gungunao
Chandani ke phool tum muskarao

Ek neeli jheel sa phaila achal
Aaj ye aakash hai kitna sajal
Chand jaise roop ka ubhara kanwal
Raat bhar is roop ka jadoo jagao
Pran tum kyun maun ho kuch gungunao


(vasan-cloth, pran-my love, maun-silent, sajal-watery, achal -stationary)

Sach hi to hai ki jab dil mein pyar ka beej ankurit ho jaye to is chand mein hi humein apne priyatam ki chavi nazar aane lagti hai. Phir to humare us beloved se juda har ek emotion humari har ek bhavna isi chand ke sahare prasphutit hone lagti hai.

Nahin samjhe aap!

Koi baat nahin meri baton se nahin to Wasi Shah sahab ki baat aap juroor manege. Apne mehboob se judi yadon ko sanjoye rakha tha inhone par jab ye chand samne aaya to dil ka dard chupa na sake keh diye sare gile shikwe ..
Aur kyun na kahein bhai aakhir ye chand hi to priyatam ke sath bitaye huye un yaadgaar lamhon ka raazdaar hai..

Main hooN tiraa khayaal hai, aur chaand raat hai
dil dard se niDhaal hai aur chaand raat hai

aankhoN mein chubh gayeeN tirii yaadoN ki kirchiaaN
kaandhoN pe gham ki shaal hai, aur chaand raat hai

dil toR ke khamosh nazzaaroN ka kia milaa?
shabnam ka ye sawaal hai, aur chaand raat hai

campus ki nehr per hai tiraa haath haath mein
mausam bhi laa.zavaal hai, aur chaand raat hai

her ik kalii ne auRh liaa, maatami libaas
her phool pur malaal hai, aur chaand raat hai

chalkaa sa paR rahaa hai wassi, veHshatoN ka rang
her cheez pe zawaal hai, aur chaand raat hai


Par ye bhi gaur karne ki baat hai ki kabhi to hum apni beeti huyi yadon ko chand ke sath bante hain to kabhi chandni raat ki khoobsurti mein is terah madhosh ho jate hain ki usmein hi apne hamsafar ko dekhne lagte hain jaise Sahir sahab yahan dekh rahe hain..

Yeh raat hai ya tumhari zulfain khuli hui hain,
Hai chandni ya tumhari nazron se meri raatain dhuli hui hain
Yeh chaand hai ya tumhara kangan,
sitarain hain ya tumhara aanchal,
Hawa ka jhoNka hai ya tumhare badan ki khushboo,
Yeh pattiyon ki hai sarsarahut,
ke tumne chupke se kuch kaha hai,
Yeh sonchta hoon main kab se gum sum
Ke jab ke mujhko yeh bhi khabar hai
Ke tum nahi ho, kaheen nahi ho,......
magar yeh dil hai ke kah raha hai
Ke tum yaheen ho, yaheen kaheen ho !


Par chand ko lekar sirf pyar mohabbat ki batein hon aisi bhi batein nahin iski aad mein ulahane bhi diye jate hain ha ha.
Lata ji ke gaye huye is nagme ki banagi lein
nayika ko shikayat hai ki dekho to ek ye chand hai jo bina kahe roz mujhse waqt pe milne aa jata hai aur ek tum ho ki. Waada kar ke bhi nahin aaye..

Chand phir nikla
magar tum na aaye..
Jala phir mera dil
karoon kya main haye..,


Aaj ke liye to bas itna hi.. Agli baar milenge to aayenge adhoore aur udaas chand ki kahani lekar! Tab tak ke liye izazat doston!

