गुरुवार, नवंबर 30, 2006

Koi Baat Chale : Phoolon ki Tarah Lab Khol Kabhie..

Pichli Post mein maine is album ki kuch ghazlein aur triveniyaan aapke saath baatin. Aaj is silsile ko jaaree rakhte huye bat shuru karte hain is is insaani phitrat se ..
Kitna khudgarz hai insaan khud galtiyan karta hai aur bhool jata hai par doosre karein to unki bhool use hazam nahin hoti hai. Hai iska koi upaay...shayad Gulzaar ki jholi mein ek tareeka hai..Aap bhi gaur karein..!


aao hum sab pahan le aaine
sare dekhenge apna hi chehra

Sabko saare haseen lagenge yahaan

sahi to kahaa...ek baar aisa aaina aankhon mein sama jaaye to phir to man to badal hi jaaye humara chehre phoolon kee tarh khil uthe aur humari vani se nikalne lage baaton kee meethi khushboo ...

Phoolon ki tarah lab khol kabhie
Khushboo ki jubaan mein bol kabhie


Aur is ghazal ka agla sher sunte hi javed Akhtar kee wo zabardast nazm yaad aa jaati hai

Janta hoon main tumko Jauq-e-shaayari bhi hai
shakhshiyat sajane mein ek ye maahiri bhi hai
phir bhi harf chunte ho, sirf lafz chunte ho
in ke darmiyan kya hai tum na jaan paaoge


gulzar sahab isi baat ko halke phulke andaaz mein kuch yoon kehte hain ..

alphaaz parakhta rahta hai
aawaz hamari tol kabhie


Aur is baat se to aap sab ittifaaq karoge ki bhookamp ke jhatke sirf bhoogoleey plates ke takrane se nahin aate, insaani rishton ki uthal puthl dil kee sarjameen ko bhi hila kar rakhne ke liye kaaphi hoti hai

ye dil bhi dost jameen kee tarah
ho jata hai daanvadol kabhie


aur ye triveni.is ke bare mein to kuch kahna hi phijool hai.
uffff..... ek pin sa dil mein chubhoti chali jaati hai..


Saamne aaya mere, dekha, mujhse baat bhi kee
muskuraye bhi purane kisi rishte ke liye

Kal ka akhbaar tha, bas dekh liya, rakh bhi diya


purane rishton ki tees se upaje dard ko ek padh kar rakh diye gaye akhbaar ke madhyam se khoj nikaalne ka hunar sirf gulzaar ke paas hai.
aur chalte -chalte zindagi ke thapedon se ulajhte nikalte aur phir mazbooti se aage badhte insan ki adamya chetna ko salaam karte huye Gulzaar kahte hain

aadmi bulbula hai paani kaa
aur paani ki bahti satah par tootta bhi hai doobta bhi hai
phir ubharta hai, phir se bahta hai
na samandar nigal saka isko, na tavareekh tod paayi hai
waqt ki mauj par sada bahta
aadmi bulbula hai paani kaa...


Gulzar ki aawaaz ka jaadoo to aisa hota hai ki ghanton uski goonj man mein samayi rahti hai. Mujhe lagta hai ki ye album aur bhi achcha ban padta agar kuch ghazlon ko Gulzar sirf khud padh dete.

is album ki saari ghazlon aur triveniyon ko aap yahaan sun sakte hain

Category : Aaiye Mehfil Sajayein


Devnaagri lipi mein padhne ke liye yahaan click karein

शुक्रवार, नवंबर 24, 2006

Koi Baat Chale Part :I


Koi Baat Chale mein Marasim ke baad ek baar phir Gulzar aur Jagjit ek sath aaye hain! haan, ye pahli baar hua hi ki Triveniyon ko ghazal ki tarah gane ki safal koshish ki gayi hai.Par jahan poore album mein Gulzaar apne andaaze bayan se aapka dil jeet lete hain wahin 2-3 ghazalon ko chod dein to jagjit ki gaayki mein koyi nayapan dekhne ko nahin milta. Phir bhi humare jaise Gulzar-jagjit premiyon ka is album se door rehna kathin hai. to chaliye aap logon ko roobaru karayein is album ki kuch ghazlon sheron aur triveniyon se jo mere dil ke kareeb se guzrin!

