बुधवार, दिसंबर 31, 2008

Annual Musical Countdown 2008 : Song no. 25 : Pappu Can't Dance Sala

2008 khatma hone ki qagaar par hai aur saal ko vida karte samay waqt aa gaya hai Annual Musical Countdown yani Varshik sangeetmala ke 25 choti ke geeti ki ulti ginti shuru karne ka. Sangeetmala ki 25 vien paaydaan par gana wo jiska aarambhik sangeet bajte hi yuva to yiva bachche boodhe bhi thirakne lagte hain. Ye geet is saal parties mein itna baja hai ki sahayad ise sunte sunte aap thode bore ho gaye honge.



Jee haan main usi Pappu ki baat kar rahan jiske paas wo sabhi khoobiyan hain jo aaj ki peedhi mein cool kahlane ke liye nihayat juroori hai. Bas dikkat ek hi hai ki kambakht Pappu ko nachna nahin aata aur isliye Pappu cool hone ke bajay nira Pappu rah jata hai.

Khair nachana to mujhe bhi nahin aata par Anupama Deshpande, Beni Dayal, satish subramanian, Tanvi, darshana aur Aslam ke sammilit swar mein gaye is geet ne kayi baar bachchon ke sath jhoomne par vivash kiya hai. Jane tu Ya Jane Na film ke is geet ko Abbas Tyrewala aur A.R.Rahman ne apne geet sangeet ke badaulat ise saal ka sabse safal funky dance no. ke roop mein sthapit kar diya hai.

Is geet mein 'sala' shabda ke prayog par bahas ho sakti hai. abbas 'sala' ki jagah 'baba' ka bhi istemaal kar sakte the. Par gane ka masaledaar jayke ko ubharne ke liye shayad unhone 'sala' ko hi prefer kiya. Ab chodiye in baaton ko ab jabki naye saal ke aane mein ek ghanta hi shesh rah gaya hai to kyun na ek baar aur thirak lein apne Pappu ke sath





Aur haan Ek Shaam Mere Naam ke pathakon ko is mauqe par Nav varsh ki hardik shubhkaamnaayein. asha hai is blog ke sath aapka ye judav naye varsh mein bhi bana rahega. Apne vichar mujhe is blog par comment ya mujhe seedhe mail kar avgat karate rahein.isse aap sabse sampark bana rahta hai.


Click Here to Post your comments on this post.

शुक्रवार, दिसंबर 26, 2008

Annual Musical Countdown - 2008 ka aaghaaz aur ek nazar pichli countdowns par

To doston waqt aa gaaya hai Annual Musical Countdown 2008 shuru karenge. Is blog ke purane pathak Jaante hai ki ye silsila is blog par 2005 mein shuru hua tha jab 2004 ke 10 behtareen geeton ko is blog par pesh kiya tha.
Aur phir har saal saal ke aakhir mein meri nazron mein saal ke 25 manpasand geeton ko aapke saamne prastut karta raha hoon. Is baar bhi ye silsila 31 december se shuruat karne ka iraada hai. To isse pehle ki main ye countdown shury karoon ek nazar pichle salon ke sartaaj geeton ki taraf.
Sabse pehle 2004 ki baat karoon to is saal Phir Milenge ke do geeton Khul Ke muskura de tu aur kuch khushbuyein yadon ke jangal se beh chalin ne is geetmala mein pehla aur doosra sthan banaya tha. Ye donon hi geet Prasoon Joshi ne likhe the aur dhun dee hi Shankar Ehsaan loy ki tikdi ne.
Phir aaya saal 2005 jab Parineeta ka geet Raat humari to Chand ki saheli hai aur Hazaron Khwahishein aisi ke geet bawra man chale ek sapna ne sartaaj aur runners up geet ka sehra apne sir bandha tha. Is baar in donon geeton ko likha tha Swanand Kirkire ne aur dhun banayi thi Shantanu Moitra ne
.
2006 ki annual countdown mein Javed Akhtar ka likhe geet age Janam mohe bitiya Na Keejo (sangeet Anu malik) aur Mitwa mujhe sabse dil ke kareeb lage. Halanki is saal omkara aur guru film ke geet bhi behad achche the.
Aur pichle saal to Tare Zameein Par ke liye Shankar Ehsaan Loy aur Prasoon Joshi ne qamal ji kar diya. Aur ise Title song ko doosra aur behad samvedansheel nagme Maan... ko pehla sthan mila

to ab hai saal 2008 ki bari. Kya koi naya chehra is baar sartaaj geet mein shamil hoga ya wahi purane diggaj hi shikhar par chhaye rahenge .Is baar 25 geeton mein ek ko chhodkar sabhie is saal ki music release karne wali hindi filmon se liye gaye hain. Ek geet Non Filmi album ka haiasha hai mere manpasand 25 geeton ke is countdown show ka aap hissa banenge apne comments ke sath.

