शुक्रवार, अगस्त 18, 2006

Aankhon Ki Kahani Shayron Ki Jubani : Part-III

Aankhein jitna kuch kahti hain utna hi use chupane ka prayaas bhi karti hain. Aankhon ka ye chal lekin kareebiyon ki pakad mein aa hi jata hai. Ab dekhein Kaifi Aazmi sahab kya kahte hain is bare mein

Tum itna jo muskura rahe ho
kya gam hai jisko chupa rahe ho
Aankhon mein nami hansi labon par
Kya haal hai kya dikha rahe ho
kya gam hai jisko chupa rahe ho


Chup chap jal jane wale logon ko log nirashawaadi ki sreni mein laa khada kar dete hain, par ishqa ki raah mein chalne walon ko duniya ki parwaah kahan !

Tumhrai aankh main gar main kabhi chup chap jal joan
Tum apni aankhon main lekin mera sadma nahi likhna

Meri aankhon main batain hain magar chehre pe gehri chup
Meri aankhain to likh dena mera chehra nahi likhna


Par aankhon ka dard chupana kitna kathin hai uski jhalak Meena kumari ki is nazm mein dikhayi deta hai

Tukade tukade din bita,
dhajji dhajji raat mili,
Jisaka jitana aanchal tha,
utani hi saugaat mili.

Rimjhim boondon me jahar bhi hai,
aur amrit bhi,
Aankhen hans di, dil roya
yah achhi barsat mili.


Aur jab ye dard asahneey ho jaaye to raaj ki baat raaj nahin rah paati. Bakaul Abdul Nadeem Qasmi

Hosla tujh ko na tha mujh se judaa hone ka
warna kaajal teri aankhoN mein na phailaa hota


Par ye kya? Yahan to shayar ishq mein mayoos ho kar bhi apni aankhein nam nahin karna chahta kyunki wo sochta hai ki usse mohabbat ki tauheeen hoti hai!

Karna hi parega zabt-e-gham, peene hi parenge yeh aansoo
Fareyaad-o-fughaan se ay Nadaan, tauheen-e-muhabbat hoti hai
Jo aa ke ruke daaman pe 'Saahil' woh ashk nahee hain paani hai
Jo ashk na chalkay aankhon se us ashk ki qeemat hoti hai


Aur kuch aisi hi soch in janab ki bhi hai

palat kar aaNkh nam karna humaiN hargiz nahiN aata
gaye lamhoN ka ghum karna humaiN hargiz nahiN aata
muhabbat ho to be-had ho jo ho nafrat to bepaya
koi bhi kaam kam karna humaiN hargiz nahiN aata

Par aankhon se hi sab kuch ho jata to kya baat thi ! Baat tab aage badhti hai jab sath hi sath hothon ko bhi mashakkat dee jaye. Par kya har samay aisa ho pata hai ?Are kahan janab…..baraha rishte aankhon ke daayre mein hi simat kar rah jate hain. Gulzar sahab ne kis khoobsurti se is baat ko lafzon ka jaama pahnaya hai ab yahin dekh leejiye

muskurahat se khilee rahtee hai aankho mein kahin
aaur palakon pe ujaale se jhuke rahate hain
hoth kuchh kahate nahin, kaapate hothon pe magar
kitne khamosh se afasaane ruke rahate hain


Bahut si baatein aisi hoti hain jo waqt ki nazakat aur pratikool haalaaton ki wazah se dil ke kone mein dafan karni padti hain. Aankhein unki jhalak bhale dikhla dein par hothon ke darwaze humesha band rahte hain

Sajid Hashmi ka dil ko choota ye sher suniye

Jhalak jate hein akser dard ki manind aankhon se
Mager khamosh rehte hein bayaan hone se darte hein

Kuchal deti hai her hasrat hamari beraham duniya
Dil-e-masoom ke armaan jawaan hone se darte hein


Aur bakaul Amzad Islam Amzad

Jo Aansoo Dil Mein Girtey Hein Woh Aankhoon Mein Nahien Rehtay
Bouhut Sey Harf Aisey Hein Jo Lafzoon Mein Nahien Rehtay

Kitaaboon Mein Likhey Jaatey Hein Duniya Bhar Kay Afsaaney
Magar Jin Mein Haqeeqat Hoo Kitaaboon Mein Nahien Rehtay


To ye to tha aankhon mein dard aur udaasi ka rang ! Lekin aap sab par udaasi ki chadar oodhakar is silsile ka samapan karoon ye achcha nahin lagta. Isliye chalte chalte pesh hai mere priya shayar Gulzar ki ye nazm jo kisi ki pyari aankhon ko zehan mein rakh kar likhi gayi hai

Teri Ankhon Se Hi Khulte Hain Saveron Ke Ufaq
Teri Aankhon Se Hi Band Hoti Hai Ye Seep Ki Raat
Teri Aankhen Hain Ya Sajde Main Hai Masoom Namazi
Palken Khulti Hain to Youn Goonj Ke Uthati Hai Nazar
Jaise Mandir Se Jaras Ki Chale Namnaak Hawaa
Aur Jhukti Hain To Bas Jaise Azaan Khatm Huee Ho
Teri Ankhen, Teri Thahri Huee Gamgeen See Ankhen
Teri Ankhon Se Hi Takhleeq Huee Hai Sachchi
Teri Ankhon Se Hi Takhleeq Huee Hai Ye Hayaat

Ufaq - aasmaan ka kinara, Namnaak - geeli, takhleek - srijan, hayaat- jeewan

4 टिप्‍पणियां:

  1. WOw ankhon per kuch aur chinda nazm aur ghazalein aaj yahan parhne ko miliN ... accha laga...
    Thanks for sharing dear
    Cheers

    जवाब देंहटाएं
  2. wah aankhon ke baare main kya sahi kaha hai. Maine kahin padha tha ki bharat main aankhein naam se sabse jyada movies bani hain.

    Bahut hi sundar gaanon ko aapne yahan prastut kiya hai. Aise hi mere dimag main kuchh aur gane bhi aaye (par unka andaaz kaafi alag hai):

    Kathai Aankhon Wali Ik Ladki,
    Ek Hee Baat Par Bighadati Hai


    aur

    Ye chand sa roshan chehra,
    zulfon ka rang sunehra,
    ye jheel si neeli aankhen,
    koi raaz hai unme gahra!

    जवाब देंहटाएं
  3. Hi All,

    For all you folks in the US, here is a new option for
    getting the cheapest fares to fly back to India for
    your visits. Its a new technology online fare
    consolidator called Cfares –

    http://cfares.regalix.com/cfares/cfares/index.jsp?channel=blpo2&adgroup=manishkmr.blogspot

    Pls pass it on to all your friends and colleagues in
    the US. It is also useful for folks flying from the US
    to China, Southeast Asia or Europe.

    Ask everyone to register using this URL (its free for a Gold
    membership). More the merrier.

    Enjoi!!

    जवाब देंहटाएं