मंगलवार, दिसंबर 30, 2014

Annual Musical Count Down : Join this Daawat E Ishq with eleven romantic songs of 2014

बुधवार, नवंबर 12, 2014

Dali Mogre Ki by Neeraj Goswami

Neeraj Goswami Hindi blog jagat ke ek behad lokpriya shayar hain. Kuch hi dino pehle unka ek Ghazal sangarah Dali Mogre Ki prakashit hua. Is pustak ke bare mein vistaar se jaanna chate ho to neeche dee huyi link par click karein.


Isi kitab ki ek pasanddeda ghazal meri aawaaz mein

 

Raat Pahadon Ki Kuch Aur Hoti Hai : Gulzar

Pahadon par kaun nahin jaata . Kabhie maidanon ki bheesan garmi se nizaat pane ke liye to kabhi barf ke girte phaahon ke beech apne dil ko thodi thandak pahuchane. Pahadon par guzari koyi subah ya khushnuma sa din to shayad hum sab ke khayalon mein ho. Par pahadon par guzari raat ka anand lena ho to Gulzaar ki is poori  nazm ko padhein neeche di huyi link par

 रात पहाड़ों पर कुछ और ही होती है




Waise meri aawaaz mein ise sunna chahein to yahan sun sakte hain.




 एक शाम मेरे नाम पर गुलज़ार की पसंदीदा नज़्में

Remembering Madan Mohan : Sapnon Mein Agar Mere...

Lata aur Madan mohan ke beech sneh ka ek atoot rista tha. Ek doosre ke prate ye samman is sneh ka aadhar tha aur yahi wazah thi ki Madan Mohan Lata ki khoobion ko pehchante huye apni dhunein banate the aur Lata uske sath nyaay karne ki purzor koshish karti thin.

Aisa hi ek geet tha film Dulhan Ek Raat Ki ka. To aaiye aaj sangeetkaar Madan Mohan ki yaad mein doobte hain is geet ke madhyam se.


यादें मदन मोहन की : सपनों में अगर मेरे, तुम आओ तो सो जाऊँ 

मंगलवार, नवंबर 11, 2014

Lag Ja Gale Se.. by Sanam Puri

Sanam Puri Bharat ke ek ubharte huye parshwa gayak hain. Haal hi mein unhone Madan Mohan dwara sangeetbadh geet Lag ja gale se ko ek naye lahze mein pesh kar is geet ko yaadon ki band kothariyon se bahar la khada kar diya aur sath hi ye bhi dikha diya ki aaj ke yug mein bhi Madan Mohan aur unka sangeet kitna prasangik hai. 


Is sambandh mein mere vristat aalekh padhne aur is geet ko sunne ke liye neeche ki link par click karein.