गुरुवार, दिसंबर 25, 2008

The 3 mistakes of my life : Chetan Bhagat

Zindagi mein bhoolen to ham sabhi karate hain par in bhoolon ke bare mein kitanon se charcha ki hogi aapane ? shayad apane najadikiyon se ! ab ye idea to kabhi aapake man mein nahin hi aaya hoga ki apni ghalatiyon se tang aakar aap aatmahatya karane ki sochen aur use karyanvit karane se pahale ek bahucharchit upanyasakar ko e mail kar dein. khair main janata hoon itana dhansu tareeka aapake man mein kabhi nahin aaya, kyonki agar aisa hota to aap apana waqt meri is post ko padane mein barbad nahin kar rahe hote. :)

ab dekhiye ahmadabad ke govind patel ne yahi kiya aur chetan bhagat ki tisari kitab 'The 3 Mistakes of My Life' ke nayak ban baithe. govind bhagyashali rahe ki vo bach gaye aur apni kahani chetan ko suna paye. aur parason hi TV par ek promo dikha jisamein hiro kahata hai ki main govind hoon to turat samajh aa gaya ki ab 'Hello' ki tarah is kitab par bhi film banne ja rahi hai.

Chetan Bhagat ki ye kahani ahmadabad ki hai aur gujarat ki tatkalik ghatanaon bhookanpa, dangon aur bharat aastreliya kriket shrrnkhala aadi ke bich banati panapati hai. poori kahani un tin nimn madhyamavargiy doston ke ird gird ghoomati hai jinaki ruchiyan alag alag vishayon (dharma, kriket aur vyapara) se judi huee hain. mainne isase pahale unaki Five Point Someone aur One Night at Call Centre padi thi aur Five Point Someone ko to padane mein bahut maja aaya tha. agar kisi upanyasakar ki pahali kitab bahut pasand ki jaye to vo ek mapadand si ban jati hai aur aksar usaki tulana bad ki kitabon se hone lagati hai.

aur is hisab se 257 prshthon ki ye kitab mujhe utani pasand nahin aati. halanki chetan ki lekhan shaili hamesha ki tarah rochak hai. unake charitron se aam aadami bhi jald hi juda mahasoos karata hai. yuvaon ke dil mein uth rahi baton ko bebaki se likhane mein chetan mahir hain. unhonne gujaratiyon ke vyapar mein Never Say Die vali nishtha ke sath ek aam vyapari ki soch ko bhi tatolane ka kam kiya hai.

par kitab se gujarane ke baad aapko ye nahin lagta ki aapane kuchh vishisht padha. poori kitab ek vyavasayik hindi film ki patakatha jyada nazar aati hai jisamein rajaniti, dharma, hinsa, prem, cricket ka uchit anupaton mein samavesh hai aur yahi karan hai ki filmavalon ne is kahani ko jald hi jhatak liya.
antatah yahi kahna chahoonga ki agar aapake pas kuchh aur karane ko na ho to ye kitab pad sakte hain jaisa mainne hospital mein apani dyooti nibhate vakt kiya aur agar kitab se jyada filmo ka shauk rakhate hon to is par aadharit film dekh lein ..

