बुधवार, जून 28, 2006

Lamha Lamha Doori Yoon Pighalti Hai...

Are baba do mahine ho gaye aur is blog slog pe kisi geet ka jikra nahin hua . Na ji aapka ye nacheez bhala music se door kaise reh sakta hai. Par kya karein is saal sangeet ke naam par mumbai ki mayanagri ki taraf se ab tak jo parosa gaya hai wo mujhe kuch khas jancha nahin hai. Par Gangster ka ye geet suna to man phir gunguna utha…

Is geet ki khas baat hai iske soothing musical notes aur Abhijeet ki makhmali aawaaz. Darasal jab soft romantic nagmon ki baat ho to Abhijeet ka andaaz mujhe khas pasand aata hai.

Wo ek chehra...
Wo bhavnaon mein behti aankhein...
Wo bina hil ke bhi bahut kuch kehne wale hoth ...
na jane kitne kaviyon ko kalpana ki udaan mein bahakar le ja chuke hain. Geetkaar Nilesh Mishra bhi isse achoote nahin rah paye hain. To agar sawan ki simsimi bayar aapko madmast karne pe tuli ho to ye geet juroor sunein. Mera yakeen hai ki ye geet aapke mood ko aur romantic bana dega.


lamha lamha doori yun pighalti hai
jaane kis aag mein yeh shabnam jalti hai
khwaahishon ki shaam dhalti hain
jaane kis aag mein yeh shabnam jalti hai



teri aankhen, dikhati hain
hamein sapanen sitaaron ke
tere hothon, pe likha hai
jo tum bole ishaaron mein

khwaabon ke karwaan mein raat chalti hai
jaane kis aag mein yeh shabnam jalti hai


behakti shaam, aayi hai
tujhe lekar, ke baahon mein
tujhe chhu loon, kee rakhun main
chhupakar ke, nigaahon mein
sharmati ithlaati hai machalti hai
jaane kis aag mein yeh shabnam jalti hai
lamha lamha doori yun pighalti hai
jaane kis aag mein yeh shabnam jalti hai
khwaahishon ki shaam dhalti hai
jaane kis aag mein ye shabnam jalti hai

शनिवार, जून 24, 2006

Alvida Sikkim !

Sikkim pravaas (stay) ke aakhiri din humare paas 3 baje tak hi ghoomne ka waqt tha. To sab ne socha kyun na Gangtok mein hi chahalqadmi kee jaye. Subah breakfast karne ke baad hum seedhe pahunche flower show mein.

Ab humein kya pata tha ki itne chote se rajya (state) mein Orchids ki 500 se jyada species maujood hain jinmein se kayi to kaphi rere breed ki hain.Bhanti-bhanti (Different)ke rang aur roop liye in phoolon se nazrein hatane ko jee nahin chahta tha.Man hi mana socha vidhata dwara diye gaye color combination ki baat hi kuch aur hai.
Flower Show se nikal kar humne ropeway ki raah pakdi.Us oonchai se Gangtok aur bhi khoobsurat dikh raha tha. Hare bhare pahad, seedhinuma khet, sarpaakar sadkein aur un par chalti chaukor peele dibbon jaisi dikhti Taxies. Ropeway se aage badhe to Sikkim Vidhan Sabha (legislative assembly) bhi najar aayi.Ropeway se utarne ke baad Baudh Stoop ki or jaana tha. Stoop tak ki chadhai steep thi aur nateejan oopar pahunchte pahunchte hum paseene se naha chuke the.
Yahan ki bhasha mein stoop ko Do-Drul-Chorten kahte hain. Is stoop ke charo or 108 pooja chakra (prayer wheels) hain jinhein devotee prayer karte samay ghumate hain .
Wapasi ka safar 3 kee bajay 4 baje shuru hua . Gangtok se Siligudi ka safar 4 ghante mein poora hota hai. Is baar humari gadi ka driver batooni bhi tha aur chalaak bhi. Tata Sumo mein sikkim mein 10 se jyada logon ko baithane ki izazat nahin hai par ye janab 12-14 logon ko us mein baithane par aamada the. Khair humare lagatar oppose karne ki vajah se ye sankhya 12 se jyada nahin badh payi.
Sikkim mein qayda kanoon chalta hai aur yahan ke log banaye gaye niyamon (rules) ka samman (respect) karte hainpar jaise hi Sikkim ki seema khatm hoti hai qayde kanoon dhare ke dhare rah jate hain. Bengal aate hi driver ki khushi dekhte hi banti thi. Pahle to sawariyon ki sankhya 10 se 12 ki aur phir ek jagah rok kar Sumo ke oopar logon ko baithane laga. Par is baar sare yatriyon (passengers) ne milkar usko aisi jhad pilayi ki wo man maar kar chup ho gaya.
North Bengal mein ghuste hi Chaand nikal aaya tha. pahadiyon ke beech se chan kar aati uski roshni Teesta nadi(river) ko prakashmaan (full of light) kar rahin thi. Waise bhi humesha raat mein hone wali barish ki wazah se Chaand humse Lachen aur Lachung donon jagah aankhon se oojhal hi raha tha jiska mujhe behad afsos tha.Shayad Yahi wazah thi ki Chandaniraat ki is khoobsurti ko dekh Aitbaar Sajid ka ye sher yaad aa raha tha
Wahan ghar mein kaun hai muntazir ki ho fikar dar sawar ki
badi mukhtasir si ye raat hay, issay chandani mein guzaar do

