बुधवार, नवंबर 01, 2006

Muqaddar Khusk Patton ka hai Shaakhon se Juda Rehena


Aaj pesh hai Makhmoor sahab ki likhi huyi meri ek pasandeeda ghazal . Ab ye ghazal kya hai ek naaraaz aashiq ka fasaana hai. Naarazgi se upaji shayar ki in talkh bhaavnaaon par gaur kejiye ,dil ko juroor chooti huyi guzrengi.

gar yeh shart-e-taaluk hai ke hai hamko juda rehena,
to khwabon mein bhi kyun aayo, khayalon mein bhi kya rehena!

shazar zakhmi umeedon ke abhi tak leh-lahate hain,
inhen patjhar ke mausam mein bhi aata hai hara rehena!

puraane khwaab palkon se jhatak do soochte kya ho,
muqaddar khusk patton ka hai shaakhon se juda rehena!

ajab kya hai agar 'makhmoor' tum par yoorish-e-gham hai,
Hawayon ki to aadat hai charagon se khafa rehena!


Makhmoor Saeedee

Devnaagri mein is ghazal ko padhne ke liye yahan click karein.

5 टिप्‍पणियां:

  1. gar yeh shart-e-taaluk hai ke hai hamko juda rehena,
    to khwabon mein bhi kyun aayo, khayalon mein bhi kya rehena!

    Wah Manish...shayar ki saari dastaan iss sher mein hee paripoorna hai ...waqai...geharayee aur dard ka hasaas yaheen dekhne milta hai...bahut khub ghazal pesh ki ....
    Shukriya
    Cheers

    जवाब देंहटाएं
  2. in connection with the same nazm - here's something by Faiz -

    'Ab tumko bhool jaane ki koshish karenge hum
    Tum bhi, ho sake to, na aana khayaalon mein..'

    जवाब देंहटाएं
  3. DON Mujhe bhi behad pasand hai ye sher. Shukriya Pasandigi ka.

    Suparna Farq sirf itna hai ki Faiz sher mein laaachari se us juda hone dard ko qubool lene ki baat karte hain jabki saeedi sahab ka kehna hai ki aise dard aur yaadon ka kya karein jinka koyi achcha nateeja nahin nikalne wala.

    Faiz ke sher ko yahan share karne ka shukriya.

    The perfect Brewing Shukriya janab !

    जवाब देंहटाएं