बुधवार, दिसंबर 10, 2008

Jallad Ki Diary...Hangman's Journal by Shashi Warrior

Aapne mrtyu ko kya bilkul nazdeek se dekha hai? ya kabhi ye socha hai ki jab aap kisi ko bina vidvesh ke mar dein to usake baad aapaki kya manaahsthiti hogi. Kaisa lagata hai jab aam jindagi mein log aapako aur aapake peshe ko ek tarah ke khauf se dekhte hain. ek aam jan ke liye ye saval betuke aur bemani se lagenge. par jab bat ek peshevar jallad ki ho to ye prashn behad prasangik ho uthate hain.
inhi prashnon ko lekar keral ke angloindian upanyasakar Shashi Warrior pahunch jate hain Janardan Pillai ke paas, jinhonne travanakor ke raja ke shasan kal aur usake uparant mein tin dashakon mein 117 fansiyan deen thin. lekhak ne is upanyas mein un sari baton ko bina lag lapet pathakon tak pahunchane ki koshish ki hai jise janardan ne apani soch aur samajh ke hisab se lekhak dvara di gaee copiyon mein likha aur apane marne ke pahale lekhak ko saugat ke roop mein chhod gaya.

ye pustak sabase pahale 1990 mein Hangman's Journal ke nam se angreji mein prakashit huee aur isaka hindi sanskaran pahali baar penguin books ne yatra books ke sahayog se 2006 mein nikala. is sanskaran ka angreji se anuvad kumudani pati ne kiya hai. is upanyas ka vishay kuchh aisa hai jo na chahate huye bhi aapako ye sochane ke liye majaboor kar deta hai ki fansi ke samay jan jane vale aur lene vale ki kya dasha hoti hai. par us baare mein bad mein bat karate hain pahale ye bataiye ki fansi lagane ki bat kahate huye kya aapane kabhi socha hai ki vastav mein ye prakriya hai kya? par lekhak pathak ko is duvidha mein jyada der nahin rakhate aur upanyas ka aagaj kuchh yoon karate hain...

"......ise patan kahate hain
isake liye jailoron ke paas ek laghu talika hoti hai, yah batane ke liye ki aparadhi vyakti gardan mein lage fande sahit kitani doori tak gire jise usaka kaam safaee se tamam ho. visheshajnyon ka kahana hai ki use utana hi girana chahiye ki usake veg se rassi usaki gardan tod de. yadi sharir adhik door girata hai to rassi usaki gardan mein dhans jati hai aur bahut sanbhav hai ki sir ko alag kar de. yadi sharir paryapt doori par nahin girata hai to gardan nahin tootegi aur vyakti ko dam ghutakar mitane mein kuchh minute lagenge...."

Janardan apane sansmaran mein kaee baar fansi dene ke pahale hone vali kavayad ka jikr karate hain. fansi ke takhte ka parikshan pahale bina vajan ke aur fir vajan ke sath kiya jata hai. jallad ka sabase pramukh kary hota hai rassi ki ganth ko sahi jagah lagana. ganth sahi jagah lagi to gardan turant tootati hai varna kaidi ki dam ghutakar dhire dhire maut hoti hai. purane jamane mein rassi khud jallad taiyar karata tha. rassi ka us hisse ko chikana rakhane ke liye jo gardan ko chhoota hai, makkhan ya rifanid tel ka is tarah istemal hota tha ki makkhan rassi ke reshon mein poori tarah sama jaye. ab to narm kapaas ka prayog hone laga hai.

takhta, livara, rassi ki janch ke bad livar chhoda jata hai to takhta niche divar se lagi paiding se takarata hai jo aavaj ko kam karane ke liye lagaya gaya hota hai. parikshan ho chuka hai. sab kuchh sahajata se sampann hone ke bad bhi janardan asahaj mahasoos kar rahe hain. ve janate hain ki aaj ki rat fansi lagane ke pahale vali rat koee kaidi unase aankhen nahin milayega. us rat janardan khud se saval poochhate hain

"..maut ko jivan se sahaj banane ke liye ham apane jivan ka itana samay kyoon laga dete hain? .."

par ye kitab fansi ki prakriya se kahin jyada fansi dene vale ke antarman mein jhankati hai aur yahi is upanyas ka sabase sashakt pahalu bhi hai. kisi ko marana chahe vo aapaki dyooti ka hissa kyon na ho manasik roop se behad yantrana dene vala hota hai. aur janardan is yantrana se har fansi ke bad doobate utarate hain. kyon ye pesha chuna unhonne? pet palane ke liye isake aalava koee chara bhi to nahin tha. man ko samajhate hain. aakhirakar ve raja ke nirnay ka palan bhar kar rahe hain. vo raja jise dharati par bhagavan ka doot banakar bheja gaya hai. par kuchh salon ke bad jab janardan skool ke samay ke apane purane shikshak se milate hain to ve raja ke bhi ek samany insan hone ki asaliyat se vakif hote hain aur unake dil par hatya ka bojh har fansi ke bad badata chala jata hai.