Koi baat karni hay chaand say, kisi shaakhsaar ki oot mein
Mujhey raastey mein yaheen kaheen,kisi kunj-e-Gul mein uttaar do!

Par yahan utarne kee kaun kahe, station samay par pahuchne ki samasya thi. Gangtok ke baahar humein sadak banne ki wajah se 1 ghante rukna pada tha. Ab humare paas margin ke naam par 1/2 hour hi bache the.Yani 9.30PM ki train ke pahle dinner karne ka program hum pahle hi thande baste mein daal chuke the. Ghati paar karte hi driver ne humari tension samajhte huye speed 75km/hr tak badha dee thi.Par bhagwan humari wapsi ki yatra ko aur romanchak (exciting) banane par tule huye the.Silgudi ke theek 25 km pahle hi Sumo ka ek tyre jawab de gaya. 20 minute ka keemti waqt Tyre change karne mein jaayaa hua. Sabka tension dekhne layak tha. Par driver ki break neck speed ki badaulat hum bhagte daute gadi aane ke theek 5 min pahle platform tak pahunche. Apni madur smritiyan sanjoye humara group vapas laut raha tha....kuch avismarneey (unforgettable)palon aur chaviyon(snaps) ko sath liye. Unmein se ek snap is bachche ki bhi thi jise humne Chungthang mein khelte dekha tha.Sikkim ke is safar ka THE END karne se pahle tahe dil se salaam humare Travel Agent Pradhan ke liye jisne na kevalband gobhi ki sabzi khila khila kar 15000 feet pe humare khoon mein garmi banaye rakhi :)balki raste bhar apni zindadili se mahoul ko halka phulka banaye rakha.

रविवार, जून 18, 2006

Safar Sikkim Ka : Changu Jheel, Nathu -La & Baba Mandir

Agli subah pata chala ki bhari barish aur chattanon (rocks) ke khisakne se Nathu-La ka rasta band ho gaya hai. Man hi man mayoos huye ki itne paas aakar bhi Sino-Indian border ko nahin dekh paye. Par baarish ne jahan Nathu-La jane mein badha utpannna kar di thi ( created hinderance) to wahin ye bhi sunishchit (assured) kar diya tha ki humein sikkim ki barfeeli wadiyon ke darshan ho hee jayenge. Isi khushi ko man mein sanjoye huye hum Changu or Tsomgo lake chal pade. Bhutiya mein Tsomgo ka matlan “Origin point of lake” hota hai. 3780m yani takreeban 12000 ft par isthit (located) Changu Lake, Gangtok se keval 40 km doori par hai.
Gangtok se nikalte hi Devdar ke hare bhare junglon (forest) ne humara zordaar swagat kiya. Kam doori ka ye matlab bhi tha ki raste bhar ki chadhai steep thi. 30 km ki doori tay karne ke baad raaste ke donon taraf barf ke dher dikhne lage. Maidanon mein rahne wale hum jaise logon ke liye barf ki chadar mein lipte in parvaton ko itne kareeb se dekh paana apne aap mein ek sukhad anubhooti thi. Par ye to abhi suruaat thi. Changu jheel ke paas humein aage ki barf ka muqabla karne ke liye ghutnon tak lambe jooton aur dastaanon ka suraksha kavach (protection gear) pahnana pada.

