गुरुवार, जनवरी 07, 2010

Annual Musical Countdown 2009 - Song No. 25 - All Izz Well

Three Idiots ke gane maine kareeb teen hafte pehle sune the aur ek bargi sun kar man utna prassana bhi nahin hua tha. Karan the Swanand Kirkire. Parineeta aur uske baad Khoya Khoya Chand mein unke geeton ki kavyatmakta ho ya phirर Laga Chunri mein Daag mein do bahnon ki alhad chanchalta ko ubharta unka pyara sa geet ho wo humesha man mein apne geeton se alag sa ahsaas jagate the



So maine unse facebook par jaakar unse apni nirasha prakat kar dee par film mein unke geeton ka safar dekh itna juroor lag gaya tha ki kavyatmakta se hinglish ganon ka safar unhonein film ki script ke liye hi tay kiya hoga. Aur aakhirkaar jab maine film dekhi to wahi geet jo bas theek thaak lag rahe the filmankan ke baad behtareen lagne lage.

Khud Swanand Kirkire ne kya kaha is geet ke bare mein wo aap vistar se meri is post mein padh sakte hain

To varshik sangeetmala kee 25th Rank par isi film ka ek lokpriy geet hai jo aaj kal yatra tatra sarvatra baj raha hai:). Murgi ki baang se shuru hota ye geet aapko apne atpate bolon ki wazah se aapka dhyan pehle kheenchta hai, phir geet ki masti aapko jhoomne par vivash kar deti hai. Par jhumane kesath Swanand hansi hansi mein aaj ke chhatra warg ki maansik sthiti ka bhi behtareen aakalan karte hain.

Shantanu Moitra ke mast sangeet par bane is geet ko Sonu Nigam ne Swanand Kirkire aur shaan ke sath milkar poore manoyog se gaya jise sun kar aap mehsoos kar sakte hain




Jab life ho out of control
Honthon ko kar ke gol
Honthon ki kar ke gol
Seeti bajaa ke bol

Aal Izzz Well

Murgi kya jaane aande ka kya hoga
Aree life milegi ya tawee pefry hoga
Koi na jaane apna future kya hoga

Honth ghuma
Seeti bajaa
Seeti bajaa ke bol
Bhaiyaa aal izz well

Aree bhaiyaa all izz well
Aree chachu aal izz well
Aree bhaiyaa all izz well

Confusuion hi confusion hai
Solution kuch pata nahin

Solution jo mila to saala
Question kya tha pata nahin
Dil jo tera baat baat pe Ghabraaye
Dil pe rakh ke haath usae tu fuslaa le
Dil idiot hai pyaar se usko samjha le

Honth ghuma.... aal izz well

Aree bhaiyaa all izz well
Aree chachu aal izz well
Aree bhaiyaa all izz well

Scholarship ki pi gayaa daaru
Gham to phir bhi mitaa nahin

Agarbattiyan raakh ho gayi
God to phir bhi dikha nahi

Bakra kya jaan uski jaan ka kya hoga
Seenk ghusegi ya saala Keema hoga
Koi na jaane apna future kya hoga

To Honth ghuma...


Hansi ki phuhaaron ke saath ye geet engineering college ke un purane dinon ki yaad dila deta hai jismein ye idiotic lamhe apne lagne lagte hain




Click Here to read this post in Hindi devnagari script.

Click Here to post your comment on this post. You can post your comment in English or Romanised Hindi also .