रविवार, जून 04, 2006

Safar Sikkim Ka : Wo Anokhi Subah


Lachen ki who subah anokhi thi.Door door tak barish ka naamo nishan bhi nahin tha. Gehre Neele aakash ke neeche Lachung ka pahad apna seena tane khada tha. Pahad ke theek beech patle jharne ki safed lakeer chattanon ke is vishal jaal ke saamne behad bauni (small) nazar aa rahi thi.
Par asli nazara to doosri taraf tha. Parvaton aur suraj ki kirnon ke beech ki aisi aankhmichauni maine pehle kabhi nahin dekhi thi. Parvat ke is taraf andhkaar tha .Is andhkaar se door ek chota sa ped suraj ki roshni ki prateeksha mein bahein phailaye khada tha.

Pahad ke theek peeche aati ye kirnein badalon ki chadar ko door dhakel dena chahti thin.

Thodi hi der mein ye kirnein Kanchanjungha ki barf se ladi chotiyon ko is tarah prakashmaan kar rahin thi manon bhagwan ne pahad ke us oor badi si searchlight jala rakhi ho. Sach kahoon to ise main apni yatra ka defining moment manta hoon. In drishyon ko apne camre mein qaid karne mein mujhe sabse jyada santosh hua kyunki aise drishya zindagi mein baar baar dekhne ko nahin milte.
Humara agla padav Yumthang Valley tha. Lachung se kareeb 25 km doori pe basi is ghati ko yahan ke log Valley of Flowers ke naam se bulate hain. Darasal ye ghati Rhododendrons species ki 24 different varieties ke liye mashhoor hai. Subah ki dhoop ka anand lete huye hm chal pade.


Sara rasta violet colour ke in chote-chote phoolon se bhara pada tha. Kareeb 1.5 hours mein humara qafila Yumthang mein tha.Yumthang ki sundarta ke jitne charche humne sun rakhe the us hisaab se humein niraash hona pada. Aisa kyun hua uska jikra agle bhaag mein…

12 टिप्‍पणियां:

  1. Wah Manish...mountains mujhe hamesha se pasand hain aur aaj ki iss shrinkhala mein to waqai dil cheen liya...phul to phul hote hein har rang oon per jachta hai yehi to anokhi baat oonki hoti hai :D
    bahut khoob
    Cheers

    जवाब देंहटाएं
  2. Shabdon me ghiri yeh tasveeren itni khubsoorat hain to woh asal nazaara kaisa rahaa hoga. Vaadiyon ka aanand lete rahiye, and keep writing. :)

    जवाब देंहटाएं
  3. Kya baat hain:) Now i am jealous about your trip,it must have been a beautiful experience,isnt it:)

    जवाब देंहटाएं
  4. Manish :) kaise ho? aapko bhi travel bug ne kaata hua hai :P

    जवाब देंहटाएं
  5. DON Shukriya, aage kuch aisi tasweerein hongi jis tarah ke mausam se tum bhali banti parichit ho.:)

    जवाब देंहटाएं
  6. Akhil Bas pichle mahine bitaye gaye chand haseen lamhon ko phir se jeene ki koshish hai ye !

    जवाब देंहटाएं
  7. Alapna ha ha ha, loz agar achcha anubhav nahin raha hota to ek mahine se isi topic par apni bakbak thode hi na karta :)

    जवाब देंहटाएं
  8. Shabnam Loz hum to soch rahe the ki DD bhool hi gayi hai blogworld ke sathiyon ko. Nice to see u here.Travel to last month kiya tha haan us bug ko blogging ki madad se prolong kar rahe hain:)

    जवाब देंहटाएं
  9. इस टिप्पणी को एक ब्लॉग व्यवस्थापक द्वारा हटा दिया गया है.

    जवाब देंहटाएं
  10. MY GOD! These pictures are beautiful! Truly breathtaking! Did you click all these pics? Very well shot indeed!

    जवाब देंहटाएं
  11. My God! The sceneries are sooooo beautiful!! Very breathtaking! Did you take these pics? Very well shot indeed!

    जवाब देंहटाएं
  12. PR Yes Urvi i took these pics and for the first time I deviated from Auto focus mode to capture the twilight zone.:)And yup the scenes were just too good. Thats why I call these pics defining moments of my journey as their memories wil be etched forever on my mind.

    जवाब देंहटाएं