गुरुवार, मार्च 15, 2007

Amrita Preetam ka Kahani Sangrah : ' Do Khidkiyaan'

Amrita Preetam ke gadya lekhan ka aanand shayad hi kisi sahitya premi pathak ne na uthaya ho. Unki lekhan shaili mein ek kavyatmak pravah hai. We apni vichaar badi bebaaki se rakhti hain aur charitron par inki pakad humesha mazboot rehti hai. Do khidkiyan inka ek anootha kahaani sangrah hai jismein kul saat kahaniyaan aur ek lahu upanyaas hain.

Is kahani sangrah ki mein theme auraton ke beech ka aapsi resta hai jise alag alag kirdaaron ke madhyam se unhone bakhoobi ubhara hai. Apne in kahanayon ke bare mein Amrita ji kahti hain
".....Aurat aur mard ka rishta jitna bhi ulja hua ho , phir bhi seedha hota hai. Ek swaabhaawik prapti ka ehsaas uski ragon mein hai. Sirf milan mein nahin virah aur tassuwar mein bhi. Uski buniyaad mein jismaani juroortein hoti hain. Isliye vo apne algaav mein bhi kahin na kahin juda rehta hai, aur uska juda rehna, use badi se badi kurbaani ka bal deta hai.

....par aurat aur aurat ka rishta, maan aur beti ke rishte ko chhod kar, seedha nahin hota balki kisi mard ke madhyam se hota hai. Isiliye usmein ek ki prapti aksar doosre ki apraapti ban jati hai aur isiliye wo ulajh jata hai to uska taar phir haath mein nahin aata. Toot jata hai to usmein dard ka gaurav nahin aata......"

Is kahani sangrah ki vistrit sameeksha iske kuch anshon ke sath maine apne Hindi blog par yahan aur yahan kee hai . Agar istri se judi samvendnaaon ko samjhne aur jaane mein aapki ruchi hai to is kahani sangrah ko avashya padhein.

5 टिप्‍पणियां:

  1. manish aapko itni shudh hindi sachi mei aati hai ya aap kahin se padke likhte ho yahan..sahi mei bahut acha likhte hain aap..:)

    जवाब देंहटाएं
  2. cAap mera hindi blog padh kar aisa keh rahin hain ya Roman blog :)?

    Waise jahan tak is post ki baat hai maine is kahani sangrah ka bas review likha hai. Jo ansh quote kiye hain wo Amrita jee ke hain.

    जवाब देंहटाएं
  3. jee vaise toh hindi blog hi padha tha..:P..filhaal hum aapko blogroll kar rahein hain..:)

    जवाब देंहटाएं
  4. yaar I had added my comment here and ab woh hai hee nahi :O
    very bad :(
    Meine ye parhi thi ab itna hee kahoongi bas :(
    Cheers

    जवाब देंहटाएं
  5. Dimple BlogRoll karne ka shukriya ! Asha hai tumhari bhi hansti gudgudati posts padhne ko milti raha karengi.

    DON hmmm maine to aapka koyi comment nahin dekha ji !

    जवाब देंहटाएं