par kisi ki jan lene ke pap se bachane ka dar sirf jallad ki pareshani ka sabab nahin tha,. khud raja bhi is pap ke bhagidar nahin banane ke liye ek alag tarah ki nautanki ko anjam dete the. lekhak ne is dilachasp prakaran ka khulasa apani pustak mein kiya hai.

har mrtyudand ke thik pahle vale din dopahar tak usaki kshama yachana ki arji raja ke paas pesh ki jati thi. raja sham ko fansi ki saja ko aajivan karavas mein badal dete par unake is nirnay ko amal mein lane ke liye unaka harakara sooryoday ke bad nikalata taki jab tak vo jel tak pahunche, fansi lag chuki ho. pata nahin raja aisa karake kisako chhalava dete the par bechara jallad kya karata usake paas to in chhalavon ki dhal bhi nahin thi. isaliye to un di gaee fansiyon ke baare mein janardan sochana nahin chahata. use lekhak par krodh aata hai ki kyon unake chakkar mein pada. par sochana padata hai chetan man mein na sahi to achetan svapnil man se....

".....main pahale sidiyan dekhata hoon, betaratib patthar ki sidiyan, jo fansi ke takhte ke niche bane andhere kuyen ki or jati hain. .............fansi ke takhte para, fande ke thik niche nakab pahane aadami khada hai. usaki dharidar poshak kadak or taja hai. vah nakab kuchh ajib sa hai......... sudoor dhol ki aavaj tej hoti hai aur main samajh jata hoon ki kya gadabadi hai. nakab adhik chapata sa hai. kam se kam vo utha huaa hissa hona chahiye , jahan aadami ki nak uthati hai. ....antaradrshti se ek pal mein jan leta hoon ki nakab ke pichhe koee chehara nahin hai.
nakab hi chehara hai.
bhay gahara hota jata hai . mujhe yahan se kisi tarah bach nikalana hai. vah lohe ka daravaja mujhase lagabhag tis fut door hai par main daud nahin pa raha hoon. main bahut takalif ke sath dhire dhire daravaje tak pahunchata hoon, par yah kya? daravaje par bhari tala pada hai jise main hila nahin sakata.
kisi poorvabhas ke chalate mudata hoon. vahan chapate nakab vala aadami dikhata hai, usake hath pair poori tarah mukt hain. main apani gardan ke ird gird usake majaboot hathon ko kasata huaa mahasoos karata hoon. main sans nahin le pa raha... main aankhen band karane ki koshish karata hoon taki usaka chapata sa nakab meri aankhon se ojhal ho jaye, par lakh chahakar bhi ye sanbhav nahin ho pata. jaise jaise apane ghutanon par dhasakata jata hoon mujhe maloom hota hai ki meri chhati ke bhitar dil fat jayega...."


janardanaise svapn se achanak jag uthe hain. par apani purani yadon ko taja karane ke kram mein ye svapn aur bhayavah hote jate hain. aakhir kaun sa aparadh bodh unhen salata hai aur usase nikalane ke liye ve kis tarah apane aapako manasik roop se taiyar karate hain ? in baton se judi is rochak aur ek alag tarah ke upanyas ki charcha jari rahegi agali kadi mein ...

सोमवार, दिसंबर 08, 2008

Mumbai Trashadi par Prasoon Joshi Ki Kavita : Is Baar Nahin...

Prasoon Joshi film jagat mein ek uchch koti ke geetakar ka darja rakhate hain. Phir milenge, Rang De Basanti aur fir pichhle sal ki bahucharchit film Tare Zameen Par ke geeton ko unhonne hi likha tha. is pratibhashali geetakar ke pichhe chhupe sanvedanashil kavi ko aap mein se bahuton ne shayad na dekha ho. kuchh din pahale is chitthe par aap sab ke sath unaki ek kavita intzaar aap sabake sath banti thi.

