सोमवार, अक्तूबर 02, 2006

Shadi Ka Interview : Part -II

Shadi karne ke pehle kya kya mila sunne ko......
kaise ek baat cheet ke dauraan khichi meri fotu........
Kya hua sawal dage humne teen kanyaon par....
Aur kya mila humein sunne ko......

Ye jaanne ke liye jayein is link par

शादी का इंटरव्यू - भाग : २

Hindi mein padhne ke liye menu View - Encoding - Unicode (UTF 8) option ka istemaal karein

6 टिप्‍पणियां:

  1. DON tum ne ye kaise keh diya ki main sirf interview le raha tha :), infact mera bhi interview liya ja raha tha. Nirnay kya sirf mujhe hi lena tha , samne wale ko bhi usi waqt mein ye judge karna tha ki main uske layak hoon ya nahin. Ye alag baat hai ki kayi ladkiyan chaahkar bhi itna apne aap ko assert nahin kar patin

    Aur rahi selection ki baat to family, background ke baad hi teenon parents ki nazar mein OK thin.

    Isi wazah se mujhe unse baat karne mein koyi hichak nahin thi aur na hikabhi bhi koyi glani mehsoos hogi kyunki meri samajh se ladki ko bhi khud apni nazar se ladke ko dekhne , baat karne ya select reject karne ka utna hi haq banta hai jitna kisi ladke ko. Aur ye tab tak nahin hoga jab tak donon ko is bare mein choice nahin milegi.

    Sirf mata pita ke diye gaye nirnay par hi muhar lagani hai to phir shadi ke pehle ek doosre ko dekhne samajhne ki kya juroorat :)

    Tumne sare issue ko ektarfa maan kar apni raay likhi hai aapas mein kee huyi baat cheet koyi tol mol nahin hai balki samaj ke daayron mein banayi huyi paripaati mein ek doosre ko samajhne ki imaandar koshish hai.

    Mooltah isiliye mera sab se ek hi prashna tha ki unke sapne kya hain apne would be ke liye. Tolna agar yahi shabda use karna hai to ;) mujhe sirf yahi tha ki kya unki apekshaon par main khara utarta hoon ya nahin. Ya zindagi mein unke liye jo mahatvapoorna hai wo mere liye hai ya nahin.Main agar kisi ek se milta aur apne aap ki is qabil nahin pata to waise bhi mujhe doosre se baat karni padti.

    Yahi kaam meri samajh se ladkiyon ko bhi karna chahiye
    .
    Tumne kaha hai ki aise ladke ko tum chalta kar deti kyunki tumne maan liya hai ki koyi rishte ke liye agar haami nahin bhar raha hai to wo tumhara apmaan kar raha hai. Jabki mere nazariye se dekho to ismein maan apmaan wali baat hi nahin hai. Maine jis ladki ko pasand kiya uske gharwalon se puchwaya ki aap please usse juroor poochein ki mujhe usne pasand kiya hai ya nahin.

    Ye baat bhi batane ki hai ki is jawab ko sunne ke liye mujhe 6 dinon ka intezaar karna pada .
    Aur yaqeen mano agar usne na bhi kiya hota to mujhe ismein mere apmaan wali koyi baat nahin lagti.

    Maine ye lekh is sambandh mein apne nazariye or arranged marriage mein ek ladki ya ladke ko aane wali dikkaton ke maddenazar liya likha hai. Isliye maine kise select kiya wali baat bemaayni hai.

    Shukriya ki tumhare criticism ko padhne ki wazah se mujhe is bare mein apne vicharon ko aur spashta karne ka mauqa mila.

    जवाब देंहटाएं
  2. Aur haan sawaal maine sabse same pooche the. just baat start karne ke liye Education then a bit on Hobbies and then main question ki aap ki kya expectation hai life partner se se ya life mein kaun si cheez aapke liye sabse imp hai.

    Sare questions ki details nahin di thin. Mujhse bhi sawal mere hobbies , college ka bare mein pooche gaye the.

    जवाब देंहटाएं
  3. Manish...meine poorane zamane ki baaton ko sochkar jyada likha...haan tumhare case mein jo tumne spasht kiya hai woh sahi bhi ho...kyunke...jitni azaadi ladkon ko hai ootni hee ladkiyon ko bhi honi chaiye this is a very good thought of yours...but what is the fact? am not sure...when u selected one and the rest two of them got the notice of - No, shayad oon mein se kisi ne aapko Yes kaha hoga...but coz aapka yes kaheen aur chala gaya ...she couldnt express..!
    Its just a thought. Though I dont believe ke parents choose karein aur oos per mohar laga dein kyunke jeena parents ko nahi ladki aur ladke ko hai :)
    mein waise bhi aapke baare mein nahi kuch likhti since I know u well...and we had discussed this b4.
    Bas iss tradition se nahi guzri aur dekha bhi nahi so mann mein kuch sawal oothe jise pooch baithi ...vistar poorvak batane keliye bahut bahut shukryia dost!
    Cheers

    जवाब देंहटाएं
  4. DON Sirf ladki ya sirf ladke ke haan kehne se kya hota hai, Baat to tabhi banegi jab donon or se Yes Yes ho.
    thats the way it is and one has to move on without thinking too much abt it because arranged marriage mein isi paripati ke bheetar humein nirnay dene ki azaadi di hai.
    Ideal to wo baat hoti hai jo Ravi ji ne kahi hai.

    Yes we have discussed it before. Par shayad itti detail mein nahin. But since the whole idea and decision abt the process was mine and i still believed in it tumhein apna stand clear karna juroori samjha .

    जवाब देंहटाएं