रविवार, फ़रवरी 11, 2007

Geet #6 ; Jab Jalti Hai 'Beedi' Gaanv ki Nautanki Mein...

Shahar ki chamak damak se door gaanv ki dupahri aur shamein apni ekroopta liye hoti hain. andhere ka aagman hua nahin ki ghar ke bahar ki saari gatividhiyaan thapp. Yani mahanagreey mahoul se ekdam ulat jahan andhere ke saath raat jawaan hoti hai. par manoranjan ki jaroorat kise nahin hoti. aur isi juroorat ko poora karne ke liye gaanvon mein saamaajik utsavon par naach aur nautanki karne ki parampara rahi hai.

Aisa hi mahoul diya Vishal Bhardwaj ne Gulzar ko apni film Omkara mein aur phir ganvayi mitti ki sugandh le kar jo geet nikla uska jaaykaa bharat ke aam jan maanas ki jihwa par bahut dinon tak chadha raha.

Vishal bhardwaj ne Omkara ke is geet ko apne sangeet se jo urja dee hai , use Sukhvinder Singh aur Sunidhi Chauhaan kee mast gaayiki ne aur ubhara hai. Haalanki is geet ke liye screen sangeet award mein shreshtha geetkaar chune jane se Gulzar bahut khush nahin the. kaaran ye nahin ki unhein apna ye geet pasand nahin balki ye ki unhein is geet ko rachne se jyada creative satisfaction is film ke baaki geeton ko likhne mein mila hai. isiliye jab Gulzar ki ye vaktavya maine kuch din pehle padha to mujhe behad khushi huyi kyunki isi vajah se maine is film ke ek aur geet ko oopar ki paaydaan ke liye surakshit rakha hai. :)


Par ye bhi sach hai ki jab mood dhamaal aur masti karne ka ho to ye geet ek jabardast utprerak ka kaam karta hai aur isi wazah se meri geetmaala mein ye yahan virazmaan hai. To doston chalein 6 th seedhi ke is geet ke sath thirakne

Naa ghilaaf,Naa lihaaf
Thandi hawa bhi khilaaf Sasuri
Itni sardi hai kisi ka lihaaf lei lay
Jaa padosi ke chulhe se aag lei lay
Jaa padosi ke chulhe se aag lei lay

Beedi jalai lay,Jigar se piya
Jigar maa badi aag hai

Dhuan naa nikaari o lab se piya
Ah haa,Dhuan naa nikaari o lab se piya
Je duniya badi ghaagh hai

Beedi jalai lay...i

Naa kasoor, Naa fatoor
Naa kasoor. Naa fatoor
Bina juram ke hujoor
Marr gayi, Ho marr gayi

Aise ek din dupahari bulai liyo re
Baandh ghunghroo kachehri lagai liyo re
Bulai liyo re,Bulai liyo re Dupahari
Lagai liyo re,Lagai liyo re Kachehri

Angethi jarayi le, Jigar se piya
Jigar maa badi aag hai
Beedi jalai lay

Na toh chakkuon ki dhaar
Na daraati na kataar
Na toh chakkuon ki dhaar
Na daraati na kataar
Aisa kaate ke daat ka nisaan chhod de
Je kataai to koi bhi kisaan chhod de
O aise jaalim ka chhod de makaan chod de
Re billo

na bulaya, na bataya
na bulaya,na bataya
maare neend se jagaya hai re
aisa chounkil haath mein naseeb aa gaya
woh elaichi khilai ke kareeb aa gaya

koyla jalai le,Jigar se piya
Jigar maa badi aag hai


Is geet ko aap
yahan bhi sun sakte hain


Pichle saal isi jagah par tha Bunty aur Babli ka pyara sa nagma
chup Chup ke chori pe Chori

देवनागरी में पढ़ने के लिए यहाँ क्लिक करें ।

7 टिप्‍पणियां:

  1. I would rather prefer the 'Namkein' song which bipasah performs for the police. Anyway ur selection was also nice, waiting for ur nxt selection

    जवाब देंहटाएं
  2. is a cool song for sure :).. it took some time to grow on me, in comparison with the others but really amazing in the zing quotient!

    जवाब देंहटाएं
  3. Sach kahoon to jitne baar sunti hoon...it kinds hits me more :) mujhe bhi ye geet pasand hai...as it brings all that mood and mahaul of nautanki ness ;) (lol)
    I was surprised when first time I came to know that Gulzar is the poet ...wow...he just proved that he is a poet and can write it so well no wonder what nautanki song or love song!
    Cheers to this 6th position and yes...am waiting for the next one too ;)
    Cheers

    जवाब देंहटाएं
  4. Gulzaar saab ki baarikiyon ka kya kehna....
    "Mera kuch samaan ...."
    ya "katra katra....."
    "jis tarah woh har lamhe ko pakde rehte hai..."
    "aane wala pal......''
    Unhe sadak se bhi kuch shikayat hai..
    " in umra se lambi sadko ko manzil pe pahuchte dekha nahi..."
    AApka blog padhkar achcha laga...
    Sandeep
    http://relishnrefresh.blogspot.com

    जवाब देंहटाएं
  5. This is one of the songs that I had liked right from the first time that I had heard it!
    It is the perfect song for dhamaal!! :D

    जवाब देंहटाएं
  6. Odunghat Welcome to this blog Odunghat !

    Suparna Achcha ..I loved its rhythm instantly .

    जवाब देंहटाएं
  7. DON & PR Yesss.i totally agree with ur views.


    Sandeep Welcome to this blog. sahi kaha aapne Gulzar sahab ka lekhan kamaal ka hai.

    जवाब देंहटाएं