बुधवार, जनवरी 03, 2007

Geet # 23 : Chand Ho Tum Chaandni Se Bheega Jaye Man..

Leejiye kitni der se intzaar kar rahe the ki we aayein jald hi aa jayein ...par aakhir ve kyun nahin aa rahe?... kahin bhatak to nahin gaye..aur jab sachmuch aa gaye to ye suniye...main na kahti thi ki ve juroor aayenge...kabhie sanshay, kabhie bechaini, kabhi aas aur aane par sab bate bhula kar dher sara umadta pyaar..shayad ishq mein sab aisa hi karte hain.

To waise to aap sab samajh hi gaye honge par phir bhi kahe dete hain ki saajan ke aane ka isteqbaal karta 23 vein seedhi ka ye geet prem ke manobhavon se ootprot hai. Ise apni meethi aawaz di hai Shreya Ghoshal aur Sonu Nigam ne. Dhun banayi aur shabda diye Anand Raaj Anand ne



sajan ghar aana tha sajan ghar aaye hain
sajan ghar aana tha sajan ghar aaye hain
piya man bhaana tha piya man bhaaye hain
har khushi hai ab tumhari mujhe de do gham
jaaneman, jaaneman, jaaneman, jaaneman

sajan ghar aana tha sajan ghar aaye tum
piya man bhaana tha piya man bhaaye tum
har khushi hai ab tumhari mujhe de do gham
jaaneman, jaaneman, jaaneman, jaaneman

zindagi mein aaye tum chahton ke raste
ho zindagi mein aaye tum chahton ke raste
kaash yeh raste sanam kat jaayein haste haste
sone dildara tere pyar to main variyaan
meriya duavaan tainu lag jaan sariyaan

chand ho tum chandni se bheega jaaye man
jaaneman, jaaneman, jaaneman, jaaneman

khwabon ke is ghar ki khair kare o rabba
khwabon ke is ghar ki khair kare o rabba
door tale kalesh aur bair kare o rabba
naazon se badi maine kari hain taiyyariyaan
din raat pyar diyan nazraan utariyaan
yeh mohabbat hai ibadat kabhi ho na kam
janeman, janeman, janeman, janeman

aagosh mein meri zulph sanwaroon teri
chahat ke rangon se main maang saja doon teri
maahiya ve aaj mainu aaive kyon ve lagda
aashiq je sachha hove roop honda rab ka
hum yahan hain tum yahan ho, hone do milan
janeman, janeman, janeman, janeman


Lyrics taken from this
blog with some minor correction on my side.

'Aryan ' ke is pyare geet ko aap
yahan sun sakte hain

8 टिप्‍पणियां:

  1. this seems to be a rare off year when i missed a lot of the releases, so feeling a little clued out.. but then i was doin other wonderful things, so no regrets personally .. :)

    yeh gaana kis film se hai?

    जवाब देंहटाएं
  2. Geet suna sa lagta hai kyunke Shreya ji aur SOnu ji ka naam aaya hai lekin waqai thore se bhatak se zaroor gaye hein....:)
    daad dete hein pasandgi ka...! bol waqai dil ko chooh jaate hain pyaar se :) lekin janab kis film ka ye bhi batate to zara...asani hoti ...;)
    Cheers

    जवाब देंहटाएं
  3. Movie ka naam hai: Aryan

    There one more song from that movie Lamha Lamha even that's very nice

    lamha lamha toot gaye hai
    ek apanese rooth gaye hai
    manzil par aane se pehle
    ham raahon se chhoot gaye

    जवाब देंहटाएं
  4. Suparna movie ka naam likha tha somehow publish nahin hua and thn I went out of station so could not rectify my post.
    Now I have given the link.

    hmmm...Other Wonderful Things...ab ye jaanne ke liye to aapse poochtaach karni padegi :p

    जवाब देंहटाएं
  5. DON Likha tha publih nahin hia ;( khair now the link is all urs :)

    जवाब देंहटाएं
  6. My life haan bilkul sahi kaha.
    ..aur aapne jo song quote kiya hai uske lyrics bhi achche hain !

    जवाब देंहटाएं
  7. PR Achcha...the lyrics is in half Punjabi...I chose it just because of a soothing feel it has on me.

    जवाब देंहटाएं