शुक्रवार, जनवरी 26, 2007

Geet # 12 : Kailash Kher's 'Teri Deewaani "

Merrut mein janme ,bade huye...phir nikal padee Delhi apne guru ki khoz mein
khoz chalti rahi, guru badalte rahe
15 guruon se shiksha le chuke to laga ki kyun na apna bhagya khwabon ke shahar mumbai mein jaakar aajmaaon.
Shuru shuru mein fakiri ki ye halat thi inki ki ratein Andheri station ka platform par kata karti thin.

Aur phir inhein mauqa mila uparwale ki khidmat karne ka ek geet ke jariye aur phir Allaah ke Is bande ki kismat aisi phiri kee.....
Aaj bhi fakra se batate hain ki station ka wo chaiwala inka bahut achcha mitra tha.

Aaj jab ve apni kaali Honda City se Andheri ke railway staion se guzarte hain, ooparwale ko ek baar dhanyawad juroor dete hain.
Jee haan, main Bharat mein sufi gayiki ke mashhoor sitare Kailash Kher ki baat hi kar raha hoon. A.R.Rahman ka Kailash ke bare mein kahna hai ki unke sangeet mein gaanvon ki mitti ki khushbu hai.

Is geetmaalaa ki 12 vien paaydan par hai unki album Kailasa se liya gaya unhin ka swarachit ye geet jiska har shabda pyar ke rang mein rama hua hai.


preet ki lat mohe aaisi laagi
ho gayi main matwaaree
bal bal jaaun apne piya ko
ke main jaaon vaari vaari
mohe sudh budh naa rahe tan man ki
yeh to jaane duniya saari
bebas aur laachaar phirun main
haari main dil haari haari main dil haari

tere naam se jee loon
tere naam se mar jaaon
teri jaan ke sadke mein kuchh aaisa kar jaaun
tune kya kar dala mar gayi main mit gayi main
ho ri haan ri ho gayi main
teri deewani deewani, teri deewani deewani


ishq junoon jab had se badh jaaye
hanste hanste aashiq sooli chadh jaaye
ishq ka jaadu sar chadhkar bole
khoob laga lo pehre raste rab khole
yahi ishq di marzi hai, yahi rab di marzi hai
tere bin jeena kaisa,a ---gardi hai
tune kya kar dala mar gayi main mit gayi main....deewani

kee main rang rangeelee deewani
kee main albeli main mastani
gaaun bajaaun sabko rijhaaun
kee main deen dharam se begaani
kee main deewani main deewani
tere naam se jee loon tere naam se marr jaaun
tere jaan ke sadle mein kuchh aaisa kar jaaun
tune kya kar dala marr gayi main mitt gayi main
ho ri ha ha ri ho gayi main,teri deewani deewani
Is album ke geet ko aap yahan bhi sun sakte hain
देवनागरी में पढ़ने के लिए यहाँ क्लिक करें ।

6 टिप्‍पणियां:

  1. Ye geet pehale kabhi nahi suna lekin haan Khare ji ki awaz waqai folk music ke liye vardaan hai aaj ke iss yug mein!
    Iss geet ko sunkar woh chhand aur chaupaiyon ki yaad aati hain jo kabhi Meera ji apne kanha ke liye gaaya kartin thin :)
    bahut hee khoob vivaran diya hai Manish...shukriya
    Cheers

    जवाब देंहटाएं
  2. DON Haan pehle pahal jab inhone Allah Ke Bande gaya tabhi inki aawaaz ki maulikta ka pata chal gaya tha.


    Smita Absolutely !

    जवाब देंहटाएं
  3. Oh! I love this song! It's definitely featuring on my list! :D

    I didn't know that Kailash Kher used to sleep on Andheri station platform...
    He deserves every bit of success that he has achieved!

    जवाब देंहटाएं