Aaj jabki Mumbai mein hal ki ghatanaon ne poore desh ko hi jhakajhor kar rakh diya hai to prasoon isase achhoote kaise rahate ? to aaiye padhein unaki peeda ko vyakt karati ye kavita jisake bhavon ko ham sab bharatavasi tahedil se mahasoos kar rahe hain..

Is Baar Nahin....

is baar jab vah chhoti si bachchi
mere pas apani kharonch lekar aayegi
main use foo-fu kar ke nahin bahalaoonga
panapne doonga usaki tees ko
is baar nahin

is baar jab main cheharon par dard likhoonga
nahin gaoonga geet peeda bhula dene vale
dard ko risne doonga
utarane doonga gahare
is baar nahin

is baar main na maraham lagaoonga
na hi uthaoonga ruee ke fahe
aur na hi kahoonga ki tum aankhe band kar lo,
gardan udhar kar lo main dava lagata hoon
dekhane doonga sabko
ham sabako
khule nange ghav
is baar nahin

is baar jab ulajhanein dekhoonga,
chhatapatahat dekhoonga
nahin daudoonga uljhi dor lapetne
ulajhne doonga jab tak ulajh sake
is baar nahin

is baar karm ka havala de kar nahin uthaoonga auzaar
nahin karoonga fir se ek nayee shuruaat
nahin banoonga misal ek karmayogi ki
nahin aane doonga zindagi ko aasani se patri par
utarane doonga use keechad mein, tedhe-medhe raston pe
nahin sookhane doonga deevaron par laga khoon
halka nahin padane doonga usaka rang
is baar nahin banne doonga use itana lachar
ki pan ki peek aur khoon ka fark hi khatm ho jaye
is baar nahin .....

is baar ghavon ko dekhna hai
gaur se
thoda lambe waqt tak
kuchh faisale
aur usake bad hausale
kahin to shuruaat karani hi hogi
is baar yahi tay kiya hai.......

बुधवार, दिसंबर 03, 2008

Girti Lashein Sulagte Prashna : Ek Lau Zindagi ki Kyun Bujhi Mere Maula.

pichhale hafte se pc ki or dekhane ka hi dil nahin ho raha. bloging hi bemani lag rahi hai. cuttack mein bharat ki jit ki khushi ko dil mein aatmasat kar hi raha tha ki channel surfing ke dauran remote ka button hath se dab gaya. aur fir rat ke das baje se daee baje tak tivi ke parde sadak par girati lashon ke manjar ko dekhata raha. bahut si tasaviren bilkul dil se nahin nikal pa raha, karyalay yantravat ja raha hoon par jehan mein vahi baten umad ghumad rahi hain. kuchh prashn hain jinhen har vyakti poochh raha hai, ye janate huye bhi ki usake prashn ka eemanadari se javab dene vala yahan koee nahin...




.......taj aur viti steshan par golibari shuru ho gaee hai. shuruaati report mein bataya ja raha hai shayad do guton ki aapasi ranjish ka natija hai. taj ke samane afaratafari ka mahaul hai. pulis ka sipahi hath mein danda le kar logon ko hata raha hai. par logon ko hatate hatate anayas hi bagal ki bench par jhuk gaya hai. ek goli usake pet ke pas lagi hai. jin logon ko vo vahan se hata raha tha vahi use kandhe par le kar kisi gadi se use hanspital bhijavane ka intajam kar rahe hain. ek taraf AK47 ki andhadhundh firing hai to doosari or ye pulisiya danda ! kya is nainsafi ka javab kisi ke pas hai?



......yek ghanta beet chuka hai. taj par pulis ki aur tukadiyan hathiyaro samet aa gaee hain. unhen bas itana bataya gaya hai ki taj mein kuchh aatankavadi ghuse hain. aatankavadi kitane hain, kahan chhupe hain pata nahi? par jaise hi ye sipahi apani position lene ke liye gadi se utarate hain oopar se goliyon ki bauchhar shuru ho jati hai. hamare sipahiyon ko apane shatruon ke bare mein kuchh bhi nahin pata hai par ve sankhya mein itane kam hote huye bhi sari gatividhiyan dekh pa rahe hain. agale chhar ghanton mein jab tak NSG commando ko kaman saunpi jati hai to bhi koee rananiti nahin ban paee hai aur na aatankiyon ki sthiti ke bare mein janakari mein ijafa huaa hai. sanbhavataः yahi vo samay raha hoga jab golibari se ghayal log dam tod rahe honge. sahaj prashn uthata hai ki kya hamari pulis jis par munbaee ki suraksha ki pahali jimmedari hai, kya is tarah ki sthiti se nipatane ke liye prashikshit hai?



