रविवार, सितंबर 24, 2006

Shaadi Ka Interview Part:I

Shaadiyan to har kisi ki der-saber ho hi jati hain. 25-26 saal ki umra paar huyi nahin ki ye vipda paas aane lagti hai. Ab isse pehle agar aapne kuch kar kara liya ho to baat alag hai nahin to mata-pita ki sharan mein jaana hi padta hai ki babuji ab aap hi humari naiya ko paar lagao. Shadi ke is saamaajik parv ke pahle ek mazedaar saa aayojan hota hai. Jee haan sahi pahchana aapne yaani shaadi ke liye liya gaya interview.

Ab is interview ko Civil Services ki pratiyogita pareeksha se kam to nahin par samkaksha juroor aankna chahiye. Dekhiye naa kitni samaanta hai donn mein. Wahan poori pareeksha teen charnon mein hoti hai to yahan sirf interview hi teen charnon mein hota hai ( Pehle var ke pita aur unke kareebi, phir agle charan mein ghar ki mahilayein aur antim charan mein dulhe raja khud). Ab in donon pareekshaon ke parinaam ki zindagi ki disha aur dasha sanwaarne mein kitni ahmiyat hai ye to hum sabhi jaante hain.

Baat 80 ke dashak ki hai. Meri mausi ki shaadi ki batein chal rahin thin. ab ye baat kitni hasyaspad kyun na lage par mujhe achchi terah yaad hai ki ek aise hi interview mein baki prashnon ke sath ye bhi poocha gaya ki Postman par essay likh kar dikhayein. Ab unhone kya likha ye to yaad nahin par wapas aane par unki aankhein nam juroor ho gayin thin. Kuch hi saal baad humare yahan meri didi ki shadi ke liye ek sajjan ne angreji gyan jaanchne ke liye wahi purana ghisa pita prashna daaga yaani

Write a letter to your father asking him for money to meet your expenses.

Ab ye prashna, snaatak ke chaatra ke liye kisi bhi maayne mein kathin nahin hai, par jab koyi vyakti dara sahma, saja-sanwra aisi kisi visual scrutiny ke liye baithta hai to is terah ke prashnon par wo apne bhavon ka santulan kaise bana pata hoga ye sochne kee baat hai. Main chota jurror tha, par ye sab dekh ke us waqt mujhe behad gussa aaya karta . Kalpana karta ki agar sabhie susajjit paridhanon se lais ek kone mein didi logon ke bajaaye mujhe baithaya jata to meri kya dasha hoti.

Saakshaatkaar ke is pahle charan se nibat bhi lein to dusre charan mein var paksha ki mahilaaon ko jhelna padta hai. Kabhi kapde badal kar ke aao, kabhie chal ke dikhao etc etc. Do-teen saal pehle ki baat hai mere ek dost ki sis ki shadi ke silsile mein shaadi dene ke bahane logon ne khud sadi pehnaane ki zid thaan lee. Mool uddeshya to khair ladki mein kisi shaareerik khami ko dhoondhna tha.

Aur rahi var mitron ki baat to unki to chaandi hoti hai. Shauq jaanne ke naam par duniya bhar ke sawal daag lo.Ye alag baat hai ki bhale hi khud kabhi na koyi shauq paala ho.

Arranged marriage ke liye ye sare prakran juroori hain, is baat se mujhe inkaar nahin. Par ye sara kaam ek sahaj vaatavaran mein ho to kitna achcha ho. Par sahajta aaye to kaise khaaskar tab jab palda humesha var paksha ka hi bhari rahta ho. Kam se kam in anubhavon se maine yahi nishchay kiya tha ki apni shaadi ke samay in baaton ka dhyaan rakhoonga. Kitna rakh paya main dhyan aur kaisa raha mera interview ye jante hain is post ke agle hisse mein......

मंगलवार, सितंबर 19, 2006

Meri Kavita : Kalpana aur Yathaarth !

Amooman kavita main likhta nahin , yaad hai na DON pichli kab likhi thi :p .Par kya bataoon apni Mehfil mein kavitaon ki antyakshri mein ek akshar 'थ' bahut dinon se seena tane khada tha, garv se ithlata hua ki yaad hai hum se shuru hone wali koyi Rachna. Khair humein to Rachna yaad na aayi par Rachna ji ne pesh kar dee apni ek rachna. par mussebat ye thi ki wo bhi 'थ' se shuru ho kar th par khatma. idhar main do hafton se behad vyasta raha par aakar dekha ki humare naye navelr kaviraaj joshi ji ne usi kavita ko aur aage badhaya hai par mazaal hai ki 'थ' ko apni jagah se hata paaye hon. Mua 'थ' na hua angad ka paanv ho gaya.Humne bhi thaan lee ki aaj chaar panktiyan hi sahi pr kuch likh dalein taki ye 'थ' waali bala tale !

Ab pehli chaar panktiyan likhi to socha kyun na is vichaar ko aage badha ek kavita ki shakl dein. Iska nateeja aapke saamne hai, jyaada buri lage to apni sari gaaliyan akshar 'थ'par kendrit kar deejiyega:)

Kalpana aur Yathaarth


thaam kar ke baadalon ka kaafila
man hua chup jaaon main unke tale
dekh loonga oot se us chaand ko
makhmali si chaandni bikherte

kehte ho tum lukachipi kya khel hai
shobhta hai kya tumhein ye khelna
milo jeevan ke yathaarth se
samjho kya hai jagat ki vedna

Suno ! baat tumne hai kahi sahi
khwaab ka aanchal pakad kar humein
jeevan ko kabhie nahin hai tolna
khud ke swapnon mein karni nahin
parijanon ke sukh dukh ki avhelna

par tum hi kaho ye bhi koyi baat hai
swapna dekha hai jisne nahin
kalpana ki udaan par jo naa uda
doosron ka dard samjhega kya bhala
jiske man mastishk se mar gayi samvedna

so nirbhay ho ke tum oonche udo
sapnon ki chaandni ko tum chakho
par lautana to, paanv dharatal par ho khade
hai karna ab sabko yahi jatan
jeevan mein kaise ho inka santulan


Manish

देवनागरी में पढ़ने के लिये यहाँ क्लिक करें ।

रविवार, सितंबर 03, 2006

Kahan gaye Sangeet ke Sur ? Mar Gayi Kya Melody ?

Haal hi mein ek discussion forum mein humare ek bujurg ne ye sawal rakha ki aaj ke geeton se melody kya mar nahin gayi? Kya aaj ka sangeet mahaj ek shor to nahin Aaj ke sangeetkaar melodious sarachna karna hi nahin chahte.

Prashna dil ke kareeb tha . Shayad aap sabke bhi kareeb ho. Apne dil ki baat to maine yahan keh di hai. Aapka dil kya kehta hai is bare mein ye juroor batayein ?