रविवार, फ़रवरी 25, 2007

Varshik Geetmala Geet # 3 : O Saathi Re Din Doobe Naa...

Waqt aa gaya hai is countdown ke sheersh ke geeton mein se pehle geet ka raaj kholne ka. 5 October,2006 ki apni post pe main is geet par apni rai zahir kar hi chuka hoon. Us waqt maine likha tha...

".....Gulzaar ek aise geetkaar hain jinki kapnayein pahle to sunne mein azeeb lagti hain par aisa isliye hota hai ki unki soch ke istar tak utarne mein thoda waqt lagta hai. Par jab geet sunte sunte man us vichar mein doobne lagta hai to wahi ungadhi kalpnayein adbhut lagne lagti hain. Isiliye inke geet ke liye kuch aisa sangeet hona chahiye jo un bhavnaaon mein doobne ke liye sunne wale ki madad kar sake.

Gulzaar ke liye pahle ye kaam Pancham Da kiya karte the aur is film mein ye kaam yuva sangeetkaar Vishal Bhardwaj ne kiya hai jo gulzar sahab ke ek bade 'fan' hain.

Chalein thoda Gulzaar sahab ki baaton pe bhi to dhyaan dein jo unhone is geet mein kahi hain

Raatein kattee naa thin ya yoon kahein ki raton ko katne dena koyi chahta hi na tha. Par bhai premiyon ke liye ye koyi nayi baat to rahi nahin so ab unhone din ko apna nishana banaya hai. Aur kya khoob banaya hai ki mua sooraj bhi unki giraft mein aa gaya. Ab chinta kis baat kee jab suraj hee ashikanje mein ho. Ab unka hath apne hath mein lekar dhoop aur chaanv ke sath jitna marji katti -patti khelo kaun rokega bhala........"


Khair ye to the mere khayal, khud Gulzaar ne January 2007 mein diye apne interview mein is geet ke bare mein kaha.


". I think that Omkara as a score had a lot of variation and colours. In ‘O saathi re’ I have used some rare poetic imagery wherein I describe sunset by saying that the sky is slippery so that the sun is about to slide into the water, but that can be prevented using a net or by holding it on one’s back. "

Background singing kee baat karein to Shreya kee madhur aawaaz mein jo shokhi aur chanchalta hai vo is geet ke romantic mood ko aur effective banati hai. Wahin vishal ki thehri aawaaz geet ke bahaav ko ek isthirta deti hai. Kul milakar geet, sangeet aur gayan milkar man mein aise utarte hain ki is geet ke prabhav se ubarne ka man nahin hota

o saathi re din doobe na
aa chal din ko roke
dhoop ke peeche daude
chaanv chhuyein na
o saathi re

thaka thaka suraj jab nadi se hokar niklega
hari hari kaayi pe, paanv pada to phislega
tum rok ke rakhna, main jaal giraaun
tum peeth pe lena main haath lagaaun
din dube na ha...
teri meri atti patti
daat se kaati katti
re jaiiyo na
o pihoo re
o pihoo re na jaiyyo na

kabhi kabhi yun karna, main daantoon aur tum darna
ubal pade aankhon se, meethe paani ka jharna
hmm tere dohre badan mein, sil jaaungi re
jab karwat lega , chhil jaaungi re
sang le jaaunga
teri meri angni mangni
ang sang laagi sangni
sang le jaaun
o pihu re

o saathi re din dube na
aa chal din ko roke
dhup ke peeche daude
chaanv chhue na
o saathi re.....

Is geet ko aap
yahan bhi sun sakte hain.

गुरुवार, फ़रवरी 22, 2007

Geet # 4: Raat , Neend, Khwaab aur Gulzaar !

Agar aapki shikayat ye ho ki geetmala ki raftaar passenger ki mafik kyun ho gayi hai to uska jawab yahi hai ki pichle 12 dinon mein main sirf 3 din hi ghar par bita paya hoon aur aage bhi ye halaat zari rahenge :(. Is baar hum laute hain Kanpur ki nimmi nimmi thand ka maza lete huye. Neend, Khwaab aur raat ke bare mein agar main sochoon to abhi bhi mujhe safar mein apne dibbe ki thodi si khuli khidki se aati sard hawa ki yaad aati hain jisne humari kachchi neend mein jab tab sendh lagayi. Par Gulzar ki ratjaga karti aankhein to kuch aur phasana bayan karti hain.
Aakhir kaun hai in jaagti aankhon ka kusoorwaar.