to janab shuruaat Nazaron se karte hain. Bhala inki madad ke bagair kabhie koi baat chali hai. aur Gulzar ki baat manein to qatil nigahon ka bas chale to baat kya har ek pal ko wahin rok dein.
na rat kate...
na din chale...
yaani poori duniya ka karobaar thapp...isliye to unki iltiza hai ki


nazar uthaao jara tum to qaaynaat chale
hai intzaar ki aankhon se "koi baat chale"

tumhari marzi bina waqt bhi apahiz hai
mna din khisakta hai aage, na aage raat chale


Par bhai aankhon ko kab tak niharte rahoge tanik soorat par bhi to dhyaan do. Ab is Triveni hi ko le leejiye.....wallah kis khoobsoorti se kisi ki soorat ko aankhon mein utaara hai Gulzaar ne..

Teri soorat jo bhari rahti hai aankhon mein sada
ajnabi chehre bhi pahchane se lagte hain mujhe


Tere rishton mein to duniya hi piro lee maine

Par agar na kisi ki nazar-e-inaayat ho aur naa ho koyi surat meharbaan to kya karenge aap ?
Man mayoos aur sehma sehma hi rahega naa. Yahi haal kuch in janaab ka hai. Inka haal-e-dil batate huye gulzar kahte hain

Sahma sahma dara sa rahta hai
jane kyun jee bhara sa rahta hai


Chahat mili nahin, sab kuch andar toot sa chuka hai phir bhi aas hai ki jaati hi nahin ....

ek pal dekh loon to uthta hoon
jal gaya sab zara sa rehta hai


Kabhie un purane palon mein jhankiye. Kya unmein se kuch aise nahin jinhein aap harghiz nahin jeena chahte. Shayad wo pal kuch aise sawaalon ki yaad dila dein jinke bare mein sochna hi behad taqleefdeh ho. To leejiye pesh hai is album ki ek behad sensitive ghazal jiska har ek sher apne aap mein anootha hai

kya batayein ki jaan gayi kaise?
phir se dohrayein vo ghadi kaise

kisne raste mein chaand rakha tha
mujhko thokar wahan lagi kaise

waqt pe paanv kab rakha humne
zindagi munh ke bal giri kaise?

aankh to bhar gayi thi paani se
teri tasweer jal gayi kaise ?

hum to ab yaad bhi nahin karte
aapko hichki lag gayi kaise ?


Is album ki saari ghazlon aur triveniyon ko aap Yahan sun sakte hain

Kabhie kabhie humare azeez baton baton mein koyi ishaara aisa chor jate hain jiske maaynon ko samajhne ki udhedbun mein humein kitni hi ratein barbaad karni padti hain, par phir bhi hum kisi nateeje par nahin pahunch paate bahut kuch us pankshi ki tarah.... bakaul Gulzaar

Ud kar jaate huye pankshi ne bas itna hi dekha
der tak haath hilaati rahi wo shaakh fiza mein

Alvida kahti thi ya paas bulaati thi use ?


aaj ke liye to bas itna hi...agli baar jikra karenge is album ki jo phoolon ki terah khoobsurat hai aur uske sath hongi kuch aur beshkeemti triveniyam aur sher..

Category : Aaiye Mehfil Sajayein


To read this post in Devnaagri Click Here

शुक्रवार, नवंबर 17, 2006

Agle Janam Mohe Bitiya na Keejo...

Kuch nagmein aise hote hain jo man ki seedhi par dheere dheere chadhkar apni jagah banate hain aur kuch is geet ke jaise jo dil mein nashtar sa chubhote ek hi baar mein dil ke aar -paar ho jate hain. Javed sahab ne is geet mein ek bitiya ke dard ko apni lekhni ke jaadu se is qadar ubhara hai ki ise sunne ke baad aankhein nam huye bina nahin reh paatin.

Ritcha jee kee gehri aawaaz, awadhi jubaan par unki mazboot pakad aur parshva mein Anu Malik ka shaant behta sangeet aapko Awadh ki un galiyon mein kheenchta le jata hai jahan kabhi Ameeran ne is dard ko mehsoos kiya hoga.
Geet, sangeet aur gaayiki ke is behtareen sangam ko shayad hi koyi sangeetpremi sunne se vanchit rahna chahega

Ab jo kiye ho daata aisa na keejo
agle janam mohe bitiya na keejo.ऽऽऽऽ


Jo ab kiye ho daata, aisa na keejo
agle janam mohe bitiya na keejo...

