शनिवार, जनवरी 06, 2007

Geet # 22 : Tere Pyaar Mein Aise Jiye Hum...

22 vein paaydaan par gaana vo jise gaya us gayak ne jinhein Kishore Da ke INITIALS se jyada aur 'Krishna Kumar Menon ' ke naam se kam jaante hain. Pichle saal TV ke parde par ye Fame Gurukul ki jury par bhi nazar aaye the. Ab to aap samajh hi gaye honge ki ye aur koyi nahin balki Kay Kay' हैं । Waise to 'Machis' mein 'Chhod Aaye Hum wo Galiyan 'se bharteey sangeet jagat mein unhone apni upasthiti ka ehsaas darz karaya tha par jab unke geet 'Hum Dil de Chuke sanam ke is Geet

Tadap Tadap ke is dil se aah nikalti rahi ...


ko jab suna to KK ki pratibha ka andaza lag saka. Par abhi bhi Kay Kayko apna poora hunar dikhane ke paryapt avsar nahin mile hain aur mujhe to inse kaaphi umeedein hain aage ke liye.
Bas Ek Pal ke is geet ki dhun banayi hai yuva sangeetkaar Mithun ne aur iske bol likhe hain 'Amitabh Verma' ne. poora geet to nahin par uske ek stanza pesh hai aapke liye

Suna hai mohabbat ki taqdeer mein , likhe hain andhere ghane
tabhi aaj shayad sitare sabhi jara sa hi raushan huye
mere hath ki in lakeeron mein, likhe abhi aur kitne sitam
khafa ho gayi hai khushi, waqt se ho rahe hain meharbaan gham


Tere pyaar mein, aise jiye ham
jala hai ye dil, ye aankhein huyi nam..bas ek pal...


Is geet ko aap
yahan sun sakte hain

5 टिप्‍पणियां:

  1. I think I've heard this song only once or twice, and I don't remember how it sounds. :(
    But I will hear it again sometime.

    जवाब देंहटाएं
  2. I am eagerly waiting to know which song tops the chart this year!

    BTW, wishing you a very warm New year! Hope you have a great time ahead!!

    जवाब देंहटाएं
  3. PR The only problem with this song is the punch line bas Ek Pal which does not gel with the rest of the lyrics. but I like the way Kay Kay has sung this one.


    Abhas are Abhas aap aaye hain ! behad khushi huyi aapko yahan dekh ke.
    hmmmm Top song.. wo to abhi bahut door hai. Waise mere liye top 11 mein kisi ko bhi koi rank dena behad kathin tha, they are all so dear to me .

    जवाब देंहटाएं
  4. Kay Kay ki hunar ke baare mein tumne sahi kaha...he has it and yet to go ahead and prove a lot!!
    Tumne oonke gaaye jitne bhi gaane yahan bataye waqai bahut acche gaaye gaye hein....iss geet ko meine movie dekhte waqt suna tha aur waqai tabhi mujhe bhi iss geet ke gayak ki pratibha pasand aayee :)
    amazing!
    Cheers

    जवाब देंहटाएं
  5. You know what? I actually have this song on my playlist, and I didn't even realize it! You are right, that "bas ek pal" that is repeated does not gel well with the rest of the song.

    जवाब देंहटाएं