गुरुवार, जुलाई 27, 2006

Maan, Kya Hoga Uske Baad ?

Humare bhavishya mein kya hai ye jaanne ki utsukta to hum sabhi mein hoti hai. Par is utsukta ka naa to koyi ant hai na koyi seema.
Bhavishya roopi saagar ki gehrayi dekhi hai kabhi aapne.
pehle to sab kuch saaf dikhta hai phir dhundhlapan badhta chala jata hai.
Janma, Shiksha, Prem, Naukari, Vivah, Vaibhav..... ke bare mein jaan lene ke baad bachta hi kya hai humare paas!
Bas mrityu ki ek dastak jise jaanne ki iksha hi nahin hoti.
par phir uske baad kya?
Uska jawaab kisi ke paas nahin! bhavishya ke paas bhi nahin kyonki yahan aakar to wo bhi apne maayne kho deta hai.
Balkrishna Rao ki ye kavita chand panktiyon mein, shishu ke mukh se is sahajta aur bholepan se prakruti ki is unsuljhi paheli ki or ishaara kar jati hai ki man soch mein hi padh jata hai

School ki VIth class mein padhi ye kavita mujhe behad pasand hai par jab dobara khoj ki to net pe nahin mili. NCERT ki book Apoorva mein jab ye dikhayi di to punah padhkar man harshit hua .kavi ko ek baar phir se naman kiya, jinhone anaadi-anant kaal se chale aa rahe is prashna ko itni sundarta se pesh kiya hai.

' Phir kya hoga uske baad?'
utsuk hokar shishu ne poocha,
' Maan, kya hoga uske baad?'


Ravi se ujjval, shashi se sundar,
nav-kislay dal se komaltar
vadhu tumhare ghar aayegi
us vivah utsav ke baad


palbhar mukh par smiti rekha
khel gayi phir maan ne dekha
utsuk ho kah utha kintu wo
phir kya hoga uske baad


phir nabh se nakshatra manohar
swarga lok se utar utar kar
tere shishu banne ko mere
ghar aayenge uske baad


Mere naye khiloune lekar
chale na jayein ve apne ghar
chintit hokar utha, kintu phir
poocha shishu ne uske baad ?


Ab maan ka jee oob chuka tha
harsh shranti mein doob chuka tha
boli phir main boodhi hokar
mar jaoongi uske baad


Ye sun kar bhar aaye lochan
kintu ponchkar unhein usi kshan
sahaj kutuhal se phir shishu ne
poocha, maan kya hoga uske baad


kavi ko balak ne sikhlaya
sukh dukh hai palbhar ki maya
hai anant tatwa ka prashna yah
phir kya hoga uske baad?


Balkrishna Rao

रविवार, जुलाई 16, 2006

Mumbai Ke Ansoo...

Mumbai blast ne dil khatta kar diya hai.
Desh ke aaj ke halaton ka ujagar karta Earth film ka geet jo pichle hafte Akhil ke blog par padha tha devnaagri mein yahan dekhein.
Kya sirf aatankwadiyon ko pakadne se samadhan nikal payega shayad nahin pehli nakel nafrat phalane wale thekedaron pe kasni hogi. Aage padhne ke liye yahan click karein.
Samay aabhav ke karan roman mein ye posts nahin likh paa raha hoon.

बुधवार, जुलाई 12, 2006

Mitwa, Kahein Dhadkanein Tujhse Kya ?

