शुक्रवार, अगस्त 25, 2006

'Mahabhoj' by Mannu Bhandaari

Mannu Bhandarike is upanyas ko pahli baar 1986 mein padha tha.
15 Aug ki chuttiyon mein Ranchi ke thande mahoul ko chor kar Patna jana pada. Wahan ki chipchipati garmi se nizaat paane ke liye idhar udhar niruddeshya bhatak raha tha to sahsa almari se ye pustak jhankti mili .
kahani to ab bilkul yaad nahin thi par ye juroor yaad tha ki pahli baar padhte waqt ye kitaab man ko bahut bhaayi thi. Diary ke pannon mein is kitaab ke naam ke aage maine *** jade the. Aur baad mein jab inhin ka likha upanyas 'Aap ka Bunty' padha tha tab se Mannu ji meri chaheti lekhika ban gayin thin

200 prishthon se bhi kam ki is kitaab ko dubaara padhne mein jyada samay nahin laga aur is baat ki khushi bhi huyi ki is kriti ko dobaara padhne ka mauqa mila. To aaiye aapko le chalein is upanyaas ki katha ki oor !
ye kahani hai vikas ke hashiye se bahar khade ek gaanv Saroha kee.
Ek aisa gaanv jahan bahulya to hai Harijanon ka, par tooti boti hai Jaaton ki !
Yahin maut hoti hai ek padhe likhe Harijan navyuvak Bisu kee.
Waise to Bisu ek samanya naagrik ki tarah gumnaami ki maut mara hota, par param gauravshaali loktantra ki ek parampara ne aisa hone diya. Bisu ki maut ke kuch dinon pahle hi saroha mein upchunaav ki ghoshna ho chuki thi. Aur jaisa ki hota hai virodhi dal hath mein aaye is sunahre mauqe ko kaise jane dete.
Kahani aage badhti hai...
Shuru hoti hai Bisu ki maut ki tahkikaat...
Ya yoon kahein ki ek aam se shakhs ke kareebiyon se kiya gaya kroor mazak !
Raajneetik rassakashi ke is mahoul mein is dukhad maut par saare paksha apni-apni gotiyaan senkte nazar aate hain.
chahe vo mukhyamantri ho jo janta ka dhyaan Bisu ki hatya se hatane ke liye, lok lubhavan yojna ka chaara daaltae hain.....
ya virodhi jo katl ke raajneetik labh ke liye jatigat vaimanasya ko badhane se nahin chookte...
ya aalaa afsar jo case ki tah tak jane waalon ko pratadit kar apni padonnati ke raaste saaf karte chale jaate hain....
ya phir samachaar patra ke maalik jo kaagaz ke permit ko badhwane ke liye raaton-raat sarkaar ki neetiyon ke mukhar prashanshak ban jaate hain.....
Loktantra ke tale ek aisa ghrinit raajneetik chakra jismein pahle ek hatya aatmahatya batayi jaati hai aur baad mein kuch aur .......

Khair wo batana na batana jyada maine nahin rakhta.
Par gaur karne waali baat hai ki 1979 mein likhe is upanyaas ko padhkar aisa nahin lagta ki hum 30 varsh pahle ki isthitiyon se guzar rahe hain. Upanyaas ke har charitra ko aaj bhi hum apne ird gird ghoomta mehsoos kar sakte hain
Ek behad sashakta upanyaas jo humari loktantrik pranaali ki khaamiyon aur nirantar ghatte raajneetik mulyon ki jhalak dikhlakar man ko kachot ..ta hua saa jata hai

देवनागरी में पढ़ने के लिये यहाँ क्लिक करें ।

8 टिप्‍पणियां:

  1. Wah! Mannu Bhandari ki sahi pustak ka vritaant sunaya tumne! Meine bahut pehale parhi thi aur shayad bhul bhi gayee thi...lekin yahan parhkar sab kuch jaise aankhon ke saamne aagaya ho!
    waqai sach kaha waqt logon ko lekar ek hee station se baar baar guzar raha hai tabhi to log badal gaye lekin mahol wahi hai..!
    Bahut khoob...shukryia isse yahan pesh karne
    Cheers

    जवाब देंहटाएं
  2. Upanyas to ek do hi padhe hain aur woh bhi aaj ke zamaane ke Surendra mohan paathak ji ke suspense waale. :D... maaf karna manishji.. thodi bhaaga daudi ke kaaran samay nahi nikaal paa rahaa hoon. keep writing. :)

    जवाब देंहटाएं
  3. Manuji ki novel Yahi Sach Hai, Rajnigandha naak ki film ke roop mein bani hai....this is one of my the favorites.

    BTW, long time u haven't been to my blog...kya baat hai sir?

    जवाब देंहटाएं
  4. aapne mannu bhandariji ka upanyas mahabhoj ko bahut hi achhi tarah se parkha hai......main M.phil ki chhatra hun aur mera sodh aalekh ka vishay bhi isi upansas par hi hai....isiliye mujhe bahut khusi hai....

    जवाब देंहटाएं
  5. Shukriya Punam jaankar khushi huyi ki aapko mera aalekh pasand aaya.
    Mannu Bhandari meri priya lekhika hai. Mujhe inka likha hua Aapka Bunty bhi behad pasand aaya tha.

    जवाब देंहटाएं
  6. ji manish ji aapka bunty bhi bahut hi achha upanyas hai....
    agar aap mahabhoj ke bare mein kuchh aur tippani dein to mujhe sodh mein kuchh aur madad mil jayegi....shukriya

    जवाब देंहटाएं
  7. abhi haalhi mein huye mumbai mein aatankwadi hamle aur rajnetaon ki bhasanbaji MAHABHOJ ke saath puri tarah se mel khaati hai.....

    जवाब देंहटाएं
  8. We need your permission to use one of your images for academic purpose (non-commercial use) at ILLL University of Delhi, the url of the image is :
    http://photos1.blogger.com/blogger/5585/1021/1600/Mahabhoj.jpg

    जवाब देंहटाएं