शनिवार, दिसंबर 09, 2006

Majaaz Lakhnavi ki Zindagi ka Aaina : 'Aawaaraa'

Janaab Asraar -Ul-Haq urf Majaaz Lakhnavi ek shaayrana khaandaan se taalluk rakhte the.Unki bahan ka nikaah Javed Akhtar ke pita Janisaar Akhtar se hua tha.

Majaaz ki ye nazm urdu shayari ki behtareen nazmon se gini jati hai. Yoon to AMU se graduation karne wale majaaz ki ginti us zamane ke progressive shayaron mein hoti thi, par Delhi mein ek ameer shadishuda ladki se apne prem mein asafal hone ke baad we is qadar zindagi se hataash ho gaye ki sharaab aur shayari ke aalawa kahin aur apna gham ghalat naa kar sake.

Dekha jaye to Majaaz ki poori zindagi ka dard is nazm ke aaine mein sama gaya hai. Delhi se wapas Lucknow aur phir Mumbai mein kismat aajmaane aaye Majaaz ka jakhma itna hara tha ki unhein Mumbai ki chakachoundh kahan se pasand aati. So unhone likha

shahar kii raat aur mai.n naashaad-o-naakaaraa* phiruuN
jag_magaatii jaagatii saDakoN pe aavaaraa phiruuN
Gair kii bastii hai kab tak dar badar maraa phiruuN
aye gham-e-dil kyaa karuuN aye vahashat-e-dil kyaa karuuN
* udaas aur be-kaar

Mumbai ki marine drive ka saundarya bhala kisse chupa hai?
Par jab dil mein kisi ki bewafaayi ki chot ho to ye motiyon sareekhi timtimati raushani bhi seene mein tez dhaar waali talwaar ki tarah lagti hain. Na us waqt chaand ki chaandni dil ko sheetalta pahuchaati hai na khoobsoorat sitaron se pati ye aakaashganga hi dil ko shukoon de paati hai

jhil_milate qum_qumoN kii* raah meN zanjiir sii
raat ke haathoN meN din kii mohanii tasviir sii
mere siine par magar chalatii hu_ii shamashiir sii
aye gham-e-dil kyaa karuuN aye vahashat-e-dil kyaa karuuN

ye rupahalii chhaaoN ye aakaash par taaroN kaa jaal
jaise suufii kaa tasavvur jaise aashiq kaa Khayaal
aah lekin kaun jaane kaun samajhe jii kaa haal
aye gham-e-dil kyaa karuuN aye vahashat-e-dil kyaa karuuN

Majaaz ka man bhatakta raha, kabhie maykhane mrin to kabhie husn ki mehfil mein. Pat har waqt vo mehfilein bhi kahan se mayassar hotin ! Agar koyi cheez humesha majaaz ke sath rahi to sirf akelapan, udaasi aur ruswaayi


raat haNs haNs kar ye kahatii hai ke maiKhaane meN chal
phir kisii shah_naaz-e-laalaaruKh* ke kaashaane** meN chal
ye nahiiN mumkin to phir ai dost viiraane meN chal
aye gham-e-dil kyaa karuuN aye vahashat-e-dil kyaa karuuN
*phuuloN se chehre waali ladki , **makaan


Na ishq mein takdeer ne sath diya aur usse ubarne ki koshish mein naye hamsafar ki jab talaash ki to samaaj ne unke sentimental sharaabi ki tagma de hashiye par laa khada kiya. Majaaz zindagi ke is akelepan se ladte rahe. Apni zindagi ki is kasmakash ko in paktiyon mein kis khoobi se utaara hai unhone

raaste meN ruk ke dam le luuN merii aadat nahiiN
lauT kar vaapas chalaa jaa_uuN merii fitarat nahiiN
aur ko_ii ham_navaa mil jaaye ye qismat nahiiN
aye gham-e-dil kyaa karuuN aye vahashat-e-dil kyaa karuuN


Kya azeeb cheez hai ye ishq.gar paas rahe to sab khushnuma lagta hai aur door chitak jaye to chamakti chaandni dene wala maahtaab bhi baniye ki kitaab sa peela dikhne lagta hai.
Ratein beetati gayin..
aur chaand roz apni manhoos shaklein dikhlata raha
Majaaz ka dil qatar aur bechain hee raha....aur unhone likha



ik mahal kii aaD se nikalaa vo piilaa maah_taab*
jaise mullaah kaa amaamaa** jaise baniye kii kitaab
jaise muflis*** kii javaanii jaise bevaa kaa shabaab
aye gham-e-dil kyaa karuuN aye vahashat-e-dil kyaa karuuN
*chaand , **pagRii , ***gareeb

jii meiN aataa hai ye murdaa chaaNd-taare noch luuN
is kinaare noch luuN aur us kinaare noch luuN
ek do kaa zikr kyaa saare ke saare noch luuN
aye gham-e-dil kyaa karuuN aye vahashat-e-dil kyaa karuuN


Yahan maine Majaaz sahab ki is nazm ke kuch pasandeeda hisse hi pesh kiye hain taki post jyada lambi na ho jaye. Agar aap poori nazm aur Majaaz ki dukhbhari kahani se roobaru hona chate hain to yahan aur yahan padh sakte hain.
1953 mein film Thokar mein Talat Mehmood ne is nazm ko apni aawaaz dee aur phir Jagjit Singh sahab ne Kahkashan album mein is nazm ka kuch hissa behad khoobsurti se gaya hai.

5 टिप्‍पणियां:

  1. Wah Majaaz ji bhi kya shayar the...waqai meine bhi yehi parha aur mehasus kiya hai oonki shayariyon mein aur aksar mein sochti hoon waqai Ishq bhi kya cheez hai...! darasal oon dino ishq waqai log dil se kiya karte the...warna itni taqleef aur akelapan....sochkar hee dar lagta hai!
    Meine ye nazm dono hee (Talat Mehaboob & Jagu) ki awaz mein suni hai....
    shukriya ek acchi khasi jeevani ka byora dene ke liye.
    CHeers

    जवाब देंहटाएं
  2. Huzoor aaj bhi ishq kayi log dil se hi kiya karte hain :).
    Waise Majaaz ne Ishq ko junoon bana liya jo shayad sahi nahin tha.
    Kisi ko kho kar bhi apne ko sambhalte huye pyar ki shama jalaye rakh pana meri samajh se Ishq ka sachcha saboot hai.

    Ahmad Faraz sahab ko hi lo. Ranjish hi sahi likh gaye par ishq ki maar ke asar ko apni lekhni ke dam par kam karte gaye.

    जवाब देंहटाएं
  3. majaaz sahab kay shear wah wah karnay kay liyeh nahi...hain janab balki..ek mint ko ankh band kar kay tasaworr karna kay liyeh hain..or..iss duniyaa kay badaltey rookh..per EK SOOCH KAA NAAM HAIN MAJAAZ...
    "manish sahab main aap kaa kayal hoon ki app nay ..pahal too ki..."...haatzzz off..

    जवाब देंहटाएं
  4. Bilkul sahi kaha aapne ! Ye jazbe mehsoos karne ke liye waqt dena padta hai..Waise aapka naam jaan sakta to khushi hoti

    जवाब देंहटाएं
  5. hmmmm... lafz hi nahi milte inki aur inki shayariyo ke liye.. hae bus ankh bhar ati hai... r really love shayari and it really touch my heart... hae kash duniya aj bhi pehle jaisi hote.. ya mei kaho log pehle jaise hote.. samajh nahi ata ke log badal gaye hai unka pyaar badal gaya hai ya duniya badal gayi hai......

    जवाब देंहटाएं