मंगलवार, अप्रैल 26, 2005

Chand aur Chandani - Part-I



Ambar ki ek paak surahi
badal ka ek jaam uthakar
ghoont chandni pee hai humne
baat kufra kee , ki hai humne..
Amrita Preetam

To doston humare blog ka ye hafta Chand aur Chandni ke naam par..
Achcha bataiye to chand se hum sabka pehla parichay kab ka hai

Shayad un loriyan se na jo bachpan mein maan humaein pyar se sunaya karti thin

Chanda Mama door ke
Puye pakayein hoor ke
Aap khayein thali mein
Munne ko dein pyali mein


To bachpan ke wo hamare pyare se mama kab zindagi ki rahguzar par chalte chalte humare humsafar ban jayenge bhala ye kaun jaanta tha. Isiliye to kisi shayar ne arz kiya hai ki

Ye chand bhi kya hasin sitam dhata hai!!
bachpan mein mama, aur jawani mein sanam nazar aata hai!

Kya aapne kabhi chaand ke sath safar kiya hai!
Maine to kayi baar hi kiya hai chahe wo bas ka safar ho ya train ka
Khidki ke bahar door chitij mein sath sath hi to chalta raha hai wo
Kya aise mein kabhi aapka man nahin hua ki kash ye chand dharti pe utar aata

Aye chand khoobsurat
Aye aasman ke tare
Tum mere sang jamin pe
Thodi si raat gujaro
Kuch apni tum kaho
Kuch lo meri khabar
Ho jaye dosti kat jaye ye safar


Chand ki baat ho to aur uski Chandni ki baat na ho aisa kabhi ho sakta hai bhala
Nahin jee nahin !Harghiz nahin
Jara sochiye to..
Jab surya devta apna raudra roop dharan karte hain..
Aur apni kirnon ke vaar se hum sabhi ko jhulsa dalte hain..
To sham ke sath aayi ye chandni hi to humein apni dost si dikhti hai..
Jiskii vishal narm bahon mein sar rakhkar kisi apne ki yaad barbas hi aa jati hai ..

Bikhri huyi Narm si chandni
Lahron ke ghar jaa rahi roshni
Lamha lamha cho rahi hai sard hawayein
Tanha tanha lag rahe hain apne saye
Yaad aye koi..

To aaj ke liye to doston itna hi chand ke sath humara aage ka safar jari rahega….

रविवार, अप्रैल 24, 2005

Bunty & Babli in a Train Song from Gulzar

Dhanoon ki aankhon mein wo raat ka surma aur chand ka chumma….
Yaad aaya na aap logon ko wo R.D. Burman aur Gulzar ke combination wala song..
Train ki prishtabhoomi mein likha hua wo pehla song tha railgadi pe picturise kiya hua jo behad popular hua tha apne zamane mein !
Par achanak mujhe us train song ki yaad kahan se aa gayi!
Are ye jo Bunty aur Bubbly hai na ye unki hi karamat hai
Parson se hi humari TV screen pe inhone dhoom macha rakhi hai is train song ke sath
Aur wo bhi humare all time fav Gulzar ke bol le ke…..
To mulahiza pharmaiye aap bhi ye hansta muskurata thirakta nagma

chhote chhote shahron se
khali bhor dupaharon se
hum to jhola utha ke chale
baarish kam kam lagti hai,
nadiya madham lagti hai
hum samandar ke andar chale
o ho ho hum chale, hum chale oye raamchand re
hum chale, hum chale oye raamchand re

dhadak dhadak dhadak dhadak
dhuaan uddaye re
dhadak dhadak dhadak dhadak
siti bajaaye re
dhadak dhadak dhadak dhadak
dhuaan uddaye re
dhadak dhadak dhadak dhadak
mujhe bulaye re


"o ho jara rasta to do
thoda sa baadal chakhana hai
bada bada koyale se
naam falak pe likhna hai
chaand se hokar sadak jaati hai
usi pe aage jaake apna makaan hoga"
hum chale, hum chale oye raamchand re
dhadak dhadak dhadak dhadak…………


amma jhale sar pe liye
ghoomar ki thandi phulkariyan
hum hi jamin
hum aasmaan..
khasma noo khaye baaki jahan (thx silbil:)
chaand ka teeka maththe laga ke
raat din taron mein jeena veena easy nahin