Hai ree Zindagi...
Aur uski khwahishein…
Kuch poori hoti hain to kuch phir se paida ho jati hain
Agar maamla itne mein hi sulajh jata to baat hi kya thi
Kabhie to aisa hota hai janab ki hum jise chahte hain, man use pane ki raah bhi khoj deta hai par kar kya kare koyi ye jo khopri par raaz karne wala dimag hain na turant ek hidayat ya yoon kahiye ki farmaan thama deta hai.

khwab,umeed, nasha, sans, tabassum, ansoo
tootnewali kisi shay pe bharosa na karo

Kamraan Nazmi

Kisi kee preet se upaji dil aur dimag ki is zaddozahad ka shikaar insaan aakhir yahi kehne pe mazboor ho jata hai
Kya ye bhi zindagi hai ki rahat kabhi na ho
Aisi bhi to kisi se mohabbat kabhie na ho

Lab to ye keh rahe hain ki uth badh ke choom le
Aankhon ka ye ishaara ki jurrat kabhi na ho
Krishna Mohan

Par parson jab ye geet suna to paya ki Javed Akhtar sahab to kuch ulta hi sikha padha rahe hain. Ab wo to dhadkanon ki aawaz hi sunne ko kahenge naa , shayar jo thehre.
Par ye jo shayar hain na kuch palon ke liye hi sahi vastvikta ke dharatal ke oopar aisi udan pe le jate hain jahan preet ki oonchi oonchi llahron ke thapedon se takrakar dimagi uljhanein door chitak jati hain. Soofiyana andaj mein Shafaqat Amaanat Ali ke gaye huye is geet ki pehli kuch panktiyan sun kar hi man jhoom sa uthtaa hai. Aur Shankar Ehsaan Loy ki tikdi ke madhur sangeet ka to kehna hi kya. Chahe wo mukhde ke pehle guitar ki dhun ho ya antare ke beech guitar aur bharteey vadya yantron ke saath classical jugalbandi ! Sun kar man wah wah kiye bina nahin reh pata.

mere man ye bata de tu,
kis or chala hai tu
kya paya nahin tune,
kya dhoondh raha hai tu
jo hai ankahee, jo hai ansuni
woh baat kya hai bata


mitwa, kahein dhadkanein tujhse kya
mitwa, ye khud se to na tu chupa...


Geet ke poore lyrics yahan dekhiye
Kabhie Alvida Na Kehna ke is geet ko sunne ke liye yahan Click karein.

Posted under Category : Mere Sapne Mere Geet

शुक्रवार, जुलाई 07, 2006

Shakti Aur Kshama

Bahut dinon se is kavita ki taalash mein tha. Ramdhari Singh Dinkar waise bhi mere priya kavi hain aur is kavita ki ye panktiyan to humesha se man mein rachi basin thin

Kshama shobhati us bhujang ko
jiske paas garal ho
usko kya jo dantheen
vishrahit, vineet, saral ho

Sahansheelta, kshama, daya ko
tabhi poojta jag hai
bal ka darp chamakta
jab uske peeche jagmag hai


Isliye badi khushi mili is kavita ko net pe dhoondh kar.

Poori kavita Devnaagri mein yahan padhein.

रविवार, जुलाई 02, 2006

Guncha Koyi Mere Naam Kar Diya...

Kuch dinon pehle DON ne apni ek blog post (dated 14th May) ke zariye is ghazal se roobaru karvaya tha aur uske radio blog mein Ashish Dar ki aawaz mein suna bhi tha. Par aaj Mohit Chauhaan ki voice mein suna aur laga ki iske liye ek alag post lazimi hai. Is song ke unplugged version mein sirf guitar ki mohak dhun background mein hai. Ghazal ke lyrics simple hain par Mohit Chauhan ka andaze bayan kuch aisa hai ki aap is ghazal se hooked huye bina nahin reh pate.

guncha koyi mere naam kar diya
saaki ne phir se mera jaam bhar diya

tum jaisa koyi nahin is jahan mein
subah ko teri julph ne shaam kar diya

mehfil mein baar baar idhar dekha kiye
aankhon ke zajeeron ko mere naam kar diya

hosh bekhabar se huye unke bagair
wo jo humse keh na sake dil ne kah diya


Movie - Main, Meri Patni aur Wo (2005)
Lyrics : Ricky Khanna

Click here to listen the song