Darasal humein Baba Harbhajan Singh Mandir yani Baba mandir tak jana tha jo ki Nathu-La aur Jelep –La ke beech isthit hai. Ye mandir 23rd Punjab Regiment ke ek jawan ki yaad mein banaya gaya hai. Baba Mandir ki bhi
ek alag rochak kahani hai jiski charcha haal-philhal mein humare media ne bhi ki thi.
Changu se 10 km door hum Nathu-La ke is pravesh dwar (entry gate) ki bagal se gujre. Humare guide ne bataya ki samne wale pahad ke theek peeche China ka ilaaqa shuru ho jata hai. Man hi man kalpana kee ki Red Army kaisi dekhti hogi. Waise bhi iske siwaay koyi chaaraa bhi to na tha.
Thodi hi der mein hum Baba Mandir ke paas the. Sailaaniyon ki zabardast bheed wahan pahle se maujood thi. Mandir ke charon taraf shwet (white) rang mein doobi barf hi barf thi. Uff kya rang bikhera tha prakriti (nature) ne---
Oopar aakaash ki adbhut neelima aur jameen par barf ki doodhiya chaadar----bas man apne aapko ismein vileen (absorb) kar dene ko chahta tha. In anmol lamhon ko qaid kar hum barf ke bilkul kareeb jaa pahunche.
Humne ghante bhar jee bhar ke barf mein uchal-kood machayi. Oonchayi tak slope ke against girte padte chadhe aur phir neeche ki oor phisle. Ab phisalne se barf bhi pighli. Kapdon ki kayi tahon ke andar hone ki wazah se hum is baat se anjaan bane rahe ki pighalti barf dheere dheere andar rasta bana rahi hai. Jaise hi is pighalti barf ne kapdon ki antim tah ko paaar kiya humein vastuisthiti (reality) ka gyan (knowledge) hua aur hum apni gadi ki taraf lapke. Kuch der tak humari kya haalat rahi wo aap samajh hi gaye honge. Khair wapasi mein bhojan ke liye punah (again) ruke. Yahan humne Sikkim ki special dish ki special dish MOMO ka swad chakha.
Bhojan kar ke bahar nikle to dekha ki ye susajjit (well dressed) Yaak apne sath tasweer lene ke liye palkein bichaye humari prakteeksha kar raha hai.:) Ab humein bhi is Yaak ka dil dukhana achcha nahin laga so khade ho gaye baju mein tek laga kar. Nateeja aapke saamne hai.:p
Agla din Gangtok mein bitaya humara aakhiri din tha. Kya ghata humare sath aakhiri din. Kaise vaapsi ki train miss hote hote rah gayi ye detail agle hisse mein…

देवनागरी में पढ़ने हेतु यहाँ क्लिक करें ।

शुक्रवार, जून 09, 2006

Safar Sikkim Ka : Yumthang Valley


Yumthang ke paas pahunchte pahunchte humein Rhodendrons ke jangal (forest) dikhne shuru ho gaye the. March-April se inke paudhon (plants) mein kaliyan lagne lagti hain. Par poori terah se ye khilte hain may mahine mein, jab poori ghaati inke laal aur gulabi rangon mein rang jati hai. khair humein ye drishya naseeb nahin hua kyonki hum wahan April ke doosre saptah mein hi tapak gaye the.
Choonki ye ghati 12000 feet ki height pe hai , yahan GuruDongmar ki tarah hariyali ki koyi kami nahin thi. Kami thi to bas aasmaan ki us neeli chat ki jo subah mein dikhne ke baad yahan pahunchte hi gayab ho gayi thi.

