मंगलवार, अगस्त 01, 2006

Bhale Dinon ki Baat Hai, Bhali si Ek Shakl Thi..

Ahmad Faraz Pakistan ke mashhoor shayar hain jo Bharat mein bhi utne hi chaav se padhe jate hain. Bhala inki likhi ghazal Ranjish hi sahi kis ghazal premi na nahin suni hogi. Aaj unki ek halki phulki nazm pesh-e -khidmat hai jo kuch saal pehle sarhad paar ke ek sathi ne poetry forum mein post ki thi. Zindagi ke kisi mukaam par ek shakhsh se milne aur bichudne ki ye seedhi sachchi daastan dil ko chooye bagair nahin rah pati.


bhale dinoN ki baat hai
bhali si aik shakl thi
na ye ki husn-e-taam ho
na dekhne mein 'Aam si

na ye ki woh chale to
kahkashaaN si rahguzar lage
magar woh saath ho to
phir bhala bhala safar lage

koi bhi rut ho us ki chchab
fiza ka rang-o-roop thi
woh garmiyoN ki chchaaoN thi
woh sardiyoN ki dhoop thi

na muddatoN judaa rahe
na saath subh-o-shaam ho
na rishta-e-wafa pe zid
na ye ki izn-e-'Aam ho

na aisi Khush libasiyaaN
ki saadgi gila kare
na itni be takallufi
ki aaina haya kare

na aashiqi junoon ki
ki zindagi 'azaab ho
na is qadar kaThor pan
ki dosti Kharaab ho

suna hai aik 'Umr hai
mu'Amilaat-e-dil ki bhi
visaal-e-jaaN fiza to kya
firaaq-e-jaaN gusal ki bhi

so aik roz kya hua
wafa pe bahas chchiD gayi
maiN ishq ko amar kahooN
woh meri zid se chiDh gayi

maiN ishq ka aseer tha
woh ishq ko qafas kahe
ki umr bhar ke saath ko
woh bad-taraz-hawas kahe

"shajar hajar nahin ki ham
hamesha pa ba gul raheN
na Dor haiN ki rassiyaaN
gale main mustaqil rahaiN

maiN koi painting nahiN
ki aik frame meiN rahooN
wahi jo man ka meet ho
usi ke praim meiN rahooN

tumhari soch jo bhi ho
maiN is mizaaj ki nahiN
mujhe wafa se bair hai

ye baat aaj ki nahiN"

na us ko mujh pe maan tha
na mujh ko us pe za'Am hi
jo 'ahad hi koi na hoi
to kya gham-e-shakistagi

so apna apna raasta
hansi Khushi badal diya
woh apni raah chal paDi
main apni raah chal diya

bhali si aik shakl thi
bhali si us ki doosti
ab us ki yaad raat din
nahin, magar "kabhi kabhi"


Ye kabhie kabhie wali baat is baat ko purjor andaaz mein rakhti hai ki yadein dhoomil ho sakti hain, dab sakti hain par mar nahin saktin.


देवनागरी में पढ़ने के लिये यहाँ क्लिक करें ।

6 टिप्‍पणियां:

  1. Wah Manish...Faraz sahab ki ye nazm kuch halki see yaad aati hai ke kaheen padhi hai...woh bhi iss pankti se...
    na ye ki husn-e-taam ho
    na dekhne mein 'Aam si


    bahut hee khoob pesh kiya aur ooske sath jordti huin tumhari panktiyan jo inn nazm ko aur majbuti se geharayee ki aur le jaati hai :)
    Thanks so much
    Cheers

    जवाब देंहटाएं
  2. I am in front of the computer from morning,browsing like crazy and then went through lot of ghazals and nazm today,but this one is just awsome,Faraz sahab ne dil jeetliya hain manishji:)
    Memories fade away,but they never die:)

    जवाब देंहटाएं
  3. Great manish ji..hamay nahi maloom tha k us din jo misray hum ne parhay thay ap k link se..woh is nazam k thay...
    Buhat hi umdah nazam aap ne share ki hai..waqai..tht "kabhi kabhi" in the end creates such a feeling..jo pori nazam mai ubharti hai..aur akhir mai apne extream par pohch jati hai! Buhat buhat sukria isay hamray sath share karnay ka.. :))

    जवाब देंहटाएं
  4. arre saw that Japanese movie in a public screening and that too a long ago....waise sarhad paar ki nazm bhi apni jaisi hi lagi

    जवाब देंहटाएं
  5. DON Sahar ne post kee thi Bahas pe DON !

    Alapana Khushi hyi jaankar ki aapko ye nazm achchi lagi.

    ZA haan us din ke kuch word baad mein pata chala ghalat hain, like hijra nahin hajar tha isliye hamlog matlab nahin samajh paa rahe the. Do stanza omit kar diye kyunki samajh nahin aa rahe the. thx for giving help :)

    Illusion oh achcha ! aur tumhari update rate abhi bhi once a month hi hai. log waada kaerte hain par poora nahin karte :p

    जवाब देंहटाएं
  6. इस टिप्पणी को एक ब्लॉग व्यवस्थापक द्वारा हटा दिया गया है.

    जवाब देंहटाएं