शुक्रवार, अप्रैल 22, 2005

Jo is deewar pe latki hui tasveer tirchee kar gaya hai

Zindagi kabhi kabhi bahut mayoos kar deti hai!
khaskar tab jab kuch aisa ho jaye jiski kabhie kalpana bhi na kee ho
aur haal phil haal mein mera sath aisa hi hua

mera ek behad azeez dost jise mein salon se janta tha ek raat mujhe jhoothon ka pulinda de gaya!
chand batein hi to chipayi thi usne apne bare mein ..
uska naam bhi usi mein shamil tha ..
aur use ye batane mein do saal lag gaye ..
wo shaksh mujhe aaj bhi utna hi pyara hai!
shayad hi koi din ho jab jehan mein uski tasweer na ubharti ho!
par jitna viswas tha us per ..
uski baton par ..
kya aage bhi reh payega pata nahin!


aaj jab Gulzar sahab ki likhi huyi ye panktiyan padhi to laga wo to mere dil kee hi baat bol rahe hain....

Kisi mausam ka jhonka tha ..
jo is deewar pe latki hui tasveer tirchee kar gaya hai ..
gaye saawan mein ye deewarein seemee nahi theen ..
na jaane is dafa kyon.....inmein seelan aa gayi hai ..
dararein pad gayi hain ..
aur seelan is tarah bahti hai jaise ..
khusk ruksaaron pe geele aansoon chalte hain. ..


Ye baarish....gungunati thee
isi chat ki munderon pe
ye baarish gungunati thee isi chat ki munderon pe
ye ghar ki khidkiyon ke kaanch par
ungli se likh jaati thee sandese
bilakhti rahti hai baithi hui
ab band roshandanon ke peetche

Dophaharein aisi lagti hain
bina mohron ke khali khane rakhhein hain
na koi khelne waala hai baazi
aur na koi chaal chalta hai

Na din hota hai na ab raat hoti hai
sabhi kuch ruk gayaa hai
wo kya mausam ka jhonka thaa
jo is deewar pe latki hui tasveer tirchee kar gaya hai.

Rail se Safar ke Wo Yaadgaar Lamhe!

I love trains, They just fascinate me.
Kisi nayi jegah jane ki humesha se utsukta rahi hai mujhe. Jab mai chota tha kareeb 5 saal ka to Sasaram mein raha kerta tha.

Atpata sa naam hai na?
Aise to aaj ke poorvi Bihar ka ye ek chota sa kasba hai par Indian history mein Sasaram is liye important hai kyunki yahan Sher Sah naam ka baadshah hua karte tha jisne mughal samrat humayun ko hara kar mughal era ko beech mein hi interrupt kar diya tha. India ki sabse important road yani Grand Trunk Road (Delhi to Howrah) inhin ke zamane mein bani thi.

Sasaram mein hum log station ki bagal mein raha karte the. Us waqt train ki aawajahi se humari mohabbat is qadar thi ki kaun si train kab jati hai uski pherhist taiyar kar rakhi thi. Aise to subah kabhi nahin uthta tha par jis din Rajdhani Express (fastest train) pass honi hoti khidki ke paas subah subah pehle hi se uske intezaar mein palkein bichaye khada rehta.

Aur to aur soye soye mein bhi humara badbadana jari rehta tha ki phalan train aayi aur phalanx gayi

Jab humara rona dhona hota kisi baat ko lekar to pata hai Papa mujhe kahan le jate the?
Ha ha he he
Railway Platform pe..

Baad mein bhi jab thoda bada hua aur time table padhna aa gaya to kahin jane ke pehle us line ke sare station ko yaad kar leta tha ki kis ke baad kaun aayega. Aur phir khidki ke paas baithne ke liye to bhai behnon mein meri monopoly thi hi

Par khidki ka sath to din bhar ka hi rehta kyun ki sham hote hote to kadam khud ba khud chal padte the dibbe ke baahri darwaaze ki taraf

wahan pe khade ho ke hare bhare kheton khalihanon ko dekhne ka mazaa hi kuch aur hota……

suraj apni gehri laali liye dharti ki goad (earth’s lap) mein utarta dikhai padta.