Ghati ke beech paththaron pe uchalti koodti nadi bah rahi thi. Jade mein ye paththar barf ke andar dab jate hain. In gol-matol (round) paththaron ke dher ke sath sath hum sab kaaphi der tak chalte rahe. Kisi ne kaha- raat mein barish huyi hai to sath mein barf bhi giri hogi. Phir kya tha nadi ka paat chor hum kinare dikh rahe pedon ki kataron ki or chal pade.


Pedon (trees) ke bech humein barf giri dikh hi gayi aur ye janab to uske peeche aise lapke jaise sari ek sath hi kha lenge. Ab inhein kya pata tha ki agle din hi bhagwan itni barf dikhane wale hain jitni humne zindagi mein bhi na dekhi hogi.


Paas mein hi ek Sulphurised water ka chota sa hot spring tha. Par wahan pahuchne ke liye is pahadi nadi yani yani yahan ki jubaan mein Lachung Chu ko paar karna tha. Mauqa dekh humne bhi is thumakti Chu ko camre se choo liya. Hot spring dekh hum wapas Lachung ko laut chale.

Bhojan ke baad wapas Gangtok ki raah pakadni thi. Gangtok ke raaste mein Teesta Valley ki antim jhalak pane ke liye hum gadi se utre. Kaaphi height se lee huyi is tasweer mein aap ghumavdaar raston ke jaal ke sath neeche bahti huyi Teesta ko dekh sakte hain. Teesta se ye is safar ki aakhiri mulaqaat to nahin par uski lee huyi aakhiri tasweer ye juroor thi. Shaam dhalte dhalte hum Gangtok mein qadam rakh chuke the. Apna agla din naam tha Sikkim ke sabse popular destination ke liye jahan mother nature apne alag roop mein humari prateeksha (wait) kar rahi thi. Aisa kya different tha us roop mein ye jante hain agle part mein…

रविवार, जून 04, 2006

Safar Sikkim Ka : Wo Anokhi Subah


Lachen ki who subah anokhi thi.Door door tak barish ka naamo nishan bhi nahin tha. Gehre Neele aakash ke neeche Lachung ka pahad apna seena tane khada tha. Pahad ke theek beech patle jharne ki safed lakeer chattanon ke is vishal jaal ke saamne behad bauni (small) nazar aa rahi thi.
Par asli nazara to doosri taraf tha. Parvaton aur suraj ki kirnon ke beech ki aisi aankhmichauni maine pehle kabhi nahin dekhi thi. Parvat ke is taraf andhkaar tha .Is andhkaar se door ek chota sa ped suraj ki roshni ki prateeksha mein bahein phailaye khada tha.

Pahad ke theek peeche aati ye kirnein badalon ki chadar ko door dhakel dena chahti thin.

Thodi hi der mein ye kirnein Kanchanjungha ki barf se ladi chotiyon ko is tarah prakashmaan kar rahin thi manon bhagwan ne pahad ke us oor badi si searchlight jala rakhi ho. Sach kahoon to ise main apni yatra ka defining moment manta hoon. In drishyon ko apne camre mein qaid karne mein mujhe sabse jyada santosh hua kyunki aise drishya zindagi mein baar baar dekhne ko nahin milte.
Humara agla padav Yumthang Valley tha. Lachung se kareeb 25 km doori pe basi is ghati ko yahan ke log Valley of Flowers ke naam se bulate hain. Darasal ye ghati Rhododendrons species ki 24 different varieties ke liye mashhoor hai. Subah ki dhoop ka anand lete huye hm chal pade.


Sara rasta violet colour ke in chote-chote phoolon se bhara pada tha. Kareeb 1.5 hours mein humara qafila Yumthang mein tha.Yumthang ki sundarta ke jitne charche humne sun rakhe the us hisaab se humein niraash hona pada. Aisa kyun hua uska jikra agle bhaag mein…