शनिवार, अगस्त 11, 2007

My Favourite poems of Dr. Ram Kumar Verma

Dr. Ram Kumar Verma ke vyaktigat jeevan ke baare me muze jyaada kuchh pata nahee thaa. Agar aaj main, unakee ye kavitae aapake saamane pesh kar raha hoo to isaka poora shrey meree maataajee ko jaata hai jinhonne Varma jee kee kavitao se hamaara pratham parichay karaayaa. Aaj bhee aksar vo antyaakSharee khelate vakt ya aise bhee, unakee kavitae dhaaraapravaah bol jaatee hain. Ye muze baad me hee pata chala, ki aadhunik hindi saahitya mein Ram Kumar Verma jee kee ginatee, ek kavi ke aalaava naaTakakaar ke roop me bhee hotee thee. Ram Kumaar jee Allahabad Vishvavidyaalay se juDe the aur apanee samakaaleen, Mahadevi jee ke kareebee the.

Aaj aapke saamne unki teen rachnaon ko pesh kar raha hoon. Asha hai ye aapko pasand aayengi.
***********************************************************
Ye Gajre Taron Wale

Waise to barasaat me shaayad hee meghaviheen aakaash nazar aata hai. par gar aasamaan saaf ho to idhar-udhar bikhare taaro ka saundarya dekhate hee banata hai. Garmee me der raat bijalee gul hone se chhat par khaaT ke oopar leTe-leTe kitanee baar hee is drshy ka aanand uThaaya hai. Par taaro bharee raat, agar ek jharne ke bahate jal ke saanidhy me gujaaree jaye to.....? Paanee par TimaTimaate taaro ke laharaate pratibimb ka sammohan bhee kya khoob hogaa. to chale anubhav kare varma jee ka ye adbut shabdachitra...

is sote sansaar beech,
jag kar, saj kar rajnee baale!
kahaa bechane le jaatee ho,
ye gajare taaro vaale?

mol karega kaun,
so rahee hai utsuk aankhe saaree.
mat kumhalaane do,
soonepan me apanee nidhiyaan nyaaree.

nirjhar ke nirmal jal mein,
ye gajare hila hila dhonaa.
lahar hahar kar yadi choome to,
kinchit vichalit mat honaa.

hone do pratibimb vichumbit,
laharo hee me laharaanaa.
'lo mere taaro ke gajare'
nirjhar-swar mein yah gaanaa.

yadi prabhaat tak koyee aakar,
tum se haay! na mol kare.
to foolo par os-roop me
bikhara dena sab gajare.

***********************************************************

Ek Deepak Kiran Kan Hoon

Raat kee baat ho to fir usako uddeepit karatee deepak kee us kiraN kee gaatha nahee sunana chaahenge aap ? Baalkavi Bairaagi kee ek ojamayee kavita "Deevat par Deep" kee charcha to mainne pahale bhee kee thee. raam kumaar varma jee ne bhee dhuyein kee god me jalatee lau kee kahaanee kuchh yoon bayaan kee hai ..








ek deepak kiraN-kaN hoon
dhoomr jisake kroD me hai, us anal ka haath hoon main
nav prabha lekar chala hoon, par jalan ke saath hoon main
siddhi paakar bhee, tumhaaree saadhana ka..
jvalit kShaN hoon.
ek deepak kiraN-kaN hoon
vyom ke ur me, apaar bhara hua hai jo andhera
aur jisane vishv ko, do baar kya sau baar ghera
us timir ka naash karane ke liye,
mai aTal praN hoon.
ek deepak kiraN-kaN hoon
.

shalabh ko amaratv dekar,prem par marana sikhaaya
soory ka sandesh lekar,raatri ke ur me samaaya
par tumhaara sneh khokar bhee
tumhaaree hee sharaN hoon.
ek deepak kiraN-kaN hoon.

***********************************************************

Kholo Priyatam Kholo Dvaar....

Aur chalate-chalate vo kavita jo meree maa aur ab muze bhee behad priy hai .
Is chhoTee see kavita ko maa kee madad se mainne apanee diary mein utaara thaa. Shaayad ye tab likhee gayee ho jab chhaayaavaad kee tootee, hindee kaavy saahity me bolti thi.

shishir kaNo se ladee huyee
kamalee ke bheege hain sab taar
chalata hai pashchim ka maarut
le kar sheetalata ka bhaar

aruN kiraN sam kar se chhoo lo
kholo priyatam kholo dvaar....

Daro na itana dhool dhoosarit
hoga naheen tumhaara dvaar
dho Daale hain inako priyatam
in aankhon se aansoo Dhaar

aruN kiraN sam kar se chhoo lo
kholo priyatam kholo dvaar...

***********************************************************

You can post your comments here.