रविवार, जनवरी 03, 2010

Varshik Sangeetmala 2009: Saal ki saat behtareen dhunein jinhone jhoomne par mazboor kar diya !

Dekhate dekhate naya sal aa hi gaya aur nae sal ka pahala din yani poori mauj masti ka mahaul. isalie mahaul ko banae rakhane ke lie Varshik Sangeetmala 2009 kee shuruaat kee ja rahi hai vaise geeton se jinakee dhunon poore sal hamen thirakane par majaboor kar diya aur inamen se kuchh par to shayad aap kal raat ke jashn men bhi thirake honge. aaj kee is post men mainne aise hi sat geeton ke mukhadon ko chuna hai jinakee ridam man aur tan donon ko hila jati hai.



To shuruaat vishudha mumbaiya filmi tadke se jismein chaunk lagane ka kaam kar rahe hai Salman Khan Pehchan gaye na ye hai film Wanted ka theme song




Salman ke funde to aapne sun liye ab Gulzar ke sath raat ki matki bhi phod leejiye. Ho sakta hai aapka bhi koyi gud luck nikal kar bahar aa jaye. Par huzoor iske liye ghar mein baithne se kaam nahin chalega. Karni padegi thodi sadkon par than thana than... :)





Statutory Warning: Is geet ka overdose aapko sar mein than than kara sakta hai:)

Waise Gulzar sahab ne is geet ke aalawa Jai Ho likh kar poore Vishwa mein apni jai jai kaar karwa lee. Waise to isse apekshakrit behtar geet Gulzar sahab ne kayi aur bhi likhehonge par A.R.Rahman ke karnpriya sangeet aur Jai Ho ke asardaar jumlre ne lagta hai Jury membraan par zabardast prabhav dala. Yahan tak ki Australia ke nav varsh samaroh mein is geet ko bajaya gaya




Par ARR aur Vishal bhardwaj se jyada bhari pada Pritam ka rocky bhangda . Chahe APKGK jki prem ki naiya ho ho ya Love Aaj Kal ka Twist aur Chorbaazari har jagah unhin ka sangeet chaya raha. Unk geeton ki dhunein thirkati rahin aur rahe sahe effect ko Neeraj Sreedhar ne apni mastmaula shailee ki gayiki se poora kar diya,. To inmein se kaun si dhun pehle sunna pasand karenge aap.

Kya kaha saap ke been se shuruaat karoon. to pakidiye bagal wale ki 'wrist' aur karna shuru keejiye twist :)



Suniye Chorbazari do nainon ki madmast sangeet jis par hum sabne saal mein na jane kitne thumke lagaye




Aur Ram ke bharise hi sahi Prem ki naiya ko kaise bhool jaiyega..



Ye to ho gaye six songs. Par saatwan song kaun sa hai . are ye song nahin dhun hai bhai aur mujhe ye saal ki sabse original aur pasandeeda jhumane wali dhun lagi. Aur iske dance steps to humare jaise nausikhiye bhi badi aasani se kar sakte hain . Ye dhun banayi Illaiaja ne to shuru ho jaiye पा पपपा पा पा पपपा पा पा पपपा ..... karne



Waise Big Boss mein Amit ji ne ye clipping khoob dikhayi. agar steps yaad na ho to yahan dekh leejiye.


Ye rahin meri pasand ki saal ki sabse zyada thirkane wali dhunein? Waise aapki pasandeeda dhun kaun si hai ye jaanne mein mujhe bahut maza aayega. Tab tak aap likhiye apni pasand main chunta hoon 25 wiin position yani 25 win paaydaan ka geet.

Ek Shaam Mere Naam ke readers ko meri taraf se hardik badhai. asha hai is naye saal mein is blog ke prati aapka sneh poorvavrat bana rahega.



Click Here to read this post in Hindi devnagari script.

Click Here to post your comment on this post. You can post your comment in English or Romanised Hindi also .