शनिवार, मार्च 24, 2007

Faiz Ahmad 'Faiz' : Roomani Kalpanaoon se Yathaarth tak ka Safar

Faiz Ahmad 'Faiz' ki shayari se mera pehla parichay tab hua tha jab aaj se teen saal pehle ek urdu poetry forum mein maine unki ek nazm Gar Mujhe Iska Yakin Ho, Mere Humdum mere dost padhi. Ab nazm to padh lee par pehle stanza ke baad kuch palle nahin pada. Us waqt us forum ki ek sabse senior member hua karti thin Maham Azmi. So humne darte darte unse darkhwast ki kuch madad karein . Aur jis patience se mujh jaise anjaane shaksh ko unhone iska arth samjhaya wo mujhe aaj tak yaad hai.

Waise main ye juroor kahoonga ki agar aap urdu juban mein naya kuch padh rahe hon to kabhie 'Faiz' se mat shuru keejiye. Pehle doosre shayron jaise Bashir Badra, Ahmad Faraz ko padhein aur phir Faiz ko padhein. Faiz ki shayari ke kayi rang hai. Apne shuruaati daur mein ishq ko apna sabse bada prerak batane wale Faiz ke jeevan mein waqt ke sath aise badlaav aaye ki unki shayari ki disha hi badal gayi. Faiz ke jaati zindagi aur unse judi bahut si batein unki maine vistaar se Hindi blog par
yahan
likhi hain.

Wahan par jo nazmein aur ghazalein likhi hain unmein sabse jyada mujhe ye priya hai. Is ghazal ke bare mein mujhe apni forum ki sathi Saharish Khan se pata laga tha aur unhone mujhe iski audio ki link bhi dee thi. Aur sach main Nayyara Noor ki aawaaz mein jab maine ise suna, ye is qadar zehan mein bas gayi ki shayad kabhie nikal na sake.


ham ke Thahare ajanabii itane madaaraato.n ke baad
phir bane.nge aashnaa kitanii mulaaqaato.n ke baad
[madaaraato.n=hospitality, aawaabhagat]

kab nazar me.n aayegii bedaaG sabze* kii bahaar
Khuun ke dhabbe dhule.nge kitanii barasaato.n ke baad
* Hare bhare khule khet

dil to chaahaa par shikast-e-dil ne mohalat hii na dii
kuchh gile-shikave bhii kar lete munaajaato.n ke baad
[munaajaato.n=prayers]

the bahut bedard lamhe.n Khatm-e-dard-e-ishq ke
thii.n bahut bemahar* subahe.n meharabaa.N raato.n ke baad
* dushwaar,kathin

un se jo kahane gaye the "Faiz" jaa.N sadaqaa kiye
anakahii hii rah ga_ii vo bat sab baato.n ke baad

Click here for english translation of this ghazal
Faiz ki shakshiyat, unke kavya vishay, waqt ke sath unki shayari mein aaye badlaav ko unki nazmon aur ghazlon ke sath apni in teen posts mein vyakta karne ki koshish ki hai. Asha hai ye silsila aapko pasand aayega


  1. 'फैज' : राजनीतिक और सामाजिक बदलाव के स्वर ( Bol ke Lab Azaad Hain Tere with audio clip of Tina Sani, Kutte, Sab Taaz Uchhale Jayenge, Cha.nd Roz meri Jaan, faqat Ch.and Roz, Kuch Ishq kiya Kuch kaam kiya-31.3.07)

10 टिप्‍पणियां:

  1. Arre Manishjee mujhe pehli baar samajh mei aaya..aap ab se har baar neeche sajhaya kariye har word ka matlab..warna kaafi dikkat hoti hai..urdu zabaan kaaafi mushkil hai..

    जवाब देंहटाएं
  2. Dimple Tumhein english translation dekh ke samajh aaya ya phir difficult words ki meaning dekh ke ?
    Koyi bhi nayi jubaan mushkil to hoti hai par Faiz ka likha hua thoda isliye aur mushkil ho jata hai kyunki wo arabi pharsi ka bhi kuch jyada istemaal karte the apne sheron mein.

    जवाब देंहटाएं
  3. Faiz sahab ki baat hee nirali hai! waise sahi kaha...shuruwaat Faiz se nahi karni chahiye...darasal mera introduction Abida ji ne karwaya Faiz se :D...and it became easier to understand as you listen to her. Waise mujhe Faiz ka likha Bahar aai...behad pasand hai aur dil ke kareeb mehasus hota hai.
    Faiz ke baare mein likhne ka bahut bahut shukriya aur iss ghazal ki pesh kash ke liye bhi

    Cheers

    जवाब देंहटाएं
  4. hey manish...do u have any idea from where can i read the story "USNE KAHA THA" by chandrdhar sharma guleri...i mean do u have nay link or its pdf format...if yes plz mail me at rajan.ranjan@tcs.com

    जवाब देंहटाएं
  5. DON yes Bahar aayi was a grt nazm with a tinge of sadness. I have included it in my second post of the series.:)

    जवाब देंहटाएं
  6. Kim Yes the story is there on wikihindi. See this link

    http://wikisource.org/wiki/%E0%A4%89%E0%A4%B8%E0%A4%A8%E0%A5%87_%E0%A4%95%E0%A4%B9%E0%A4%BE_%E0%A4%A5%E0%A4%BE

    जवाब देंहटाएं
  7. hadnt heard this ghazal earlier.. thanks for posting it :)

    जवाब देंहटाएं
  8. Yes parivartan dekhe aur jaana ke tumne aur bhi addition kiye hain :) aur to aur meine Faiz ka ek alag pic dekha hai aur yahan ek alagh :) accha laga dekhkar infact mein kehane wali thi ke lekhak ya kaviyon ke baare mein likho to ho sake to oonki tasveerein bhi laga liya karo iiss se kuch aur kareebi ka rishta bana paate hein preshak jaise mein ;)

    Thanks
    Cheers

    जवाब देंहटाएं
  9. Suparna Dasht-e-Tanhai mein Jane Jahan larzaa.n hain by Iqbal Bano aur Gar mujhe Iska Yakeen Ho by Tina Sani in donon nazmon ko bhi sun ke dekhna agar na suni ho pehle to :). Inki embedded clip maine apne Hindi Blog ki second post mein dali hai. Kaphi mashhoor hain ye donon nazm.

    जवाब देंहटाएं
  10. DON Haan pehle bhi ye baat kahi thi tumne mujhe yaad hai madam ji :p. Tasweer Hindi Blog pe pehle se laga rakhi thi. Waise Faiz has an impressive & pleasing personality.

    जवाब देंहटाएं