Are wahi muye khwaab jo unki neend ke sath arse se kabaddi khelte aaye hain. Yaad hai aapko Ghar film ka Kishore Da ka gaya wo geet jisne hostel ke band kamre mein humari kitni hi raaton ki neend churayi thi.

Phr Wahi Raat Hai
Phir Wahee Raat hai khwabon ki
Raat bhar khwab mein dekha karenge tumhein.

Masoom se neend mein jab koi sapna chale
Humko bula lena tum palkon ke parde tale
Ye raat hai khwab ki, khwab ki raat hai.

Aur phir intezaar ki ghadiyan ginti us raat ki pukaar to kabhi mand hi nahin padi

Khwaab chun rahi hai raat, beqraar hai, tumhara intezaar hai

Ya Phir Jeeva mein Asha ji ke gaye is geet ko hi lein

roz roz Aankhon tale ek hi sapna Chale
raat bhar kaajal jale, Aankh mein jis tarah khwaab ka dia jale

Neend, khwaab aur raat Gulzaar ke priya vishay hain.Shayad ye unki apni zindagi mein bhi kuch khaas maayne rakhte hon. Yahi wazah hai kir inhein shabdon ke jaal mein goonth kar nikla unka har ek geet ek naye aayaam dete prateet hota hai..Chauthi paaydan ki ye nazm inhin shabdon ko jodti huyi dil ke behad kareeb se guzar jaati hai. Film Guru mein is nazm ki pehli 4 lines ka use hua hai kyunki wo kathanak pe ek dam durust baithta hai


Jaage Hain der tak Humin Kuch der sone Do
Thodi si raat aur hain subah to hone do
Aadhe adhure Khwaab Jo Poore Na Ho Sake
Ek Baar Phir se neend mein wo Khwaab Bone Do

Aur agar koyi khwaab dekhte dekhte aapki neend toot jaaye to bhi himmat na harein kyunki

Ek Khawab Toot Jaane Ka Ahsaas Hi to hai
thodi si raat aur Sahar paas hi to Hai

Guru ki is nazm ko aawaz dee hai K.S.Chitra aur A.R.Rahman ne. Waise rahmaan ne apni jagah kisi aur gayak ko mauqa diya hota to nateeja jyada behtar rahta.

Is nazm ko aap yahan bhi sun sakte hain.

Devnaagri mein padhne ke liye yahan click karein.

शनिवार, फ़रवरी 17, 2007

Geet # 5 : Tere Bin Main Yoon Kaise Jiya...

Pichle hafte office ka kaam se Bangalore aur phir uske aage jana pad gaya, so us wazah se ye geetmaala jahan ki tahan ruk gayi.
Khair isse pehle ki phir se nikalna pade 5 vein paaydan ka geet aapke samaksha prastut hai. Aur ye geet meri list mein yahan isliye hai kyunki iski shaandaar adaygi ne mujhe behad prabhavit kiya hai.
Yani Bas Ek Pal ke is song ke asli hero vo gayak hain jinhone school ke dinon mein apna khali samay ek umda fast bowler banne mein lagaya. Wo to college days mein jab doston ne inki aawaaz suni to zabardasti ek competition mein inka naam dalva diya. Aur uske baad to Rest is History. Kyunki uske baad college ki sari competition mein awwal aate rahe. Phir inka album Jal, Aadat albums bhi kaphi kaamyab hua.

Ab to aap sab samajh hi gaye honge ki yahan baat chal rahi hai Atif Aslam ki. Atif ki sabse khas baat ye lagti hai ki wo oonche sur bhi badi sahajta se laga lete hain. Sayeed Quadri ne virah ki jis bhavna ko lekar ye geet likha hai use Atif ne apni aawaj se aur ubhara hai. Is geet ke liye sangeet diya hai Mithoon ne.


tere bin main yoon kaise jiya
kaise jiya tere bin
tere bin main yun kaise jiya
kaise jiya tere bin
lekar yaad teri raatein meri kati
mujhse baaten teri karti hai chaandani
tanha hai tujh bin raatein meri
din mere din ke jaise nahin
tanha badan, tanha hai ruh, nam meri aankhen rahe
aaja mere ab rubaru
jeena nahi bin tere
tere bin main yun kaise jiya
kaise jiya tere bin


kabse aankhen meri raah mein tere bichhi
bhule se hi kabhi tu mil jaaye kahin
bhule na mujhse baatein teri
bheegi hai har pal aankhein meri
kyun saans loon kyun main jiyoon
jeena bura sa lage
kyun ho gaya tu bewafaaa mujhko bata de wajah
tere bin main yun kaise jiya
kaise jiya tere bin ...
tere bin main yun kaise jiya
kaise jiya tere bin ...


