सोमवार, जनवरी 15, 2007

Varshik Sangeetmala Geet No. 17 : Subah Subah Ye Kya Hua...

Kabhie pareshan to kabhie hairaan karti zindagi...
roz roz ki wahi bhag daud...
jee nahin karta aapka ki kabhie nikal padoon us anjaan raah ki or..
chintaon ki dilo dimaag se door jhatakte huye..
bas sath ho to sirf wo ithilati hawa aur muskurati fizaa..

Kya kaha ?
Office se chutti nahi milegi....
Aur mil bhi jaye to gharwali aur bachche bhi sath latak lenge.
ha ha ha ha..

Koi nahi jee iska bhi upaay hai humare paas. Bas jhat pat achche man se ye sfoortidayak geet sun leejiye, aap shartiya man ko taro taza aur halka mehsoos karenge.

Varshik sangeetmala ki 17 vein paaydaan ke is geet ko gaya hai ek navodit gayak ne. Inka talluk ek aise rajya se hai jis rajya ne Bhupen Hazarika jaisi aawaaz humari film Industry ko dee yani Assam se. Jee haan main baat kar raha hoon Zubeen Garg ki jinka Gangster ke liye gaya geet Ya Ali pehle hi behad lokpriya ho chuka hai.
Subah subah ye kya hua
na jaane kyun ab main hawaaon mein chal raha hoon
nayi subah nayi jagah
nayi tarah se nayi dishaaon mein chal raha hoon
nayi nayi hain meri nazar ya hain nazaarein naye
yaa dekhate khwab main chal raha hoon


Subah subah ye kya hua
na jaane kyon ab main hawaayon mein chal raha hoon
nayi subah nayi jagah
nayi nazar se naye nazaare main dekhata hoon
ye gungunaata hua sama, ye muskuraati fiza
jahaan ke saath main chal raha hoon


subah subah ye kya hua
na jaane kyon ab main hawaayon mein chal raha hoon


jo abhi hai usi ko jee lein, jo jiya wo ji liya
wo nasha pee liya
kal nasha hai ek naya jo, na kiya to kya jiya
har pal ko pee ke agar dil na bhar diya
subah subah ye kya hua
na jaane kyon ab main hawaayon mein chal raha hoon
nayi subah nayi hava
nayi tarah se nayi dishaayon mein chal raha hoon
mein chal raha hoon


Film I See You ke is geet ki karnapriya dhun banai hai Vishal Shekhar ki jodi ne aur bol likhe Vishal ne.


Song sunne ke liye
yahan click karein.


देवनागरी में पढ़ने के लिए यहाँ क्लिक करें ।

10 टिप्‍पणियां:

  1. No No No....gaane ki link toh deni padegi. Hum jaise aalsi kaha dhoondege aapke is manpasand geet ko?

    जवाब देंहटाएं
  2. loz ab link ki kya juroorat pad gayi ...Is blog ke khulte hi aapko song sunayi dena chahiye tha. Shayad aapke system mein *.wma file play karne ka system nahin hai.

    Baharhaal aapki aagya sarvopari hai so link bhi de diya gaya hai :p

    जवाब देंहटाएं
  3. Hmm iss movie ke baare mein padhi thi meine ke Arjun produced hai aur kal hee suna ke theater mein na jakar paise bachao :D
    well, geet to suna nahi...pata nahi musicindia bhi nahi chalta kuch garbar hai...!
    sun na parega ise ...
    tab tak ke liye agle ke intezaar mein
    PS: waise tumhare iss shrinkhala se naye gayakon ke baare mein bhi jaankari acchi mil jaati hai...shukriya iss baat ke liye khas kar :D
    Cheers

    जवाब देंहटाएं
  4. Hey Manish...I got ur msg a bit late..was away from pc! but guess what I couldnt hear due to firefox..but when I opened ur blog on IE....its an awesome song buddy :D...a feel of freshness :D
    Thanks to you

    जवाब देंहटाएं
  5. not heard this one earlier either, but had heard some of Zubin's songs in Assamese at some point, from a friend. Sings well and is really popular tehre too it seems...

    जवाब देंहटाएं
  6. Manishji!!

    bahut bahut shukriya geet sunane ke liye..hume yahaan office mein saare song site block kar diye jaate hain so sun nahi paate...phir ghar jaakar to bhool hi jaate hain..par aapki vajah se aaj apka write up padne ke sang gaana sunne ko bhi mila...sphurti se bhar diya din ko. thanx again

    जवाब देंहटाएं
  7. Manish

    Hamare speakers off the, isileye yeh geet nahi sun paaye naa hi is line ko samajh paye...
    'kyunki yahan tak padhte padhte ye geet sath mein aapko sunayi bhi de raha hoga :);
    aur excitement mein jaldi se comment kar diya..:P oopss
    Waise is tarah geet sunane ka aapka andaaz pasand aaya, :) link ke liye thanks anyway :)

    जवाब देंहटाएं
  8. DON & Anon.....Chalo sun to liya ! wahi maine socha tum logon ko sunai kyun nahin de raha.

    जवाब देंहटाएं
  9. Suparna Is song ko release huye abhi chand hafte hi huye hain. haan suna hai wo Assam mein pehle se hi popular hain.


    Smita Welcome on the blog..aate rahein..I hope other songs in this countdown will also be to your liking.

    जवाब देंहटाएं