Hamre sajanwa hamra dil aisa todin
Oo ghar basaain hamka rasta ma chodin
jaise ki lalla koi, khilona jo paave
dui char din to khele, phir bhool jaave
ro bhi na paave aisi gudiya na kijo
agle janam mohe bitiya na keejo

jo ab kiye ho daata aisa na keejo
agle janam mohe bitiya na keejo

Aisi bidai bolo dekhi kahin hai
maiya na babul bhaiya, kauno nahin hai
ho..., aansu ke gehne hain, aur dukh ki hai doli
band kivadiya more ghar ki boli
is oor sapnon mein bhi aaya na keejo

agle janam mohe bitiya na keejo
jo ab kiye ho daata aisa na keejo
agle janam mohe bitiya na keejo
agle janam mohe bitiya na keejo


Gaayika - Richa Sharma, Lyrics - Javed Akhtar
Music - Anu Malik, Movie - Umraav Jaan
(2006)

Is marmsparshi geet ko aap yahaan sun sakte hain

Chalte - Chalte thoda hat ke ek aur baat. Badi sharmnaak baat hai hai ki aaj bhi Bharat mein kamobesh har jagah aur kuch sampanna rajyon mein khaskar bitiya ko janma se pehle hi sansar mein nahin aane dete. Aaj bhi dahej lene mein hum zara bhi sankoch nahin karte aur na milne par pratadna ki hadon se guzar jaate hain.
aaiye mil kar khud apne aur paas -pados ke logon ko prerit karein ki aisi kureetiyon ko panapne se rokein. Kahin aisa na ho ki kabhi humari bitiya bhi aise samaajik haalaaton mein apne janam ko kosne ko mazboor ho !



Devnaagri mein padhne ke liye yahan click karein.

रविवार, नवंबर 12, 2006

Satpuda ki Raani Pachmarhi

Is baar October mein ye yojna bani ki kyun na sara parivaar ek jagah ikaththa ho aur jagah bhi aise jahan milne julne ke aalava ghooma phira jaa sake.
Karyakram ye bana ki parents ko lete huye hum sab log Ranchi se Nagpur chalein aur phir wahan se didi ke parivaar ke saath Pachmarhi pahunchein.

Nagpur mein hum ek din ruke aur agli subah Pachmarhi ke liye nikal pade.
Kaisa raha humara ye trip? Kya anubhav rahe mere iska silsilevaar vivran mere hindi blog pe padh sakte hain. Yatra se judi post ki links neeche de raha hoon. Jaise jaise yatra vivran aage badhega is silsile mein nayi links add karta jaoonga.

शनिवार, नवंबर 04, 2006

'Kyaap' by Manohar Shyaam Joshi

Kyaap yaani kuch azeeb,angadh, andekha sa aur apratyashit! Aur sach kahoon to swargeey Joshi ji kaye upanyaas apne naam ko poori tarah charitaarth karta. 2006 ke sahitya academy samman se puraskrit is upanyaas mein aisa kya hai anokha? Anoothi baat ye hai ki uttaranchal ki bhoomi se upaja unka kathanak jab tak pathak ki pakad mein aata hai tab tak upanyaas ka ant ho jata hai.

Agar is pustak ke bare mein aur jaanna chahte hain to yahan click karein.

बुधवार, नवंबर 01, 2006

Muqaddar Khusk Patton ka hai Shaakhon se Juda Rehena


Aaj pesh hai Makhmoor sahab ki likhi huyi meri ek pasandeeda ghazal . Ab ye ghazal kya hai ek naaraaz aashiq ka fasaana hai. Naarazgi se upaji shayar ki in talkh bhaavnaaon par gaur kejiye ,dil ko juroor chooti huyi guzrengi.

gar yeh shart-e-taaluk hai ke hai hamko juda rehena,
to khwabon mein bhi kyun aayo, khayalon mein bhi kya rehena!

shazar zakhmi umeedon ke abhi tak leh-lahate hain,
inhen patjhar ke mausam mein bhi aata hai hara rehena!

puraane khwaab palkon se jhatak do soochte kya ho,
muqaddar khusk patton ka hai shaakhon se juda rehena!

ajab kya hai agar 'makhmoor' tum par yoorish-e-gham hai,
Hawayon ki to aadat hai charagon se khafa rehena!


Makhmoor Saeedee

Devnaagri mein is ghazal ko padhne ke liye yahan click karein.