Is geet ko aap yahaan ya yahaan se sun le sakte hain.

रविवार, फ़रवरी 11, 2007

Geet #6 ; Jab Jalti Hai 'Beedi' Gaanv ki Nautanki Mein...

Shahar ki chamak damak se door gaanv ki dupahri aur shamein apni ekroopta liye hoti hain. andhere ka aagman hua nahin ki ghar ke bahar ki saari gatividhiyaan thapp. Yani mahanagreey mahoul se ekdam ulat jahan andhere ke saath raat jawaan hoti hai. par manoranjan ki jaroorat kise nahin hoti. aur isi juroorat ko poora karne ke liye gaanvon mein saamaajik utsavon par naach aur nautanki karne ki parampara rahi hai.

Aisa hi mahoul diya Vishal Bhardwaj ne Gulzar ko apni film Omkara mein aur phir ganvayi mitti ki sugandh le kar jo geet nikla uska jaaykaa bharat ke aam jan maanas ki jihwa par bahut dinon tak chadha raha.

Vishal bhardwaj ne Omkara ke is geet ko apne sangeet se jo urja dee hai , use Sukhvinder Singh aur Sunidhi Chauhaan kee mast gaayiki ne aur ubhara hai. Haalanki is geet ke liye screen sangeet award mein shreshtha geetkaar chune jane se Gulzar bahut khush nahin the. kaaran ye nahin ki unhein apna ye geet pasand nahin balki ye ki unhein is geet ko rachne se jyada creative satisfaction is film ke baaki geeton ko likhne mein mila hai. isiliye jab Gulzar ki ye vaktavya maine kuch din pehle padha to mujhe behad khushi huyi kyunki isi vajah se maine is film ke ek aur geet ko oopar ki paaydaan ke liye surakshit rakha hai. :)


Par ye bhi sach hai ki jab mood dhamaal aur masti karne ka ho to ye geet ek jabardast utprerak ka kaam karta hai aur isi wazah se meri geetmaala mein ye yahan virazmaan hai. To doston chalein 6 th seedhi ke is geet ke sath thirakne

Naa ghilaaf,Naa lihaaf
Thandi hawa bhi khilaaf Sasuri
Itni sardi hai kisi ka lihaaf lei lay
Jaa padosi ke chulhe se aag lei lay
Jaa padosi ke chulhe se aag lei lay

Beedi jalai lay,Jigar se piya
Jigar maa badi aag hai

Dhuan naa nikaari o lab se piya
Ah haa,Dhuan naa nikaari o lab se piya
Je duniya badi ghaagh hai

Beedi jalai lay...i

Naa kasoor, Naa fatoor
Naa kasoor. Naa fatoor
Bina juram ke hujoor
Marr gayi, Ho marr gayi

Aise ek din dupahari bulai liyo re
Baandh ghunghroo kachehri lagai liyo re
Bulai liyo re,Bulai liyo re Dupahari
Lagai liyo re,Lagai liyo re Kachehri

Angethi jarayi le, Jigar se piya
Jigar maa badi aag hai
Beedi jalai lay

Na toh chakkuon ki dhaar
Na daraati na kataar
Na toh chakkuon ki dhaar
Na daraati na kataar
Aisa kaate ke daat ka nisaan chhod de
Je kataai to koi bhi kisaan chhod de
O aise jaalim ka chhod de makaan chod de
Re billo

na bulaya, na bataya
na bulaya,na bataya
maare neend se jagaya hai re
aisa chounkil haath mein naseeb aa gaya
woh elaichi khilai ke kareeb aa gaya

koyla jalai le,Jigar se piya
Jigar maa badi aag hai


Is geet ko aap
yahan bhi sun sakte hain


Pichle saal isi jagah par tha Bunty aur Babli ka pyara sa nagma
chup Chup ke chori pe Chori

देवनागरी में पढ़ने के लिए यहाँ क्लिक करें ।

बुधवार, फ़रवरी 07, 2007

Geet # 7 : Ajnabi Shahar Hai, Ajnabi Shaam Hai

Saatvein paaydaan ka geet mujhe kyun priya hai mujhe pata nahin. Par itna jaanta hoon ki jaise hi iska mukhda kaanon mein goonjta hai man doob sa jaata hai ek alag ahsaas se...jise shabdon mein badhna mere liye is waqt kathin ho raha hai.