Sab khuch shaant shaant sa.....
Par wo akelapan akelapan nahin lagta tha .......
sath hoti thi to patri par tez raftaar bhagti train......
hawa ke roomani jhonke......
station ke paas chote chote hath hilate huye bachhe......
aur door jhopadiyon se aata hua halka halka dhuan......
sab kuch man ko doosri duniya mein pahuchane ke liye kaphi hota tha
wo duniya jo apni aas paas ki zindagi se koson door hoti phir bhi behad sukoon pahuchane wali…......

Kya aapne bhi kabhi aisa mehsoos kiya hai?

रविवार, अप्रैल 17, 2005

Dard Bhi Lagta Saga Hai

Maine is hindi kavita ko kaphi dinon pehle Osho ki ek kitaab mein padha tha. Aur sach kahoon to ye kavita mujhe itni priya hai ki jab bhi ise padhta hoon to man mein ek ajeeb si hulchal hoti hai, bas ahi sochne lagta hoon ki sach lafzon mein kitni taqat hoti hai

Iski hindi aap logon ke liye shayad kathin ho par jo rhythm aur emotion hai ismein wo aap sab juroor mehsoos karenge aise aasha hai aap sab se…..

gandh se bojhil pawan hai
aur phir chanchal charan hain
kaun sa mausam laga hai
dard bhi lagta saga hai

anmili swar lahriyon ke geet jadoo dalte hain
shardi meghon tale maidan phool uchalte hain

aaj to vash mein na ma hai
geet se bheega gagan hai
pran ko kisne thaga hai
dard bhi lagta saga hai

o udasi ki kiran bhatki huyi kya keh rahi tu
dhundhlake ke paar yoon nissar hi kyun bah rahi tu

prêet ka koi vachan hai
nit nibhana pranay pran hai
nayan mein sapna jaga hai
dard bhi lagta saga hai

poorn youwan bhar kheton mein lachakti sandhya vela
bansuri ke swar sareekha ek mera swar akela

terta mano visan hai
aur tan man mein chubhan hai
kaun sa mausam laga hai
dard bhi lagta saga hai

शुक्रवार, अप्रैल 15, 2005

Jhuki Na Alkein... by Atal Bihari Bajpeyi

Jhuki Na Alkein...
Jhapi Na Palkein..
Sadion Ki Baraat Kho Gayee...
Rote Rote Raat So Gai....

Ghumri Badli...
Boond Na Nikli...
Bichhran Aisi...
Vyatha Ho Gayee...

Dard Purana....
Meet Na Jaana...
Aankhon Hee Mein...
Raat Ho Gayee....


AB Bajpeyi

रविवार, अप्रैल 03, 2005

Prakruti Aur Main

Blog ki ye posts apne aas paas ki prakruti mein apne aap ko dhoondhne ki meri koshish matra hai. Jeevan ke khatte meethe rangon ko prakruti ke vividh roopon mein pane ki khoj mein main kis had tak safal ho paya hoon ye to aapki pratikriyaein hi bata payengi.
  1. Chaand Aur Chaandni : Part - I
  2. Chaand Aur Chaandni : Part - II
  3. Chaand Aur Chaandni : Part-III
  4. Holi Ke Rang Phoolon Ke Sang
  5. Lachung, Sikkim ki Wo Anokhi Subah! देवनागरी में