.....viti par tabahi machane ke bad aatanki kama hanspital ki or chal pade hain. khabar milati hai ki vahan se ek jipsi uda li gaee hai. midiya us jipsi ko aate huye dikha raha hai. kaimaramain pulis ki jipsi samajhakar us par fokas karata hai. par ye kya usaki khidakiyon se goliyan nikalati dikh rahi hain. jipsi kuchh der mein ojhal ho jati hai par kaimara jese hi agal bagal ghoomata hai sadak par lashen giri dikhati hain. ek vyakti sadak par se apane mitr ko bula raha hai,par tabhi vo khud bhi goliyon ka shikar ho jata hai. e ti es pramukh hemant karakare aur unake sathiyon ko inhin bagate aatankavadiyon ne goli se chhalani kar diya hai. rat ke do baj gaye hain par is khabar ko sun kar man aur bujh sa gaya hai.



hemant karakare vahin hain jo maleganv ke bam dhamakon ki janch kar rahe the. kaisi vidanbana aur besharmi hai ki hamara pramukh vipakshi dal jo is janch ki satyata par savaliya nishan utha raha tha aaj is vir ki vidhava ko muaavaja dene ki bat kar raha hai. hal ke bam dhamakon ke bad muthabhed mein dilli mein bhi jab hamare javan shahid huye the to doosare dal apani rajanitik goti senkane mein pichhe nahin rahe the. aur pradesh ke grh mantri ki to bat hi kya kuchh hi dinon pahale bihar se gaye ek digbhramit chhatr ko marane ke bad unhonne bayan diya tha ki mu्baee mein goli ka javab goli se diya jayega. aaj jab asal ke aatankiyon ki goliyon se ladane ki unaki taiyari ki pol khul gaee hai to unaka bayan he ki aise chhote mote hadase to hote hi rahate hain. kya kaha jaye aise logon ke bare mein jinamein na netrtv ki koovat hai na kisi tarah ki manaviy sanvedanaon ki samajha. daraasala, aaj munbaee sanbhali hai to apane janbaj sipahiyon ki vajah se nahin to isase bhi bure parinam hamare samane rahate.


paksh aur vipaksh ke netaon mein itani ganbhir samasyaon se ladane ki na ichchha shakti hai na koee sochi samajhi rananiti. midiya bhi mool prashnon ko pichha karate rahane ki jagah tiaarapi ke chakkaron mein ulajh jata hai. aam aadami ke pas matadan ek hathiyar hai par vo kisako vot de? door door tak koee ऍsa netrtv najar nahin aata jisake pas in paristhitiyon se nibatane ke liye koee disha ho,koee dooradrshti ho.

par ham dabav jaroor dal sakate hain ki kam se kam suraksha ke saval par hamare neta ek sur mein bat karen. jis tarah har pradesh ke neta vikas ko mudda banane par majaboor huye hain usi tarah suraksha bhi ek mudda bane.
aatankavad se nibatane ke liye pulis aur suraksha balon ke hath kholane honge,rajanaitik dabavon se mukt kar unhen kam karane dena hoga, unaka sankhya bal badana hoga, unhein hathiyar dene honge aur prashikshit karana hoga. par itana karane se bat ban jayegi ye bhi nahin hai. hamein apana ghar bhi sanbhalana hoga, bharat ke sare logon ko ek jut karana hoga. aur ye ham aap kar sakate hain. sanpradayikata, kshetriyata aur jatiyata se nafarat failane vale netaon ka bahishkar kijiye. in netaon ke bahakave mein aane se pahale hamein ye sochana hoga ki ye jo kah rahe hain vo sare desh ke liye sahi hai ya nahin. hamare vir shahidon ki kurbani ham yoon nahin bhool sakate, hamein aapane aap se hamesha ye poochhate rahana hoga.


ik lau is tarah kyoon bujhi mere maula ?
ik lau jindagi ki maula ?