Sonu Nigam ne badi khoobsurti se gaya hai is nagme ko. Khaaskar mukhde mein jab wo apni madhur taan oopar ki or kheenchte hain. Is geet ki dhun banayi hai Anu Malik ne jo pehli baar is geetmala mein shamil ho rahe hain. Geet ke beech mein unhone Europian dance tune ka bhi istemaal kiya hai.

Aur is tarah ki panktiyan to is countdown par chaye geetkaar ki to khasiyat hi hain

sardi lag rahi thi aapko, patli chaandni lapete the
aur shaal mein khwaab ke sulaya tha

To is gul ko gulshan karte Gulzaar ka film Jaan-e-Man ke liye likha geet kuch yoon hai.
Ajnabi shehar hai ajnabi shaam hai
zindagi ajnabi, kya tera naam hai?
ajeeb hai ye zindagi ye zindagi ajeeb hai
ye milti hai bicharti hai bicharke phir se milti hai
Ajnabi shehar hai ajnabi shaam hai ...

aap ke bagair bhi humein meethi lagein udasiyaan
kya ye aapkaa , aapkaa kamaal hai
shayed aapko khabar nahin
hil rahi hai paaon ki zameen
kya ye aapka, aapkaa kheyaal hai

ajnabi shehar mein zindagi milgayi
ajeeb hai ye zindagi ye zindagi ajeeb hai
mein samjha tha kareeb hai ye auron ka naseeb hai
Ajnabi shehar hai ajnabi shaam hai ...

baat hai ye ek raat ki
aap badalon pe lete the
hmm wo yaad hai aapne bulaya tha
sardi lag rahi thi aapko, patli chaandni lapete the
aur shaal mein khwaab ke sulaya tha
Ajnabi hee sahi saans mein sil gayi
ajeeb hai ye zindagi ye zindagi ajeeb hai
mere nahi ye zindagi rakeeb ka naseeb hai
Is geet ko aap yahan sun sakte hain.
देवनागरी में पढ़ने के लिए यहाँ क्लिक करें ।

रविवार, फ़रवरी 04, 2007

Geet # 8 : Tere Bina Besuwadi Ratiyaa O Sajna..

beetee naa bitaayee rainaa, birahaa kee jaayee rainaa
bheegee huyee aakhiyon ne laakh bujhaayee rainaa ...
...chaand kee bindee waalee, bindee waalee ratiyaa.n
jaagee huyee aakhiyon mein raat naa aayee rainaa


Raat ka ye tanha safar Gulzar ke liye naya nahin. Parichay ke is geet ki tarah kayi baar in manobhavon ko ubhara hai unhone .
Ab waise bhi man ka meet hi sath na ho to sheetal, saloni, chaandni raat mein ishq ka tadka lagayega kaun? Phir to wo raat bhi pheeki pheeki besuwaadi hi hogi naa.

Isi mukhde ko sajaya hai apni dhun se sangeetkaar A.R.Rahmaan ne. Aur ise gaya A.R.Rahmaan ke sath ek yuva gayika Chinmayi Sripada ne. Chinmayi bahubhashavid hain, manovigyaan ki chatra hain, bachpan se shashtreya sangeet seekh rahi hain aur sabse khushi ki baat ye ki wo humari aur aapki terah ek blogger bhi hain. Dekhiye to khud kya kehti hain apne blog par Guru ke geeton ki unki adaaygi ke bare mein.

All I remember was Rahman Sir telling me to just let go and sing even if I think I am a fool. And though I was seriosuly inhibited, and will always remain,some light bulb might have gone off in my brain and in that momentary light,I should have forgotten about the "feeling foolish" bit. When I came out of the booth,the apprehensions were back with a bang. I couldnt recognise my voice for one.


