गुरुवार, जुलाई 27, 2006

Maan, Kya Hoga Uske Baad ?

Humare bhavishya mein kya hai ye jaanne ki utsukta to hum sabhi mein hoti hai. Par is utsukta ka naa to koyi ant hai na koyi seema.
Bhavishya roopi saagar ki gehrayi dekhi hai kabhi aapne.
pehle to sab kuch saaf dikhta hai phir dhundhlapan badhta chala jata hai.
Janma, Shiksha, Prem, Naukari, Vivah, Vaibhav..... ke bare mein jaan lene ke baad bachta hi kya hai humare paas!
Bas mrityu ki ek dastak jise jaanne ki iksha hi nahin hoti.
par phir uske baad kya?
Uska jawaab kisi ke paas nahin! bhavishya ke paas bhi nahin kyonki yahan aakar to wo bhi apne maayne kho deta hai.
Balkrishna Rao ki ye kavita chand panktiyon mein, shishu ke mukh se is sahajta aur bholepan se prakruti ki is unsuljhi paheli ki or ishaara kar jati hai ki man soch mein hi padh jata hai

School ki VIth class mein padhi ye kavita mujhe behad pasand hai par jab dobara khoj ki to net pe nahin mili. NCERT ki book Apoorva mein jab ye dikhayi di to punah padhkar man harshit hua .kavi ko ek baar phir se naman kiya, jinhone anaadi-anant kaal se chale aa rahe is prashna ko itni sundarta se pesh kiya hai.

' Phir kya hoga uske baad?'
utsuk hokar shishu ne poocha,
' Maan, kya hoga uske baad?'


Ravi se ujjval, shashi se sundar,
nav-kislay dal se komaltar
vadhu tumhare ghar aayegi
us vivah utsav ke baad


palbhar mukh par smiti rekha
khel gayi phir maan ne dekha
utsuk ho kah utha kintu wo
phir kya hoga uske baad


phir nabh se nakshatra manohar
swarga lok se utar utar kar
tere shishu banne ko mere
ghar aayenge uske baad


Mere naye khiloune lekar
chale na jayein ve apne ghar
chintit hokar utha, kintu phir
poocha shishu ne uske baad ?


Ab maan ka jee oob chuka tha
harsh shranti mein doob chuka tha
boli phir main boodhi hokar
mar jaoongi uske baad


Ye sun kar bhar aaye lochan
kintu ponchkar unhein usi kshan
sahaj kutuhal se phir shishu ne
poocha, maan kya hoga uske baad


kavi ko balak ne sikhlaya
sukh dukh hai palbhar ki maya
hai anant tatwa ka prashna yah
phir kya hoga uske baad?


Balkrishna Rao

14 टिप्‍पणियां:

  1. Yaad nahi ke Balkrishna Rao ji ki kavita pahi ho lekin kavita ke parhne se aisa bachpan ki koi baat yaad aati hai..
    bahut hee acchi bhavuk see
    Cheers

    जवाब देंहटाएं
  2. Ye abhi bhi class VI th mein hai NCERT ke book mein.
    Mujhe sirf iski kuch panktiyan hi yaad thin aur bahut donon se isko khoj raha tha.

    जवाब देंहटाएं
  3. phir to lagta hai saih mein Swaraj madam ne padhaya tha bas ab yaad nahi raha :(

    :)

    जवाब देंहटाएं
  4. I was looking for this poem since a long time. I only remembered some lines , but thanks for posting it here - once again I was struck by how simple yet how touching this poem is.

    जवाब देंहटाएं
  5. Very nice poem...was looking for it for a long time...Please if you find one more excellent poem - "Ye kadambk a ped agar maa hota yamuna teere", do post it !!!

    जवाब देंहटाएं
  6. Mujhe bhi ye kavita bahut pasand thi. Aur ise maine NCERT ki web site par khoja. jankar khushi huyi ki ye aapko bhi pasand hai.
    Shishir give me a mail at my id . I will send you that poem Kadamb kaa Ped'.

    जवाब देंहटाएं
  7. Hi Manish thanks, I got it here..http://www.hindigagan.com/jadoo/kavitayen/yehkadamb.htm
    -Shishir

    जवाब देंहटाएं
  8. hi manish,

    brother i have been hunting this poem for ages. i read it too when in school and love poems. and i am eternally grateful to you for posting it man.
    Thanks so much that you an't imagine.
    Take care.
    AJay Sehgal.

    जवाब देंहटाएं
  9. Ajay I can feel ur hapiness. Infact it took me years to find this poem. Finally got it from NCERT site. Like you I love this poem to the core of my heart.

    Manish

    ek-shaam-mere-naam.blogspot.com

    जवाब देंहटाएं
  10. Main Shri Balkrishna Rao ki poti hoon, aur mujhe aap sab ke comments padh kar bahut khushi hui. Kuch varsh pehle, hamne Dada ki kuch chuni hui kavitaaon ko "Khitij ke us paar" naamak ek kitaab mein chhapin thi. Aasha hai ki aap sab, jinko unki kavitaiein pasand aayin hon, aapko yeh kitab bhi pasand ayi thi. Unke parivaar ki or se, mein aapka shukriya ada karna chahti hoon, ki aapne mere Dada ki kavitaaon aur bhavnaaon ki gaharayi aur sundarta ko pehchana. dhanyavaad. Devyani Rao

    जवाब देंहटाएं
  11. देवयानी जी नमस्कार ! आपकी ये टिप्पणी पढ़कर बेहद खुशी हुई। इस कविता को मैंने अपने हिंदी देवनागरी वाले चिट्ठे पर यहाँ भी डाला था और पाठकों की अच्छी प्रतिक्रिया मिली थी। दरअसल बालकृष्ण राव जी की कविताओं से मेरा साथ स्कूल के बाद से ही छूट गया था पर इस कविता का असर ऍसा है कि ये कभी ज़ेहन से नहीं निकल सकी। नेट पर राव साहब के बारे में बड़ी कम जानकारी है। मैं उनकी कविताओं और उनके बारे में बहुत दिनों से एक लेख लिखने की सोच रहा था। आशा है इस विषय में आपका सहयोग मुझे मिल सकेगा। आपने जिस पुस्तक का जिक्र किया है वो किस प्रकाशक ने छापी है इसका उल्लेख करें।

    जवाब देंहटाएं
  12. Manishji, aapki dilchaspi dekharkar mujhe behad khushi hui. Dada se meri khud mulaquat nahin ho pai, par mere pitaji, Shree Pradeep Rao ko aapki madat karne mein behad khushi hogi. Aap unse is pate par sampark kar sakte hain, pradeeprao59@gmail.com aur chahein, to ek copy mujhe devyanirao@yahoo.com par bhi bhej dein. Dhanyavad. Devyani

    जवाब देंहटाएं
  13. Manish, I wonder if you ever read the poem you posted. There is an obvious mistake in the 3rd paragraph.
    The lines 3 and 4 have been repeated from the previous para.
    Correct lines are:
    ""Utsuk ho kah utha kintu wo
    Phir kya hoga uske baad""

    जवाब देंहटाएं
  14. main ek zamaane se is kavita ki talaash mein tha.saatwin ya aathwin class mein padhi thi, tab se ye zehn mein naqsh hai.is ki kuchh panktiyan bhool gaya tha, is kavita ko yahaan upload karne ke liye aap logon ka shukr guzaar hoon.

    जवाब देंहटाएं