Mere Sapne Mere Geet

Ek mood, ek kaifiyat geet ka chehra hota hai..
Kuch sahi se lafz jad do, maujoon se dhun ki lakeerein kheench do..
To nagma sans lene lagta hai, jinda ho jata hai..
Itni si jaan hoti hai gane ki ek lamhe ki jitni..
Haan kuch lamhe barson jinda rehte hain..
Geet boodhe nahin hote unke chehre pe jhurriyan nahin girti..
Wo palte rehte hain chalte rehte hain..
Gulzar
एक मूड, एक कैफियत गीत का चेहरा होता है..
कुछ सही से लफ्ज जड़ दो, मौजूं से धुन की लकीरें खींच दो..
तो नग्मा सांस लेने लगता है, जिन्दा हो जाता है..
इतनी सी जान होती है गाने की इक लमहे की जितनी..
हाँ कुछ लमहे बरसों जिन्दा रहते हैं..
गीत बूढ़े नहीं होते उनके चेहरे पर झुर्रियाँ नहीं गिरती..
वो पलते रहते हैं चलते रहते हैं..

गुलजार
संगीत चर्चा (Sangeet Charcha)



वो गीत जो इस चिट्ठे का हिस्सा हैं (Wo Geet jo is blog ka hissa hain)
  1. Bulla ki Jana Main Kaun by Rabbi Shergil

Kitabein Bolti Hain...!

Kitabon se kabhie guzro to yoon kirdaar milte hain
Gaye waqton ki dyodhi par khade kuch yaar milte hain
Jise hum dil ka veerana samajhkar chod aaye the
Wahin ujde huye shahron ke kuch aasar milte hain


किताबों से कभी गुजरो तो यूँ किरदार मिलते हैं
गये वक्तों की ड्योढ़ी पर खड़े कुछ यार मिलते हैं
जिसे हम दिल का वीराना समझ छोड़ आए थे
वहीं उजड़े हुए शहरों के कुछ आसार मिलते हैं

  1. Da Vinci Code by Dan Brown***
  2. Five Point Someone by Chetan Bhagat***
  3. गुनाहों का देवता Gunahon Ka Devta by Dharmveer Bharti****
  4. Na Junoon Raha Na Pari Rahi by Zahida Hina**
  5. क्षमा करना जीजी लेखक - नरेन्द्र कोहली ***
  6. मर्डरर की माँ लेखिका - महाश्वेता देवी **
  7. मन्नू भंडारी की 'महाभोज' Mahabhoj by Mannu Bhandari ****
  8. मनोहर श्याम जोशी की 'क्याप' **
  9. आशापूर्णा देवी रचित 'लीला चिरन्तन' **
  10. Massacre at Jallianwala Bagh by Stanley Wolpert ****

MY RATINGS

***** Superb
***** Excellent
**** Very Good
*** Good
* * Average
* Tolerable
0 Worthless

शुक्रवार, अप्रैल 01, 2005

Kuch Ghazlein Kuch Nazmein

Urdu Shayri se mera lagav college ke dinon se hai aur uski ek badi wazah wo fankaar the jinki ghazlein sun sun ke hum urdu poetry ki bareekiyon ko samajh sake . College ka baad ye silsila tab tak choota raha jab tak Internet ki mehfilon yani urdu poetry forum se roobaru nahin huye!
Is blog pe pesh ki huyi Ghazlein aur Nazmein ki pherhist apni links ke sath kuch is terah se hain! To aaiye aapke sath mil baith ke ye Mehfil sajayein


    1. Har Ghadi Khud Se by Nida Fazli & Manu Gautam
    2. Kitabein Jhankti Hain by Gulzar
    3. Koi Mausam Ka Jhonka Tha by Gulzar
    4. Na Mohabbat Na Dosti Ke Liye by Unknown
    5. Sheeshon Ka Masiha Koi Nahin by Faiz
    6. Raat Bhar Bujhte Huye Rishte Ko Taapa Humne by Gulzar
    7. Tum Na Jaan Paaoge by Javed Akhtar
    8. आँखों की कहानी : शायरों की जुबानी भाग १ भाग २ भाग ३
      Aankhon ki Kahani Shayaaron ki Jubani Part-I Part-II Part-III
    9. इंसान का दिल तंग हैं क्यूँ ? द्वारा जावेद अख्तर
    10. भले दिनों की बात है... द्वारा अहमद फराज In Roman Hindi