Ye to huyi gaayika ki baat par is geet ka sabse sashakt pahlu iski dhun hai jo dheere dheere dilo dimag mein pravesh karti hai hai aur phir ek aisi jagah bana leti hai ki man se nikalti hi nahin. Dhun ke beech mein Rahman ne shashtreey sangeet aur bharteey vadya yantron ka behtareen istemaal kiya hai. Ek interview mein A.R.Rahman ne ye song Nusrat Fateh Ali Khan ko apni sridhanjali bataya hai. aise asha hai ki bhale inki raat kaate nahin kat rahi ho, aap chain ki bansi baja kar so rahe honge.

Dum dara dum dara mast mast
Dara dum dara dum dara mast mast
Dara dum dara dum dum
O humdum bin tere kya jeena

Tere bina besuwaadi besuwaadi ratiyaa o sajna
Ho, rookhi re o rookhi re
Kaatoo re kaate kate naa.

Na jaa; chaakri ke maare
Na jaa; souten pukaare,
Saawan aayega to puchega, Naa jaa rey

Pheeki Pheeki besuwaadi yeh ratiyaa.
Kaatore kaate na kate na
Ab tere bina sajna sajna ,Kaate kate na ......

Tere bina chand ka sona khota re
Peeli peeli dhool udaave jhoota re
Tere bina sona peetal
Tere sang keekar peepal
Aaja kate na ratiyaa
Tere bina beswaadi beswaadi ratiyaa o sajna .....


Is geet ko aap yahan bhi sun sakte hain.
Pichle saal 8 th paaydaan ka geet tha Hum Rahein Na Rahein Kal

देवनागरी में पढ़ने के लिए यहाँ क्लिक करें ।

शनिवार, फ़रवरी 03, 2007

Geet # 9 : Main Rahoon, Naa Rahoon, Meri Aawaaz...

Zindagi mein naam ki kya ahmiyat hai.
Shayad kuch bhi nahin..
Bas pukarne ka ek zariya
Naam badal jate hain
Chehre bhi waqt ke sath badal jate hain
Par dil se nikli huyi aawaz kya badal sakti hai
Nahin kabhi nahin
Kyunki wo to dil ka aaina hai aur aaine kabhi dhokha nahin dete


Film 'Kinara' mein yahi baat Gulzar keh gaye the

naam gum jaayegaa, cheharaa ye badal jaayegaa
meree aawaaj hee pahachaan hai, gar yaad rahe


Aur itne salon baad halke phulke andaaz mein Abhijeet apne Album Lamhe mein wahi baat keh rahe hain. Kanpur kr is gaayak ki is geetmala mein ye teesri aur aakhiri entry hai. Main nahin jaanta aapko ye geet kitna pasand aayega par mujhe is geet ke bol aur Abhijeet ki gayiki donon behad pasand hain
To pesh hai paydaan no. 9 ka ye geet. jis ke bol likhe Shaheen Iqbaal ne

main rahoon na rahoon meri aawaaz
main rahoon na rahoon meri aawaaz
tum goonjati har jagah har kadam paaoge
main miloon na miloon mere geeton ko tum
zindagi ki tarah har kadam paaoge ...

main tha jahaan hoon main waheen
beeta huan kal main nahin
main tha jahaan hoon main waheen
beeta huan kal main nahi
har mod pe har raah mein
har dard mein har aah mein
gungunaunga main muskuraaunga main
dil ki aabo hawa mein yaad aaunga main
yaad aaunga main
kuchh kahoon na kahoon mere geeton ko tum
roshani ki tarah har taraf paaoge

main aaj hoon, main kal bhi hoon
sadiyaan hoon main, main pal bhi hoon
main aaj hoon, main kal bhi hoon
sadiyaan hoon main, main pal bhi hoon
har rang mein, har roop mein
har chaanv mein, har dhoop mein
jhilmilaaunga main, jagmagaaunga main
mausamon ki adaa mein yaad aaunga main
yaad aaunga main

main dikhoon naa dikhoon
mere andaaz tum waqt hi ki tarah
har taraf paaoge
main rahoon na rahoon meri aawaaz tum
gunjati har jagah har kadam paaoge

Is geet ko aap
yahan bhi sun sakte hain
.

Pichle saal 9 vein seedhi par tha U Bomsi and Me ke liye Neeraj Sridhar ka gaya geet Kahan Ho Tum Mujhe Batao

देवनागरी में पढ़ने के लिए यहाँ क्लिक करें ।