शुक्रवार, जनवरी 19, 2007

Geet # 15 : Ye Hausala Kaise Jhuke,Ye Aarzoo Kaise Ruke..

Insaan ki khwahishon ki koyi seema nahin
apne jeevan mein hum kitne sapne bunte hain..
aane waale kal se kitni aashayein rakhte hain...
aur unhein paane ki koshish bhi karte hain...
Par kayi baar koshishein nakaam hoti hain aur phir aata hai hataasha aur nirasha ka daur
Itihaas gavaah hai ki jo log in asaphaltaaon ko man se pare rakh phir se usi josh-o-kharosh ke sath apne lakshya ki oor chal padte hain, saphalta unhin ka kadam choomti hai.

15 vein paaydan ka ye geet insaan ki isi Never Say Die spirit ki yaad dilata hai. Ise behad khoobsurti se gaaya hai Shafqat Amaanat Ali Khan ne. Waise to Shafqat is geetmala mein ek baar aur hazir honge par jo log unhein nahin jaante unke liye itna bataana munasib hoga ki, ve Ustaad Amaanat Ali Khan ke suputra hain aur shaastreey sangeet ke Patiyala Gharane se talluk rakhte hain. Filhaal unki ginti Pakistan ke agrani gaayakon mein hoti hai.
Dor film ke is geet ko likha haii Janaab Meer Ali Hussain ne aur iski dhun banayi Salim aur Sulemaan Merchant ki jodi ne.
To meri salaah ye hai doston ki jab bhi mayoosi aapke dilon mein ghar banaane lage, is geet ko juroor sunein..aapke andar ki aawaaz aapko phir utsaahit karegi us muqaam tak pahuchne ki jiski iksha aapne man mein sanjoyi huyi hai

Ye hausla kaise jhuke,yeh aarzoo kaise ruke ?
manzil mushkil to kya, dhundhla saahil to kya,
tanha ye dil to kya Ho....

raah pe kante bikhre agar,
uspe to phir bhi chalna hi hai,
shaam chhupale suraj magar,
raat ko ek din dhalna hi hai,
rut ye tal jayegi,
himmat rang layegi,
subha phir aayegi Hoooo
Ye hausla kaise jhuke,yeh aarzoo kaise ruke ?

Hogi humein jo rehmat ada,
dhoop kategi saaye tale,
apni khuda se hai ye dua,
manzil lagale humko gale
zurrat sau baar rahe, ooncha ikraar rahe,
zinda har pyar rahe ho....
Ye hausla kaise jhuke,yeh aarzoo kaise ruke ?
Is geet ko aap yahan bhee sun sakte hain.

देवनागरी में पढ़ने के लिए यहाँ क्लिक करें

9 टिप्‍पणियां:

  1. absolutely on top of my list for the year 2006 i think (subject to rethinking - competition from Guru;)

    .. what a movie, what a brilliant song.

    जवाब देंहटाएं
  2. Yaad nahi...lekin tumhari badaulat aaj suna iss geet ko....amazing is the word~
    kal ek geet yaad aaya aur phir meine socha dekhun tumhari iss shrinkhala mein kaunse paydaan per hai ;)
    am enjoying
    cheers

    जवाब देंहटाएं
  3. Bahut sundar geet..usse bhi jyada sundar film (the original movie is in malayalam, again beautiful)..tnx again sunaane ke liye...jaari rahe yeh khoobsoort daur

    जवाब देंहटाएं
  4. Suparna Abhi tak ye movie nahin dekh paya hoon bas iski dher saari tareef suni hai :(
    Guru..haan bhai aapne to apna nick bhi us pe bana liya tha...waise tumhara ek fav song meri list mein nahin hai.


    DON Logon ke reaction se ye to pata chal hi gaya hoga ki ye movie kitti achchi hai. is liye jald hi iski DVD khoj kar ise dekh leejiye. Waise ye song to achcha hai hee.

    Smita haan Smita maine padha tha kahin ki Nagesh ne iski story ksi malyalam movie se lee hai.

    जवाब देंहटाएं
  5. Hmmm... I think that this is an interesting song. Not one of my favourites, but Shafqat Amaanat Ali Khan is definitely a fabulous singer!

    जवाब देंहटाएं
  6. PR Shafqat Amanat Ali Khan ke fav hone aur ye song fav nahin hone ka matlab to yahi hai ki KANK ka wo geet aapki list mein hai jise Shafqat ne gaya hai :)

    जवाब देंहटाएं
  7. I like this song very much, but dont know from which movie it is..
    I want to watch this movie. Anybody can tell me from which movie it is?

    जवाब देंहटाएं