शुक्रवार, जनवरी 12, 2007

Geet # 19 : Chand Sifarish Jo Karta Humari...

Office ke kaam kaaz se mujhe Banglore ke paas Bhadravati mein jana pada aur isi wazah se is geetmala par mujhe pichle chaar dinon se ek break lagana pada :(.

To aap sab taiyaar hain naa chalein seedhiyan chadhne :).
19 vein paaydaan par ke is geet mein to kayi khaas baat hain aur unmein se pehli khaas baat to ye ki iske geetkaar, sangeetkaar aur yahan tak ki gayak bhi pehli baar is geetmala mein pravesh kar rahe hain.

Jee haan, is geet ko likha Prasoon Joshi ne dhun banayi Jatin-Lalit ne aur gayak wo jinke main aaj sakshat darshan kar ke aa raha hoon yani Shaan. Jee haan, aaj Banglore se Kolkata ki flight par jab hum log Kolkata utre to dekha ki ye janab humare sath hi usi vimaan mein the.

Ab saamne na bhi sahi par TV ke parde par Sa Re Ga Ma mein aap sab in se roobaru ho hi chuke honge.
Waise 2000 ke unke hit album Tanha Dil ke baad se Shaan yani Shantanu Mukherjee ne peeche mud kar nahin dekha. Is geet ki lokpriyta mein Shaan ki surmayi aawaaz ka kaphi hath hai.

Aur gar aapne ye geet dhyaan se suna ho to iski ek aur khasiyat ki or juroor aapka dhyaan gaya hoga yaani geet ke beech taali yani clapping ka khoobsoorat istemaal. Waqai Jatin Lalit sahab iske liye badhai ke patra hain. Geet ke bol kuch yoon hain

shubhan allaah......................................................
chand sifarish jo karta hamari, deta wo tumko bata
sharm-o-haya ke parde gira ke, karni hai hamko khata
zid hai ab to hai khud ko mitana,hona hain tujhmein fanaa
chand sifarish jo karta hamari deta wo tumko bata
sharm-o-haya ke parde gira ke karni hai hamko khata

teri ada bhi hai jhonke wali , chhu ke gujar jaane de
teri lachak hai ke jaise daali dil mein utar jaane de
aaja baahon mein karke bahana, hona hain tujh mein fanaa
chand sifarish jo karta hamari, deta wo tumko bata ....

hain jo iraade bata doon tumko sharma hi jaaogi tum
dhadkanein jo suna doon tumko ghabraa hi jaaogi tum
hamko aata nahi hain chhupana hona hain tujhmein fanaa
chand sifarish jo karta hamari, deta wo tumko bata ....


Chalte chalte ek sawaal aap sab se..kya aapko pata hai ki is geet ki shuruaat mein jo Shubhan Allaah ki madhur taan sunayi deti hai wo kisne gayi hai ?

Geet Sunne aur is prashna ka jawab jaanne ke liye aap is link par jaa sakte hain.

8 टिप्‍पणियां:

  1. Patha nahi kyon lekin mujhe yeh gaana itna pasand nahi ayaa tha,lekin mere husband ko itni acchi lagi ki maine unkeliye ye gaana suni thi,aaj bhi itni achi lagtha hain ye gaana:)
    Woh subhaan allah jo hain usko awaaj di hain Kailash Kher ne, Hain na?

    जवाब देंहटाएं
  2. Ye song mere list mein Shaan ki gaayki aur Jatin Lalit ke music ki wazah se hai. For me lyrics are just OK..aur pehli baar sunne par aapki tarah is geet ne mujh par bhi utna asar nahin kiya tha.

    Bilkul sahi jawab diya hai aapne :)

    जवाब देंहटाएं
  3. aarrrey i am so absolutely glad to find people who didnt think this song was the best thing to happen to them! mujhe yeh geet khaas pasand nahin aaya, haan magar Manish aapne jis clapping ka zikr kiya, usne gaane ko ek accha feel zaroor diya.
    Infact, mujhe isi film ka doosra geet, Dekho Na, kaafi zyaada pasand aaya. Mere khyaal se shabd-rachana bhi khaas acchi thi us gaane mein.

    जवाब देंहटाएं
  4. Suparna hmmmm.. initially I have 3 songs of Fanna in my top 25...par baad mein dekha ki meri list mein 26 songs ho gaye hain and I have to drop tere hath mein mera hath hai from the same film..
    Par abhi teesra ya yoon kahe doosra song aana baki hai kunki wo thoda upar hai :)..

    I totally agree with u that as far as lyrics are concerned this is not the best song of the movie.

    जवाब देंहटाएं
  5. Awesome! mujhe bahut pasand hai ye geet...iski dhun aur jis awaz mein gaayee gayee hai waqai ek hulchul see macha deti hai :)
    Subhan Allah...is by Kailash Kher I guess...!
    But bahut accha selection hai..:)
    Thanks
    Cheers

    जवाब देंहटाएं
  6. DON I too like its music arrangement, background score and the way Shaan has sung it though Prasoon's lyrics are much better in other songs.

    जवाब देंहटाएं
  7. Aah! I like this song! I think Kailash Kher's "Subhan Allah" is the best part of this song.
    But there are other songs in Fanaa that I like more than this one. To know which ones, you'll have to wait for my countdown to come up! Hehe! :D

    जवाब देंहटाएं
  8. Have you seen the new India search engine

    www.ByIndia.com
    they added all the cool features of popular products

    like MySpace, YouTube, Ebay, Craigslist, etc. all for free to use and

    specifically for India. Anyone else try this yet?

    ByIndia.com First to Blend Search, Social Network, Video Sharing and

    Auctions Into One Seamless Product for Indian Internet Users.

    जवाब देंहटाएं