Jaisa ki mainne aapase kaha tha ki 15 se 22 payadanon tak ke geeton ke star mein jyada fark nahin tha. Par ab shuru ho raha hai is sangeetamala ka vo daur jis mein aate hain 14 vin se chhathi payadan tak ke geet jo meri rating mein behad aas pas hain. To aaiye doosare daur ka aaghaz karen Gulzar ke likhe yuvaraj film ke is geet se jisaki dhun banaee ek baar phir A.R.Rahman ne aur jise aavaj di Alka Yagnik aur Javed Ali ne ....
Kahte hain ki "muskurahat husn ka jewar hai" aur Gulzar jab is muskurahat ko apane bimbon mein dhalate hain to is geet se kavita sarikhe svar foot padate hain ab in lafzon par gaur karein
tu muskara jahan bhi hai tu muskura
tu dhoop ki tarah badan ko chhu zara
sharir* si ye muskurahaten teri
badan mein sunati hoon main aahatein teri
* natkhat
Geet ka itana hissa sunate hi aap Gulzar ke shabd jal mein bandh jate hain aur geet ki roomaniyat ke sath bahate chale jate hain.Ismein madad karata hai Rahman ka behatareen sangeet sanyojan. Char minute tak Alka ki mithi aavaj sunane ke baad Javed ka svar geet mein prem ke ehasas ko poornata deta prateet hota hai. Uske baad ki shastriy bandish aur parshv se aata Alka ji ka aalap man ko moh leta hai. Khud Gulzar, Yuvraraj mein Rahman dwaran diye gaye sangeet ko unake sabase achchhe kaam mein shumar karte hain.
Ab hamari chhodiye khud hi mahasoos keejiye mohabbat ki chashani mein doobe is geet ko Rahman ki madhur dhun ke sath
Tu muskura jahan bhi hai tu muskura,
Tu dhoop ki tarah badan ko choo zara,
Sharir si yeh muskurhatein teri,
Badan mein sunti hu mein aahatein teri,
Labon se aake choo de apne lab zara,
Tu muskura jahan bhi hai tu muskura,
Sharir si yeh muskurhatein teri,
Badan mein sunti hu mein aahatein teri…
Tu muskura jahan bhi hai tu muskura,
Tu dhoop ki tarah badan ko choo zara,
Sharir si yeh muskurhatein teri,
Badan mein sunti hu mein aahatein teri,
Labon se aake choo de apne lab zara,
Tu muskura jahan bhi hai tu muskura,
Sharir si yeh muskurhatein teri,
Badan mein sunti hu mein aahatein teri…
Aisa hota hai khayalon mein aksar,
Tujhko sochu to mehek jaati hu,
Meri rooh mein bassi hai teri khushbu,
Tujhko choo lu to behek jaati hu,
Teri aankhon mein, teri aankhon mein,
Koi to jadoo hai, tu muskura,
Jahan bhi hai tu muskura,
Tu muskura jahan bhi hai tu muskura,
Tu dhoop ki tarah badan ko choo zara,
Sharir si yeh muskurhatein teri,
Badan mein sunti hu mein aahatein teri..
Tez chalti hai hawaon ki saasein,
Mujhko bahon mein lapet ke chupa le,
Teri aankhon ki haseen nooriyon mein,
Mein badan ko bichau, tu sula le,
Teri aankhon mein, teri aankhon mein,
Koi to nasha hai, tu muskura,
Jahan bhi hai tu muskura,
Aaa..aaa..aaa…
Aaa..aaa…aaaa…
Aaaaaaaa….
Tu muskura jahan bhi hai tu muskura,
Tu dhoop ki tarah badan ko choo zara,
Sharir si yeh muskurhatein teri,
Badan mein sunti hu mein aahatein teri..