शनिवार, फ़रवरी 03, 2007

Geet # 9 : Main Rahoon, Naa Rahoon, Meri Aawaaz...

Zindagi mein naam ki kya ahmiyat hai.
Shayad kuch bhi nahin..
Bas pukarne ka ek zariya
Naam badal jate hain
Chehre bhi waqt ke sath badal jate hain
Par dil se nikli huyi aawaz kya badal sakti hai
Nahin kabhi nahin
Kyunki wo to dil ka aaina hai aur aaine kabhi dhokha nahin dete


Film 'Kinara' mein yahi baat Gulzar keh gaye the

naam gum jaayegaa, cheharaa ye badal jaayegaa
meree aawaaj hee pahachaan hai, gar yaad rahe


Aur itne salon baad halke phulke andaaz mein Abhijeet apne Album Lamhe mein wahi baat keh rahe hain. Kanpur kr is gaayak ki is geetmala mein ye teesri aur aakhiri entry hai. Main nahin jaanta aapko ye geet kitna pasand aayega par mujhe is geet ke bol aur Abhijeet ki gayiki donon behad pasand hain
To pesh hai paydaan no. 9 ka ye geet. jis ke bol likhe Shaheen Iqbaal ne

main rahoon na rahoon meri aawaaz
main rahoon na rahoon meri aawaaz
tum goonjati har jagah har kadam paaoge
main miloon na miloon mere geeton ko tum
zindagi ki tarah har kadam paaoge ...

main tha jahaan hoon main waheen
beeta huan kal main nahin
main tha jahaan hoon main waheen
beeta huan kal main nahi
har mod pe har raah mein
har dard mein har aah mein
gungunaunga main muskuraaunga main
dil ki aabo hawa mein yaad aaunga main
yaad aaunga main
kuchh kahoon na kahoon mere geeton ko tum
roshani ki tarah har taraf paaoge

main aaj hoon, main kal bhi hoon
sadiyaan hoon main, main pal bhi hoon
main aaj hoon, main kal bhi hoon
sadiyaan hoon main, main pal bhi hoon
har rang mein, har roop mein
har chaanv mein, har dhoop mein
jhilmilaaunga main, jagmagaaunga main
mausamon ki adaa mein yaad aaunga main
yaad aaunga main

main dikhoon naa dikhoon
mere andaaz tum waqt hi ki tarah
har taraf paaoge
main rahoon na rahoon meri aawaaz tum
gunjati har jagah har kadam paaoge

Is geet ko aap
yahan bhi sun sakte hain
.

Pichle saal 9 vein seedhi par tha U Bomsi and Me ke liye Neeraj Sridhar ka gaya geet Kahan Ho Tum Mujhe Batao

देवनागरी में पढ़ने के लिए यहाँ क्लिक करें ।

8 टिप्‍पणियां:

  1. Bahut sahi kaha tumne...meine bhi ye geet suna hai aur waqai Gulzar ji ki soch aur likhawat pe koi kya tippani kare...he is all time great and with Abhijeet giving his voice its a sparkling touch to the shine :)
    Good one!
    Cheers

    जवाब देंहटाएं
  2. are ghalat samajh gayi tum..

    DON are mera kehne ka matlab tha ki is geet ke bhaav kuch kuch waise hi hain jaisa Gulzar ne kinara film ke us immortal song mein likhe the.

    by the way this song is written by Shaheen Iqbaal.

    जवाब देंहटाएं
  3. Enjoyed this and also the no. 10 song. Anxiously waiting for the final 8 songs. Good job, Manish...thanks for entertaining :)

    जवाब देंहटाएं
  4. Thanks Manish, I enjoyed this geet very much. Waiting for a new one. Cheers!!

    जवाब देंहटाएं
  5. Anno.. Huzoor naam likhne mein kya pareshani hai? Kya pata chalega ki kise song achcha laga ! Isse behtar hai ki comment hi na karein.

    जवाब देंहटाएं
  6. Ohhhh! shukr hai tumne sahi kiya...coz baad mein mein sochne lagi ke...aisa to nahi hai (rolling eyes) ..lekin ye nahi pata tha ke ise Shaheen Iqbal ne likha hai
    Thanks for telling :)
    Cheers

    जवाब देंहटाएं
  7. Mahesha Welcome at this blog !hope the next 8 songs will be of your liking too.


    Smita nice to know that u liked this one.

    जवाब देंहटाएं