शुक्रवार, मार्च 09, 2007

Varshik Sangeet Mala 2006 : Sartaaj Geet

Dukh phasaana nahin ki tujhse kahoon
Dil bhi maana nahin ki tujhse kahoon

Aaj tak apni bekali ka sabab
Khud bhi jana nahin ki tujhse kahoon


Ahmad Faraz

Ye dukh bhi ajeeb se cheez hai. Ek baar andar palne lage to jee ghut ta sa rehta hai. Iksha bhi nahin hoti ki kisi ko kahein . Par koyi bhi baandh kitna bhi ooncha kyun na ho ek din to bharega hi aur usse beh kar nikalne waali peeda doosron ko bhi dard mein dubaayegi hi. Meri is sangeet srinkhala ke shikhar par virajmaan is geet kuch aisa hi dard udelta hua dil mein naksh ho jata hai.

Aakhir Umraao Jaan ki Ameeran ne us baandh ke toot jane ke baad hi aisa kaha hoga..
agle janam mohe bitiya na keejo....

Us jamaane ki ameran ki zindagi se door bhi chitak jayein to aaj bhi samaaj ke ek varga , ladki ke roop mein janma lena ko ek abhishapta zindagi ki shuruaat hi maanta hai.

  • Varna Punjab jaise samridha aur apekshakrit viksit pradesh mein bhroona hatyayein kyun kar hotin ?
  • Dahej ke lobhi kyun kar apni nahin to kisi aur ki bitiya ko jalate?
    Shiksha ke mandir aur aashram mein bhi padhai ki aad mein bachchon ka yaun shoshan kyun hota ?
  • Balaatkar ke doshi bhi seena taan kar bina kisi sharmindagi ke nyaayaalay mein kyun jate aur bedaag choot kar aate?
Roz roz aisa hote dekh bhi humara samaj chetna shunya sa kyun bana rehta hai. Sach to ye hai ki mastishk ke kisi kone mein humari soch nahin badli hai.

Jab bhi ye geet sunta hoon Richa Sharma ki aawaaz se nikalte shabdon ka dard dil mein jakar is kadar phail jata hai ki apne charon or ke tathakathit sabhya aur sikshit samaj mein ho rahi in ghatnaoon se nikalte ye sawal man mastishka mein saanp ke fan ki tarah dasne ko daudte hain.

Ye geet isiliye bhi mera pehle no. ka geet hai kyunki is geet ki peeda itni jeevant lagti hai ki dil mein ek jazba aur mazboot hota hai ki jo ho chukka use to nahin badal sakte par aane wale kal mein kuch to karein jisse kisi ki beti ko is geet ke dard se na guzarna pade.

Javed sahab ne is geet mein ek bitiya ke dard ko apni lekhni ke jaadu se is qadar ubhara hai ki ise sunne ke baad aankhein nam huye bina nahin reh paatin.Ritcha jee kee gehri aawaaz, awadhi jubaan par unki mazboot pakad aur parshva mein Anu Malik ka shaant behta sangeet Geet, sangeet aur gaayiki ke is behtareen sangam ko shayad hi koyi sangeetpremi sunne se vanchit rahna chahega
Ab jo kiye ho daata aisa na keejo
agle janam mohe bitiya na keejo.ऽऽऽऽ

Jo ab kiye ho daata, aisa na keejo
agle janam mohe bitiya na keejo...

Hamre sajanwa hamra dil aisa todin
Oo ghar basaain hamka rasta ma chhodin
jaise ki lalla koi, khilona jo paave
dui char din to khele, phir bhool jaave
ro bhi na paave aisi gudiya na kijo
agle janam mohe bitiya na keejo

jo ab kiye ho daata aisa na keejo
agle janam mohe bitiya na keejo

Aisi bidai bolo dekhi kahin hai
maiya na babul bhaiya, kauno nahin hai
ho..., aansu ke gehne hain, aur dukh ki hai doli
band kivadiya more ghar ki boli
is oor sapnon mein bhi aaya na keejo

agle janam mohe bitiya na keejo
jo ab kiye ho daata aisa na keejo
agle janam mohe bitiya na keejo
agle janam mohe bitiya na keejo



To suniye is geet ko aur izzazat deejiye mujhe. Asha hai pichle do mahine se chali aa rahi is sangeetmala ke kuch geeton ne aapke man ko bhi chhua hoga. Bahut bahut shuktiya un logon ka jo is shrinkhla ke dauraan yahan aate rahe aur apni raay se mujhe avgat karate rahe.

Is geet ki link meri Nov. mein likhi
is post par aapko mil jayegi .

हिन्दी में इस पोस्ट को पढ़ने के लिए यहाँ क्लिक करें ।

6 टिप्‍पणियां:

  1. Yipeeeeeeeeeeeeee!!!!I am correct...to mujhe hi prize milna chahiye.....

    जवाब देंहटाएं
  2. Pehli comment khushi ke maare likh dee...ke hamein bhi kuch achche geeton ki pehchaan hai aur manishji ki pasand ko guess kar gaye...lekin aapne soch-vichaar par majboor jo kar diya thaa...apke clues se aur apki pasand ki bhi thodi bahut jaankari ko dhyaan mein rakhkar "research" ke baad iss geet ko chuna...aap hamesha "gayaki", "bol" "sangeet" iss par stress karte hain..to yeh geet "hatkar" hai issliye shayad pehchaan gayi..kaisa raha!!!

    जवाब देंहटाएं
  3. Bahut achcha raha :)
    Ab bataiye prize kahan bhijwana hai :p

    Aapka shukriya ki aapne itni mehnat aur khoj kari meri pasandeeda get ko dhoondhne mein

    जवाब देंहटाएं
  4. You were right, I haven't heard this song.
    Yes, my most favourite song is in your list. :)

    जवाब देंहटाएं
  5. इस टिप्पणी को लेखक द्वारा हटा दिया गया है.

    जवाब देंहटाएं
  6. hats off to you :) ye geet yaad raha kaafi dino tak lekin kambakht ain waqt per deemag se nikal gaya...since I know you had mentioned about this song in one of your posts :)

    awesome!
    Cheers

    जवाब देंहटाएं